Benefits of Parsley in Hindi: Guno se Bharpur Hai Dhaniya

Ghar-Ghar me use hone wali hari-dhaniya dekhne me kafi choti hoti hai. Lekin kafi faydemand hoti hai. Coriander me Vitamin A, B,C, Potassium, Magnesium, Phosphorus, Cacium, Iron, Sodium aur Fiber se bharpur hota hai. Isme apigenin aur luteolin jese tatva bhi paye jate hai. Aaiye jante hai Benefits of Parsley in Hindi.

Dhaniya chehre ki sundarta ke liye bhi upyogi hai. Iss ke ras ko haldi me mila kar muhase par lagane se fayda milta hai. Iske gun prayah ajwain ki tarah hote hai. Parantu Dhaniya ka dana ajwain se bada hota hai.

Benefits of Parsley: Dhaniya se Paye Jane Wale Swasth Laabh

Benefits of Parsley

1) Breast Cancer me Upyogi

Coriander me apigenin namak tatva paya jata hai. Yeh tatva breast cancer ke khatre ko kam karta hai. Dhaniya ke sevan se breast cancer ke tumor ki sankhya ko kam karne aur unke vikaas ko dhima karne me madad milti hai.

2) Kidney Rog me Laabhkari

Dhaniya kidney ki safai ke liye jana jata hai. Kidney me mojud vyarth padartho ko bahar nikal kar yeh aapko swasth rakhta hai. Dhaniya pet ki samasyao ko dur rakhne me madad karta hai. Yeh der tak bhukh ka ahsaas nahi hone deta hai jisse yeh vajan ko kabu me rakhne me madad karta hai.

You may also like: Amla Benefits in Hindi: Is Fhal Me Chupe Hai Dhero Laabh

3) Anti-Oxidants

Dhaniya me luteolin anti-oxidants hota hai. Jo free-radicals ko sharir se bahar nikalne me madad karta hai. Dhaniya me Vitamin A aur C hota hai, jo aapki aankho aur twacha ke liye kafi faydemand hota hai. Aap isse khane me swad badane ke masale ke tor par bhi istemal kar sakte hai.

4) Respiratory Disease me Laabhkari

Mashpeshiyo ki shithilta ke karan utpann breathing ki nail ki sujan aur respiratory disease me Coriander laabhkari hota hai. Respiratory Disease ko dur karne ke liye iski 3-6 gm ki matra me din me 3 baar prayog kare.

5) Diabetes me Laabhdayak

Dhaniye ko diabetes ka naash karne wala bhi kaha jata hai. Diabetes se pidit vyaktio ke liye to yeh vardaan hai. Iske niyamit sevan se blood me insulin ki matra niyantrit rehti hai.

6) Dard aur Sujan Dur Kare

Parsley se badan dard kuch hi der me dur ho jata hai. Dard hone par Dhaniya ko sarso ke tel me ubalkar malish karni chahiye. Ya phir Dhaniya ka 3-5 gm churna din me 203 baar sevan karna kisi bhi tarah ke dard aur sujan me laabhkari hota hai.

7) Kamjori ko Dur Kare

Benefits of Parsley in Hindi ko dhyan me rakhe. Isko khane se kamjori nahi aati hai. Kamjori ko dur karne ke liye coffee me Dhaniya ki jad ke barik churna ko dalkar sevan karne se laabh milta hai. Lekin iska sevan karte samay iss baat ka dhyan rakhe ki iska prayog mirgi ke rogi aur garbhvati mahilao ke liye haanikarak hota hai.

8) Hichki me Aaram

Agar aapko bhojan ke baad hichkiya aati hai to Dhaniya ke 10-15 daane muh me rakhne se hichki band ho jati hai. Ya aap Dhaniya ko muh me rakhkar uska ras chus le isse bhi hichki se aaram milta hai.

9) Aankho ke Liye Faydemand

Dhaniye me Vitamin A prachur matra me paya jata hai. Isliye iski chatni ka niyamit roop se upyog humari aankho ke liye bahut hi laabhdayak hota hai.

10) Ulti me Laabhkari

Ultiya hone par Dhaniya ka sevan kafi laabhkari hota hai. Dhaniya ke churna ka sevanm ulti rokne me kafi madad karta hai. Dhaniya me laung aur Shahad milakar chatne se bhi ulti aana band ho jati hai.

11) Twacha ke Liye Gunkari

Antiseptic aur antioxidants guno ke karan dhaniya twacha ke liye bhi faydemand hota hai. Isse muhase ki samasya aur black heads ki samasya dur hoti hai.

12) Gathiya ki Sujan Dur Kare

Dhaniya me mojud anti-inflammatory tatva, luteolin aur Vitamin C ke karan yeh anti-inflammatory agent ki tarah kaam karta hai. Ilsiye agar aap iska prayog niyamit roop se karte hai to aap Osteoarthritis aur gathiya ki sujan se apne aap ko dur rakh sakte hai.

13) Immune System me Majbooti

Vitamin A aur C se paripurna Dhaniya Immune System ko majboot banata hai. Immune system ki majbooti aapko vibhinn sankraman aur rogo ke khilaf ladne me madad karti hai.

upar aapne jana Parsley in Hindi aur isse milne wale fayde. Aap bhi yadi isse milne wale faydo ka labh uthana chahte hai to aaj se hi iska sevan kare.

Loading...

You may also like...