Chyawanprash: Ek Swastha se Bharpur Ayuvedic Dawa

Chyawanprash ke chamatakari guno ke bare me kon nahi janata. Iss Ayurvedic jadi butiya wale tonic me adbudh swasth laabh chipe hue hai. Yeh mana jata hai ki Chyawanprash ki khoj chyawan namak ek rishi dwara ki gayi thi. Unhone hi pehli bar, apne puberty au age ko badne ke liye is chamatkari tonic ki khoj ki thi.

Chyawanprash me Anti-Aging tatwa maujad hai jo puri tarah se Herbal  hai. Isme aawla mukhya samagri hai jo Behad shaktishali antioxidant mana jata hai.

You may also like: Health Benefits of Sprouts: Ankurit Anaaj ke Dhero Fayde

Chyawanprash Kis Tarah se Aapko Jawan Rahne me Madad Karta Hai?

Gyaat ho ki jhurriya mahin rekhaye aur safed baal budapa aane ke suchak hai. Chyawanprash me bhari matra me antioxidant paya jata hai jisse ye aapko jawan rahne me madad karta hai. Yeh rasayana ke antargat vargikrta utpad hai jo aap ko jawan banae rakhta hai.

Sharirik Drashtikona se Chyawanprash ke Kaam Karne ki Vidhi Kuch is Prakar Hai:

  • Cells ki umra nahi badane deta.
  • Sharir ke tissue ke poshan estar me sudar lata hai.
  • Mukt kano se hone wale nuksan se aapki twacha ki raksha karta hai.
  • Pachan shakti badata hai (Jo khoobsurat twacha pane ke liye mahatvapurna hai)
  • Aapke sharir ke gehare tissue ko oxygen ki kami se bachata hai.
  • Chyawanprash

Chyawanprash ke Chamatakari Gun

  • Sexual stimulation me sahayak
  • Memory, Concentration aur Caution me vriddhi karta hai.
  • Aapke sharir ke Immune System me sudhar aur sharir ki pratirodhak kshamta ko badata hai.
  • Aapke respiratory system ko majbut karta hai.
  • Jjukam aur sankraman se aapki raksha karta hai.
  • Masik dharm ko niyamit karta hai (pri Menstrual Syndrome ko kam karta hai)
  • Khun saaf karta hai, hemoglobin badata hai aur cholesterol ke level ko niyantrit karta hai.
  • Raktchap ko niyantrit karta hai.
  • Baalo aur nakhuno ko majbut banata hai.
  • Vajan ghatane me sahayak hai.

Aaj aapne dekhe ayurvedic ilaj jo ki ek Chawyanprash se hi mil sakta hai. To khaiye aur rahiye swastha.

Get more update about Chawyanprash from Food.

Loading...

You may also like...