Janiye Cancer Causing Foods se Jude Kuch Tathaye

Hume cancer jaise gambhir bimari se bachne ke liye niyamit aahar mai kya khana chaiye aur kya nahi ispar dhyan dena  bhut jaruri hai. kyoki bhut se aahar ke sevan se cancer ka badh jata hai.Iliye aaiye hum aapko batate hai, Cancer Causing Foods in Hindi.

Bharat mai pichale do dasko mai cancer ke mamlo mai lagbhag do tihai se adhik ki vradhi hui hai aur prati varsh lagbhag 17 lakh naye mamle prakash mai aa rahe hai.

Cancer se hone wali mratyu-dar bharat mai anek karano se western countries ki apekhsha adhik hai. Iske karano mai se aniyamit aahar bhi shamil hai. Aapke aahar mai aani vali kuch cheese aisi hoti hai, jiske chalte aap iss bimari se ghir jate hai.

Kyoki ek research  mai yeh baat samne aai hai ki, cancer ke marij mai lagatar ho rahi badat kuch had tak humare khane-pine ki cheezo par bhi nirbhar karti hai.

shodhkartao ka manana to yeh bhi hai ki stomach, prostate, colon, lung aur uterine cancer aahar mai fast ki matra adhik hone ke karan viksit hote hai.

Isliye cancer se bachne ke liye hume yeh jan lena chahiye ki, kin khadya padarth ko apne aahar mai na shamil karne se aap iss bimari se bach sakte hai.

Cancer Causing Foods

Cancer Causing Foods, Inn khadya Padarth se Parhej Karke Bache Iss Bimari se

Red Meat ki lalsa

Cancer Causing Foods ki list mai red meat ka naam sabse pahle aata hai.Halanki white meat ki tulna mai red meat ko dekhte hi mun lalchane lagte hai. Aur kam matra mai sevan se yeh kuch tarah ke cancer ke khilafh ladne mai madad karta hai. Lekin vibhinn adhyano ke anusan, red meat ke sevan se cancer se hone wali mratyu ka khatra lagbhag 10% tak badh jata hai.

Red meat mai waise to linoleic acid ka gun hota hai. Lekin isse har roz khana bahut khatarnak hota hai aur iske lagatar sevan se cancer ka jokhim bad jata hai. Yeh istan, badi aant aur prostate cancer ko badane mai bhi help karta hai. Expert ki salah ke anusaar, week mai 300 gham se adhik red meat ka sevan nahi karna chahiye.

Red Meat

Alcohol Bhi Ghatak Hai

Alcohol ke adhik sevan se diabetes,  motapa aur cancer jaise ghatak bimariyo ka khatra bana rahta hai. Jo log sharab  peete hai aur agar unme  2 hereditary cancer gene hai.

Tab un logo mai sharab se paida hone wale ek utpadak ke karan cancer ka khatar badh jata hai. Aajkal mahilaye bhi sharab ka anand lene se pichenahi rahti hai. Lekin ek fresh study ke anusar yeh baat samne aai hai ki,  alcohol pine wali mahilayo mai istan cancer mai 30 % tak ki vradhhi  hoti hai.

Alcohol

You may also like:- Benefits of Quitting Alcohol: Sharab Chodne ke Gharelu Nuskhe

Refined Sugar ka Asar

Cancer koshikao ko refined sugar pasand hota hai, jo insulin ke istar ko badakar, cancer ke vikaas ko badawa deti hai. Iske liye high fructose corn syrup  sabse bada apradhi mana jata hai.

Aur yeh kisi bhi sweet mai paya ja sakta hai. Iska sevan karne se cancer ki sambhavna bani rahti hai. Yeh cancer koshikao mai aasani se jagah bana leta hai.

Refined Sugar

Processed White Atta Bhi Hai Nuksandayak

White aata apki sehat ke liye acha nahi hota, kyoki yeh processed hone ke karan white hota hai aur isme saturated fat bahut adhik matra mai hoti hai. Joki bahut nuksaan dayak hota hai  kyoki saturated fat ka relation cancer se hota hai. Isme adhik chemical aur chlorine gas hoti hai.

Iska sharir par bura asar padta hai. White rice bhi acidic foods ki suchi me aate hai, kyoki isme brow rice ki tulna mai sugar ki matra bahut adhik hoti hai. Agar kisi ko cancer ke shurvaati lakshan dikhe to ise khane se bachana chahiye.

