Calcium Deficiency Symptoms: Iski Kami ko Pehchane

Calcium (Ca) ek aisa poshak tatva hai, jiski sharir ko kafi jarurat hoti hai. Dusre poshak tatva ki tarah hi humare diet me calcium ki badi bhumika hoti hai. Majboot haddi aur daant ke nirmann me calcium avashyak hota hai. Itna hi nahi, ye humare swasth ko bhi behtar banata hai. Kuch logo ko calcium ki kami hoti hai par unhe iss baat ki bilkul bhi bhanak tak nahi padti. Aaiye jante hai Calcium Deficiency Symptoms, jisko dhyan me rakhkar hum ye nirnay le sakte hai ki humko ye kami to nahi hai.

Poshak tatva ka sevan aur Ca level mahilao aur purush me alag-alag ho sakta hai. Kai baar mahilayo ko apne swasth ko banaye rakhne ke liye kuch atirikt poshak tatva ki jarurat hoti hai aur calcium unme se ek behtar poshak tatva hai.

Mahilaye apne career aur family ka dhyan rakhte-rakhte kai baar apne aahar aur fitness ko lekar laparvah ho jati hai. Wah bhul jati hai ki unki apni jindagi hai aur unhe apna bhi khyaal rakhna chahiye.

Basic Thing jo Hume Dhyan me Rakhna Chahiye

Isse pahle ki aap mahilao me calcium ki kami ke lakshan aur uske upchar ke bare me jane, aapke liye iske bare me janana accha hoga.
• Yeh aisa poshtik tatva hai jo aapki haddiyo aur daanto ko sanrachna pradaan karta hai.
• Tandaroost dil ke liye yeh jaruri hota hai.
• Aapke muscle ki karya pranali iss poshak tatva par nirbhar karti hai aur isi se aapki haddi bhi majboot hoti hai.
• Apne aushadhiya gun ke karan yeh sabse jyada bikne wala supplements hai.

Calcium Deficiency Symptoms in Women: Janiye Mahilao ke Liye Iske Lakshan

Ab aap jaan gaye hoge ki Calcium kitna mahatvapurna hai. Aaiye ab kuch aur baato ko jante hai. Yaha hum aapko mahilao me calcium ki kami ke bare me baat rahe hai. To aaiye jante hai Calcium Deficiency Symptoms in Women.

Calcium Deficiency Symptoms

You may also like: Importance of Protein: Sharir ko Swasth Banaye

1) Mahilao ke sharir me 1000 se 1200 milligram calcium honi chahiye. Isse kam matra ko kami mana jata hai aur aapko physician se iss bare me jarur baat karni chahiye jo aapko behtar aahar ki salah dege. Mahilao me iski kami ke lakshan saaf dikhai nahi dete hai. Par agar aap niyamit roop se fracture se jujh rahe hai aur aapki haddi kafi kamjor ho gayi hai to aapko ispr dhyaan dene ki jarurat hai.

2) Mahilao me calcium ki kami ka lakshan Insensibly aur muscle me akad aana bhi hai. Agar iss istithi ka upchar na karaya jaye to iss baat ka khatra rehta hai ki nerve thik tarah se signal bhejna band kar de.

3) Mahilao me iski kami ko behtar tarike se janane ke liye aapko heart ke avartan par dhyan dena chahiye. Iski kami hone kar Heart rhythm prabhavit hota hai.

4) Calcium Deficiency Symptoms ko nazarandaaz kar diya jaye to isse osteoporosis ka khatra bhi paida ho jata hai. Calcium ki kami ka jaldi pata lagane ke liye aapko blood test karwana chahiye.

5) Kai baar mahilao me iski kami se confusion, psychosis aur thakan bhi mahsoos hoti hai. Aisa isliye hota hai, kyuki dimag ko bhi iski jarurat hoti hai. Agar dimag me sahi matra me calcium ki prapti nahi hoti hai to isse aapko bahut prabhav pad sakta hai.

Janiye Rozana Kitne Calcium ki Jarurat Hai

• Humare sharir ki 30 saal ki age tak haddiya puri tarah viksit ho jati hai, lekin sharir ko calcium ki jarurat tab bhi hoti hai. 40 ki age ke bad women me menopause ki awastha aati hai. Iss samay unhe pratidin 1500 mg calcium ki jarurat hoti hai. Iss age me iski kami se haddiya kamjor ho jati hai aur osteoporosis ka khatra bad jata hai.
• Isliye rozana ke Khanpan me paryapt matra me Ca yukt chize jarur shamil kare. Niyamit exercise bhi aapke liye faydemand hai.
• Age ke hisaab se calcium ki jarurat hoti hai, bacche ko kam calcium aur bade ko niyamit roop se adhik Ca ki jarurat hoti hai.
• Bacche (1-3 age) ko 500 mg rozana chahiye hote hai, (4-8 age) ke bacche ko 800 mg ki jarurat hoti hai, (9-18 age) tak 1300 mg, (19-50 age) me 1000 mg aur 51 ki age ke baad 1200 mg calcium ka niyamit roop se sevan karna chahiye.

Calcium ke Pramukh Source

Calcium Source

• Dudh aur usse bani chize jese- dahi, paneer me calcium bharpur matra me paya jata hai. Average 1 gilaas dudh me 300 mg calcium hota hai.
• White rang ke sabhi phalo aur sabjiyo jese- Kela, Nariyal, Sharifa, Amrud, Gobhi aur Muli aadi me paryapt matra me calcium paya jata hai.
• Jitna hum bhojan me madhyam se lete hai, usme se kewal 30% hi metabolism ke madhyam se hume milta hai. Baki emissions ki prakriya dwara sharir se bahar nikal jata hai. Humare sharir me calcium ke avashoshan aur uske pachan ke liye phosphorus aur Vitamin D ki bhi avashyakta hoti hai.
Calcium Deficiency Symptoms ko kam karne ke liye kuch aise hi khadya padarth ka sevan kare. Wese calcium yukt kahdya padartho me phosphorus bhi paya jata hai. Isliye alag se hume phosphorus ke sevan ki jarurat nahi hoti hai, lekin haddiyo ke liye Vitamin D bahut Jaruri hai.
• Iski prapti ke liye pratidin Suraj ki roshani me thoda wakt bitaye. Humare rozmarrah ke santulit aur poshtik bhojan se sharir ko paryapt matra me calcium mil jata hai.
• Bina doctor ki salah liye calcium ki goliyo ka sevan na kare, kyuki yeh sehat ke liye nuksaandeh bhi ho sakta hai.
• Calcium ke liye aap santre ka juice, bread, ankurit anaaj bhi le sakte hai. Daily salad aur mausam ke taaze phal bhi le sakte hai. Isse aapko bahut fayda hoga.

Video Yaha Dekhe:-

Upar aapne jane Calcium ki Kami se hone wale lakshan. To dhyan rahe ki aapko yadi aisi koi taklif ho to aap apne khadya padarth me calcium se bharpur chizo ka sevan kare aur swasth rahe. Aisi chizo ko khane ke baad aap fit reh sakte hai.

Get more update about Calcium from Diet And Fitness.

Loading...

You may also like...