Acacia Tree in Hindi – Aushdhiya Guno se Paripurn Babool

Aapne ek kahawat to suni hogi “Boya Ped Babool ka to Aam Kaha se Paye” iss kahawat mai babool vriksh ke naam ka istemal uski anupyogita aur avguno ko batane ke liye kiya gaya hai, lekin ayurved ki dristi se dekha jaye to yeh aushdhiya guno ki khan hai. Isse Acacia tree ke naam se bhi jana jata hai.

Babool Tree sadiyo purana hai. Iske guno ka upyog kai salo se kiya ja raha hai. Yeh kantedar vriksh sampurn bharat mai aasani se dekha ja sakta hai. Garmi ke mosam mai iss par pile rang ke gucchedar phul tatha sardiyo mai iss par faliya lagti hai.

Acacia Tree in Hindi bade ghane aur kantedar hote hai. Iski lakdi bahut majboot hoti hai isliye iska istemal khidki aur darwaje tatha anya chijo ko banana mai kiya jata hai. Babool ke vriksh pani wale sthan ke nikat tatha kali mitti mai adhik paye jate hai, lekin yeh kam pani wale sthano par bhi bahutayat matra mai paye jate hai.

Iske kanto ki lambai 1 se 3 cm tak hoti hai aur inka rang safed hota hai. Yeh jodo ke roop mai hote hai. Iske patte amle ke patto ke saman lekin unse adhik chote aur ghane hote hai. Babool ke tane mote aur chaal khurduri hoti hai. Iske beejo ka rang dhul ke rang ki tarah tatha aakrati chapti hoti hai.

 

Acacia Tree in Hindi: Janiye Iske Aushdhiya Gun aur Upyogita

 

Acacia tree in Hindi

 

Vibhinn Bhashao Mai Babool ke Naam

Babool ke vriksh ko jaha aam bhasha mai bamul bhi kahte hai. Iske alawa anya bhashao aur sthano par isse alag-alag naam se jana jata hai. Aaiye jante hai Babool Tree ke anya naam –

Sanskrit – Babool, Barbar, Dirghkantaka

Hindi – Baboor, Babool, Kikar

Marathi – Mabool Babool

Bangali – Babul Gaach

Gujrati – Baabool

Telgu – Barbaram, Tumma, Nak Dumma

Panjabi – Baabala

Arbi – Ummuchilan

Farsi – Kheremudhilan

Tamil – Karubel

English – Acacia

Letin – Maimosa Arabica

 

Babool Ke Gun

Babool ki gond skindh, madhur-kshayay tatha shitvirya hota hai. Yeh cough, pitt, kusht rog that sharir mai mojud vish ka nash karne wala hota hai. Yeh ghav ko bharne wala, jalan ko dur karne wala, raktshodhak hai. Iske sevan se garbhashay ki sujan tatha garbhashay mai hone wala strav thik hota hai. Iski gond mai vajikarak gun hota hai. Babool ka vriksh jitna purana hota jata hai utna hi gunkari hota hai.

Babool ki chaal ko sukhakar rakh le aur avashyakta padne par iska istemal kare. Pradar rog mai iski chaal ka kada lena labhkari hota hai. Iski faliya kam labhkari nahi hoti hai. Iski faliyo ko sukhakar 1 saal tak bhi istemal kare tab bhi iske gun kam nahi hote hai, jabki chaal 2 saal tak labhkari hoti hai.

 

You may also like:- Giloy Benefits in Hindi: Dil aur Twacha ke Rogo Mai Faydemand

 

Acacia Tree ke Rasayanik Tatv

Babool ka vriksh anek rasayanik tatvo se paripurn hota hai. Iski chaal mai 7 se 12 pratishit tak drivya hota hai. Iski phalli mai 12 se 19 pratishit tak Tanis paya jata hai. Iski chaal se nikalne wala gond bhi atydhik labhkari hota hai. Iss gond ka sangrah march se may mahino ke bich mai kiya jata hai. Babool gond gol ya andakar halke pile se gahre bhure rang ke roop mai hoti hai. Gond mai mukhytah galactoarabinan hota hai. Isko jalane par 1.8 pratishat tak rakh nikalti hai, jisme aerobic acid, calcium, megorachim hota hai. Babool gond ke istemal se anek ayurvedic aushdhiya banai jati hai, jaise baboolarisht aur lavangaadi vati aadi.

 

Acacia Tree Benefits in Hindi: Janiye Iske Labh

Vriksh chahe kantedar ho ya phaldar sabhi ke apne apne gun aur labh hote hai. Babol ka ped bhi kanto se bhara hota hai, lekin yeh bhi aneko aushdhiya guno se paripurn vriksh hai. Aaiye jante hai Acacia Tree Benefits

 

Diarrhea

Babool ke vriksh ke alag-alag bhag diarrhea ko dur karne ke liye upyog kiye jate hai. Iski taji pattiyo ko safed ya kale jeera ke sath piskar 12 gm ki matra ko din mai teen baar lene se isme labh milta hai. Iske alawa iski chaal se bana huya kada din mai 3 baar pine se bhi diarrhea bilkul thik ho jata hai.

