Ayurvedic Treatment for Arthritis in Hindi: Gathiya Rog Ka Illaj

Hum mai se kayi log hote hai jo apne budhape ke baare me sochte hai to iss baat se dar jaate hai ki budhape mai ham apne jeevan ki gati ko kho denege aur sath hi dard aur disability se bhar jayenge. Budhape mai hone wale iss dard aur pareshani ka ek karan progressive joint hota hai, jise “Arthritis” ke roop mai jaana jata hai. Kai log ise gathiya rog ke naam se bhi jante hai.

Gathiya jodo (joints) ka ek dardnaak vikar hota hai, jisme jodo mai soojan ho jaati hai aur iss wajah se dard utpanna ho jata hai. Agar aapko jodo mai dard hai to aap yeh jaante honge ki iska aap par bahut hi gambhir prabhar padta hai, yaha tak ki ek had tak yeh aapke sharir ke hisso ki halchal ko bhi rok sakta hai.

Jyadatar logon mai arthritis in hands ki tulna mai ghutane mai hone wala arthritis adhik dardnak hota hai. Agar aapko ghutane mai gathiya rog hai to, aapko chalne mai mushibat hoti hogi. Yaha tak ki aap ko dusre logon par nirbhar hona padega. Bhagyavash, ayurved ke purane vigyaan mai kuch upchaar diye huye hai, jo gathiya rog se raahat pradan karte hai. Aaiye jante hai Ayurvedic Treatment for Arthritis in Hindi.
 

Ayurvedic Treatment for Arthritis in Hindi: Rakhe Jodo ko Swasth

 
Ayurvedic Treatment for Arthritis in Hindi
 
Gathiya rog ke liye ayurvedic upchar sharir ke vibhinn doshon ke adhyan par aadharit hota hai. Ayurved ke anusaar, sharir me 4 mukhya dosh hote hai aur yahi dosh hamare swaasth, kalyaan aur rogon ki pravatti ko sanchalit karte hai. Aayurved ke anusar, arthritis ek hi condition hoti hai, jo vaat dosh (air) ki uttejana ki wajah se hoti hai. Sharir ama paida karta hai, jo ki ek prakaar ka toxin hota hai, jo anuchit paachan ki wajah se utpaana hota hai.

Jab ama utpann hota hai, tab yeh sharir mai prasarit hone lagta hai aur esi jagah jama hone lagta hai, jo pahle se hi bahut kamjor hoti hai. Isliye, jab vaat uttejit hota hai, tab ama ko khud ke nirmaan ke liye sahi jagah mil jaati hai. Yahi karan hota hai ki aapko ungaliyon aur ghutane mai arthritis ka anubhav hota hai.
 

You may also like:- Home Remedies for Arthritis: Gathiya Rog ke Gharelu Upchar

 

Ayurvedic Upchar:

Chunki Arthritis vaat ke uttejit hone ke karan hota hai, isliye arthritis ke ayurvedic upchar ka mukhya uddhesya vaat ko sharir mai santulit aur sthir karna hota hai. Yeh bhojan-pranaali aur chayapchay maarg ko majboot banakar kiya ja sakta hai. Yeh sunishchit karta hai ki bhojya nali vishakt padhartho ke dwara avrudhh na ho aur achhi tarah kaam karte rahe, iske sath hi yeh poshan (nourishment) joints ko milta rahe. Iss lakshya ko haasil karne ke liye, aapko bahut sara paani pina chahiye aur samay samay par apne sharir ko detoxify karte rehna chahiye.

Aap kuch ayurvedic gharelu upay bhi kar sakte hai , jo vishesh roop se arthrtis ke ilaaj ke liye upyogi hai aur aapke sharir ke movement ki gati mai vradhhi kar sakte hai. Ek ayurvedic aahar pachan tantra ko majboot karne aur ama ke nirmaan ko rokne mai madad kar sakta hai. Iss aahar ko lene se poshan plasma (nutritional plasma) banti hai, jo ki shuddha hoti hai aur aasani se sharir mai sammalit ho sakti hai. Ek swasth aur santulit aahar joint ke lubrication ko badha deta hai, aur prabhavi roop se joint ke Arthritis ko rokne mai madad karta hai. Niche diye gaye aayurved upchar se aap gathiya rog ko thik kar sakte hai.
 

You may also like:- Arthritis Symptoms in Hindi: Gathiya Rog Ke Lakshan

 

Ayurvedic Treatment Ke Nirdesh aur Tarike

  1. Apne din ki shuruat ek bade glass gungune paani ke sath nimbu ras pikar kare.
  2. Methi ama ko dur karne wali ek utkrasth prakratik avrodhak hoti hai aur vaat dosh mai sudhaar lati hai. Yeh Arthritis  ke liye ye ek aasan upchaar hai. Methi ke beej ko bhojan mai prayog kare. Yeh swad mai thodi kadavi hoti hai, isliye bahut jyada matra mai istemaal na kare.
  3. Methi ke beej ko prayog karne ka ek aur tarika hai, ise pees le aur sarso ke tel ke sath milakar mishran taiyar kar le. Ab iss mishran ya paste ko ghutane aur ungali dono ke joints par lagaye. Yeh joints ko garmi aur aaram dega.
  4. Arthritis Cure ke liye thand ke dino mai vishesh roop se garam tel se joints ki malish sach mai madadgar ho sakti hai. Arandi (Castor) ka tel ya til ke beej ka tel dono hi joint ki malish ke liye bahut acche hai. Agar aapke joints mai bahut jyada dard hai, to halke se aur aram se malish kare. Ayurvedic ilaaj mai visheshya joints ki tej ya dabav se malish karne ko mana karte hai.
  5. Dhyan (meditation) karne se tanav aur chinta kam hota hai. Ama ke vikas ke liya tanav aur chinta mukhya karan hote hai. Jitna jyada aap relaxed rahenge, aapka sharir utna adhik kushal aur sakriya rahega. Yog mai bhi aesi kayi shwas wale aasan hote hai jo aapko meditation ke liye protsahit kar sakte hai. Jab aapka apni shwas mai niyantran hoga, aap utni aasani se meditation kar payenge.
  6. Raat mai samay par soye aur subah jaldi uthe. Kam nind ya adhuri nind sharir mai sabhi doshon ko badha sakti hai, parinam swarup chinta,  tanav, dar aadi apko ho sakte hai. Apne jeevan aur dainik karyon mai niyantran na sirf aapko arthritis se chhutkara dila sakte hai, balki anya bimariyon se bhi nidan dila sakti hai. Ek acchi aur bharpur nind motape se rokne ke sath sath joints ko bhi swasth rakhti hai.

 
Yaha aapne jana Ayurvedic Treatment for Arthritis in Hindi. Ayurvedic upchaar ke koi side-effects nahi hai. Iske bade paimane par bahut se safal aur chamatkari parinaam dekhe gaye hai. Gambhir cases mai mareej ko personalized treatment plan ki aavyashakta padti hai.

Loading...

You may also like...