Bandha Yoga in Hindi – Sharir Ke Liye Hai Bahut Faydemand

Abhi tak humne aapko yoga aur pranayam ke bare mai bahut si jankariya pradan ki hai. Aaj hum aapko kuch inse kuch ala gaur naya batane wale hai, jinke bare mai aap shayah hi kuch jante honge. Aaj aap janenge Bandha Yoga ke bare mai.

Bandh ka arth hota hai ganth, rokna, kasna, bandhna ya tala lagana. Yadi mai yog mai bandha ki baat kare to yah sharir ke kisi hisse mai urja ke prawah ko rokkar, use anya ango mai pravahit ya sanchit karne ka karya karta hai.

Agar sahi mayno mai dekha jaye to yah urja ke vitran ka karya karta hai. Isse antrik ango ki malish hoti hai tatha rakt ka jamav dur hota hai. Iske alawa yah vishesh ango ki nadiyo ke cure ko niyamit karta hai. Jisse sharir swasth rahta hai. Inke abhyas se prano ko sharir ke kisi ek bhaag se bandha jata hai tatha yogi apne prano ko niyantrit kar safaltapurvak kundali jagrit karta hai.

Iske niyamit abhyas se sharir ki anek kriyaye sadhak ke chetan niyantran mai rahti hai. Sushumna nadi mai pran ke prawah mai avrodh utpann karne wali brahma, Vishnu tatha rudra granthi iss abhyas se khul jati hai, jisse adhyatmik shakti utpann hoti hai. Iss prakar yah bhotik aur mansik paristhitiyo ko niyantrit karti hai. Aaiye jante hai Bandha Yoga in Hindi ke bare mai anya mahatvpurn jankariya.

 

Bandha Yoga in Hindi: Janiye Iske Prakar, Vidhiya aur Labh

 

Bandha Yoga in Hindi

 

Types of Bandha: Jane Iske Prakar

Bandha mukhyatah 4 prakar ke hote hai. Jalandhar bandha, Uddiyan bandha, Mule bandh aur Maha bandh. Jisme maha bandh anya teeno ka sammilit rup hai. Yaha hum aapko inn teeno bandho ko karne ki vidhiya aur inse hone wale labh bata rahe hai.

 

You May Also Like:- Shatkarm in Hindi – Sharir Ki Shuddhi aur Swasthya Ke Liye

 

Jalandhara Bandha

Ise ko chin bandha bhi kaha jata hai. Aisa mana jata hai ki iss bandha ki shuruvaat Jalandharipad Nath ne ki thi, iske unke naam par isse Jalandhara Bandh kahte hai.

Manushya sharir mai kai tarah ki vaat-nadiyo ka jaal fela huya hai. Inhi se sharir ka sanchalan hota hai. Iss wajah se iss hisse ka purn swasth rahna bahut jaruri hai. Hatha Yoga aur sanhita mai iss bandh ke anek labh bataye gaye hai. Aisa bhi kaha jata hai ki yah bandha maut ke jaal se bahar nikalne ki takat rakhta hai, kyoki isse dimag, dil aur merudand ki nadiyo mai lagatar rakt sanchar thik se sanchalit rahta hai.

Vidhi

  1. Iske liye siddhasana ya padmasan ki avastha mai baithkar, ridd, gala tatha sar ko sidha rakhe.
  2. Ab hatheliyo ko ghutno par rakhe aur aankho ko band kar sharir ko dhila chod dijiye tatha dhire-dhire sans ko andar lekar rokkar rakhe.
  3. Ab hatho ki kohniyo ko sidha rakhte huye ghutno par dabav dale aur kandho ko samne ki taraf jhukakar upper uthaye.
  4. Iske baad sar ki iss tarah jhukaye ki thodi aur gala apas mai chipak jaye.
  5. Iss sthiti mai tab tak bane rahe, jab tak sans ko aasani se rokkar rakh sake, lekin dhyan rakhe aapko adhik bal nahi lagana hai.
  6. Rechak ke pahle arthat sans chodne ke pahle, sar ko sidha tatha kandho ko samasya avastha mai le aaye aur kohniyo ko madkar dhila chod de.
  7. Yah ek samanya si kriya hai jisme sar ko jhukar thodi ko kanth se lagana hota hai. Ise hi jalandhara bandh kaha jata hai. Aaiye jante hai Jalandhara Bandh Benefits.

Labh

  1. Iss bandh ke abhyas se sar, mashtishk, aankha, naak, kaan aur gale ki nadi ka sanchalan niyantrit rahta hai.
  2. Isse gardan ki manspeshiyo mmai rakhta ka sanchar thik se hota hai, jisse unme dridta aati hai.
  3. Merudand mai khichav hota hai, jisse rakt ka sanchar teji se badta hai. Isi karan sabhi rog dur hote hai aur vyakti swasth rahta hai.

Savdhaniya

  1. Cervical, spondylitis, ucch raktchap, hriday rog tatha kisi bhi prakar ke sharirik dard ki samasya ho to iska abhyas na kare.
  2. Adhik shakti se shwas bahar nikalkar jalandhar na lagaye.
  3. Kumbhak ki avdhi badane mai adhik jor na lagaye.

 

Uddiyana Bandha  

Pet ki aanto ko pith ki taraf khichne ki kriya ko Uddiyana Bandha  kahte hai. Iss kriya mai pet ko upper ki taraf ho sake utna khinchkar use piche ki aur pith mai chipka dene ka prayatn kiya jata hai. Ise mriyu par vijay prapt karne wala kaha jata hai.