 

Muh ke Rog

  1. Babool, molshri tatha kachnar ki chaal, piyabansa ki jad, jharberi ko saman matra mai milakar iska kada bana le tatha iske halke garm pani se kulla kare. Aisa karne se dant ka hilna, jibh ka fatna, gale ke chaale, muh ka sukhapan aur talu se sambandhit sabhi rog thik ho jate hai.
  2. Babool, jamun aur fhuli huyi fitkari ka kada banakar uss kade se kulla karne se muh ke sabhi rog thik hote hai.
  3. Babool ki chaal ko barik piskar usse pani mai milakar garare karne se muh ke chaale bilkul thik ho jate hai. Gond ke tukde chusne se bhi muh ke chaale thik hote hai. Iske alawa babool ki chaal ko sukhakar iska churn bana le aur isse muh ke chaalo par lagaye rahat milegi.
  4. Babool ki chaal ka garam kada banakar usme kala namak milakra garare karne se tonsil thik ho jate hai.

 

Eczema ka Upchaar

Babool ki chaal ko iske liye kargar upchar mana jata hai tatha babool ki gond jalan dur karne mai labhkari sabhit hoti hai. Iske alawa babool ke patto se bana paste sankramit twacha par lagane se aaram milta hai.

25 gm babool aur aam ki chaal ko 1 liter pani mai ubalkar eczema wale bhaag par bhaap se sikai kare, iske baad uss sthan par ghee laga de. Iske alawa iske patto ko piskar eczema wale bhaag par lagane se aaram milta hai.

 

Ghav Par Kare Istemal

Iski pattiya aur chaal dono mai adhik khoon ko bahne se rokne aur sankraman ko niyantrit karne ki shamta hoti hai. Isliye iska istemal ghaav, katne-chilne aur choto par kiya jata hai.

 

Netra Rogo Mai

  1. Conjunctivitis (Aankh aane par) ki samasya hone par, raat ko sone se pahle babool ke taaje patto ko piskar aankho par lagaye aur upper se saaf kapda bandh le. Subah tak aankho ki jalan aur lalima dur ho jayegi.
  2. 250 gm babool ki pattiyo ko tab tak pani mai ubale jab tak pani ek chothai na rah jaye. Ab iss pani ko ekatra krke rakhle aur iss pani se apni aankho ko subah –shaam dhoye, aankho se aane wala pani ya aansu ki samasya thik hogi.

 

You may also like:- Eye Care Tips in Hindi – Kare Aankho ki Sahi Dekhbhal

 

Khasi Hone Par

Atyadhik cough, purani khasi ya khanste samay sine mai dard ho jane par, babool ke komal patto ko pani mai acchi tarah khola kar ya ubaal kar din mai 3 se 4 baar pine se bahut aaram milta hai. Iske alawa babool ki gond ko muh mai rakhkar chisne se bhi khansi thi hoti hai.

 

Virya Sambandhi Rogo Mai

  1. Babool ki 10 gm taji mulayam pattiyo ko 10 gm mishri ke sath piskar pani ke sath sevan karne se virya rogo mai labh hota hai. Agar taji pattiya na mile to 30 gm sukhi pattiyo ka istemal bhi kar sakte hai.
  2. Kikar ki 100 gm gond ko bhun le tatha isme 50 gm ashavgandha milakar pisle. Iski 5-5 gm matra subah-shaam halke garm doodh ke sath lene se virya sambandhit rogo mai fayda milta hai.
  3. Kikar ki faliyo ko sukhakar, piskar tatha chankar 100 gm mishit mai milakar pani ke sath lene se virya gada hota hai aur virya sambandhi anya rog bhi thik hote hai.
  4. Babool ke gond ko ghee mai talkar iska pakwan banakar khane se purusho ka virya badta hai tatha garbhvati striyo ko khilane se unki shakti badti hai. Iske alawa manushya mai sex karne ki shamta bhi badti hai.
  5. Babool ki kacchi faliyo ka ras dudh ya mishri mai milakar khane se virya ki kami nahi rahti hai.
  6. Kikar ke patte 50 gm ko chaya mai sukhakar pisle tatha acchi tarah chanle. Ab isme 100 gm chini milakar 10-10 gm subah-shaam dudh ke sath lene se virya rogo mai labh milta hai.

 

Stan Par

Babool vriksh ki faliyo ka chep ya doodh se kisi saaf kapde ko bhigokar sukha le. Iss kapde ko stan par bandhne se dhile stan kathor ho jate hai.

 

Motapa Dur Kare

Pet ki charbi aur motapa to sabhi kam karna chahte hai lekin yeh sambhav nahi ho pata hai. Iske liye aap babool ki pattiyo ka istemal kar sakte hai. Iske liye babool ke patto ko pani se sath piskar sharir par laganae se motape mukti pa sakte hai.

 

Amlpitt ya Acidity

Babool ke patto ka kada banakar usme 1 gm gond ka kada mila lete hai. Iss kaade ko shaam ke samay banaye aur subah ke samay piye. Iss prakar iss kade ko niyamit roop se saat din tak pine se amalpitt ya acidity mai labh milta hai.

Upper aapne jana ki kis prakar hum ek aushdhiya vriksh ko ek kantedar aur faltu ped samjh kar kaat diya karte hai. Acacia Tree in Hindi ko kante nahi yeh aapke jivan ki raksha karne mai bahut hi mahatvpurn sthan rakhta hai. Aap bhi iske aushdhiya guno ko samjhe aur iss vriksh se hone wale faydo ka istemal kare.

Loading...

You may also like...