Processed-White-Atta

 Aap  Aalu Chips na Khaye

Aalu ke chips ya french fries jaise cheezo ke shoukin logo ko savdhan ho jana chahiye kyoki abhi tak to ye keval motape aur dil ke rogo ko badane ke liye jimmedar mane jate the lekin ab mana ja raha hai ki ye cancer ka karan bhi hai. Sweden mai huye ek survey ke anusar, starch wale kuch khadhya pradatho mai ek acrylamide namak ek chemical paya jata hai.

Acrylamide ek aisa tatva hai, jo 120 degree centigrade se adhik temperature par pakaye, oil aur grill kiye jane wale khadya padarth mai upasthit hota hai. Aur  cancer se related hota hai. Stockholm ke vishvidhayale mai huye ek study mai paya ki, jab carbohydrate se bhare aalu ki chips ya rice aadi ko pakaya jata hai to acrylamide banta hai.

Aalu-Chips

Artificial Sugar Matlab Meetha Jahar

Chini ke jayada sevan karna nuksandayak hota hai, aur iske sevan se diabetes ka khatra bhi bad jata hai aur weight mai bhi lagatar badotri hone lagti hai. Yeh baat hum sabhi jante hai, lekin kya aap jante hai ki, chini ki jagah upyog kiye jane wale artificial sweetener ek tarah ka chemical hai. Artificial sweetener ka swad sugar ki tarah hi hota hai, lekin isme koi do ray nahi ki yeh kisi meethe jahar se kam nahi hota hai.

University College of Medicine ke professor aur chairman director Ralph Watson ne  Cancer Causing Foods  par ke ek research mai yeh  bataya hai ki, artificial sweetener se cancer jaisi ghambhir bimariyo hone ke pure chances ho sakte hai. Iske sevan isse brain tumor, sar dard,  yaaddash ki kami aur aachanak chakkar aakar gir pandna aadi bimariya bhi ho sakti hai.

Artificial Sugar

Microwave Popcorn se Bache

Har koi popcorn khane ke liye utavla rahta hai. Chahe movie hall ho ya ghar mai dost ke saath match dekhne ka program, iss time popcorn ko sabhi khana pasand karte hai. Yeh ek time pass, sasta aur swadisht aahar hai. Aur ise microwave mai banana bhut aasan aur suvidhajanak hota hai.

Lekin kya aap jante hai ki, isko banate time ek (PFOA) chemical dala jata hai. Jo bahut khatarnak hota hai. Isko khane se logo ki kidney, mutrashay, liver aur aant cancer ka khatra badh jata hai. Ek adhyan ke anusaar microwave mai bane popcorn ka use karne se fefdo ke canser mai lagatar badotari ho rahi hai.

Popcorn

 Donuts khane Na Khaye

Khane aur dekhne mai behtreen donuts ki lalasa aapko apni aur khich leti hai. Lekin donuts cancer ke khatre ko ek se adhik prakaar se badha sakta hai.

Donuts white aate, sugar aur hydrogenated oil se bante hai aur isme upasthit sugar ki matra body mai insulin ki matra mai ko prabhavit karti hai aur cancer in koshikao ki vradhhi aur vibhajan ko protsahit karti hai, khaskar pancreatic ke cancer mai. Isliye cancer se bachne ke liye iss aahar ki lalsa ko chodna hi bahtar hai.

 Donuts

Hot Dogs aur Sauce

Hot dogs aur souse mai bhut adhik matra mai namak aur chemical hota hai. Isme sodium nitrate smoked hota hai. Jisse cancer ki utpatti hoti hai. Adhyan ke anusaar, iska niyamit sevan karne vake logo mai samany logo ke mukable 43 % logo ki mout mai vradhhi hui hai.

Hot Dogs

Box Band Tamatar aur Tamatar se Bani Cheez

Cancer Causing Foods in Hindi ki baat kare to hum bol sakte hai ki,tamatar aur tamatar se bane utpadak mai lycopene namak tatva paye jane ke karan yeh prostate ke swasth ke liye fhayedemand hota hai. lekin box  mai band tamatar aur tamatar se bane utpadan se cancer ka khatra badh jata hai.

Tin ke dibbe mai parat mai ek synthetic estrogen bisphenol-A (BPA) paya jata hai. Chunki tamatar acidic hota hai, isliye bisphenol-A isme ghul sakta hai. Isliye apko box mai band tamatar ke utpadan se bachna chahiye.

Canned Tomatoes

Upar aapne jane aise khadya padarth jinko sevan na karke aap cancer jesi khatranak bimariyo se bach sakte hai. To bas dhyan rahe ki aaj se hi in food ko apni diet mai se hata dijiye aur hamesha swasth rahiye.

Cancer Causing Foods se sambhandhit jankari ke liye yaha jaye Food.

Loading...

You may also like...