Umra ke sath-sath vyakti ka pet aur twacha dhili hone lagti hai tatha jin nadiyo mai rakt ka prawah hota hai wah bhi kamjor hone lagti hai. Lekin Uddiyana Bandha ke abhyas se umra ke badte asar ko roka ja sakta hai.

Uddiyana ka arth hota hai Udan. Iss bandha ke karan aankha, kaan, naak aur muh arthat sato dwar band ho jate hai aur pran sushumna mai pravisht hokar udan bharne lagte hai. Iss bandha ko do tarah se kiya ja sakta hai, khade hokar aur baithkar.

 

Types of Bandha

 

Khade Hokar Karne Ki Kriya

  1. Ise karne ke liye dono pairo ke bich mai antar rakhte huye, ghutno ko modkar thoda aage jhukkar khade ho jaye.
  2. Ab dono hatho ko jangho par rakhe aur muh se hawa nikalkar nabhi ko andar khichkar sato chidro ko band kar de.
  3. Iss sthiti mai tab tak rahe jab taj aap ise aasani se kar paye.

Baithkar Karne Ki Kriya

  1. Sukhasana ya padmasana ki sthiti mai baithkar, hatho ki hatheliyo ko ghutno par rakhkar thoda aage jhuke.
  2. Ab dhire-dhire pet ki nadiyo ko andar khichte huye purn rechak tatha bahay kumbhak kare.
  3. Iske baad sans andar lete huye pasliyo ko upper ki taraf uthaye aur pat ko dhila chod dijiye.
  4. Iss sthiti mai pat andar ki taraf sikudkar golakar ho jayega.

Inn dono hi tarah ki vidhiyo mai pat andar ki taraf jata hai. Iske abhyas ke madhyam se hi nauli kriya ki ja sakti hai. Aaiye ab jante hai Uddiyana Bandha Benefits.

Labh

  1. Iss bandha ke abhyas se pat aur kamar ki manspeshiya sakriya hokar shaktishali banti hai tatha pat aur kamar ki charbi bhi kam hoti hai.
  2. Fefde aur hriday par dabav par padne se inki rakt sanchar pranaliya thik tarah se chalne lagti hai.
  3. Iss bandha ke niyamit abhyas se pat aur aanto ki sabhi bimariya dur ho jati hai.

Savdhaniya

  1. Jinhe udar athva ucch raktchap, hernia athva acolytes ho, unhe iska abhyas nahi karna chahiye.
  2. Garbhavastha mai mahilao ko yah abhyas rok dena chahiye, lekin shishu ke janm ke baad pat tatha mutnashay ko sakriya karne ke liye yah bandha bahut faydemand hai.

 

You May Also Like:- Pranayam in Hindi: Tanav, Chinta Dur Karne mai Sahayak

 

Mula Bandha  

Pranayam karte samay guda ke chidro ko sikodkar upper ki taraf khiche rakhna Mula Bandha kahalata hai. Guda ko sthir karne se apan sthir rahta hai. Virya sthir rahta hai, prano ki adhogati rukkar ardhwagati rahti hai, aante balwan hoti hai, mal ka avrodh nahi rahta hai.

Mula Bandha ki kriya ko dhyan purvan samjhne ka prayas karne par yah aasani se samjh aa jate hai. Iss bandha ke do aadhar hai. Ek mal-mutra ke chidra bhago ke madhya sthan par edi ka halka sa dabav dena aur dusra guda sankuchan ke sath-sath mutrendriya ka nadiyo ke upper khichna.

Vidhi

  1. Siddhasana iss kriya ke liye sabse upyukt mana jata hai.
  2. Ab sans ko andar rok le tatha hatheliyo ko ghutno par rakhkar dabav banaye.
  3. Iske baad mutradhar shetra ki manspeshiyo ko jitna sambhav ho, kaskar upper ki taraf sankuchit kare. Parantu atydhik bal na lagaye.
  4. Muladhar shetra purusho mai pereniyam aur maldwar aur jannendiya ke bich hota hai tatha mahilao mai garbhashay griva ke piche jaha yoni evam garbhashay milte hai.
  5. Ab mulbandh ko dhila kare uske baad hath evam kohniyo ko samanya kar le. Iss kriya ko 10 baar kiya ja sakta hai.

Iss bandha ke niyamit abhyas se yon granthiya pusht hokar yon rog ya gupt rog mai labh pahunchati hai tatha purusho ke dhatu rog aur striyo ke masik dharm sambandhi rogo mai yah mudra bahut faydemand mani jati hai. Aaiye jante hai Mula Bandha Benefits.

Labh

  1. Iss kriya ko karne se sharirik, mansik aur adhyatmik labh milte hai.
  2. Yah shroni Pradesh ki nadiyo ko udipt karta hai tatha mutra, janan evam utsarjan tantro mai samanjsya lata hai.

Savdhaniya

  1. Anubhavi shishak ki upasthiti mai hi iska abhyas karna chahiye, kyoki ise galat dhang se kiya jaye to ati-skriyta ke lakshan utpann ho sakte hai.

 Aaj aapne jana Bandha Yoga in Hindi, yah sabhi prakar ki kriyaye jo humane aapko batai hai. Yah sabhi yoga aur pranayan ki tulna mai bahut kathin hai. Isliye inhe karne se pahle yogya shikshak se inhe sikhe aur uske pashchat hi inka abhyas shuru kare.

Loading...

You may also like...