Coriander Powder in Hindi – Swad, Khushbu aur Sehat ka Raaz

Bharat ke akhbhar ho ya magazine sabhi mai swasth ka ek column jarur hota hai. Pashchimi desho mai aisa bahut kam dekhne ko milta hai, kyoki bharat jadi-buti aur aushdhiyo ka gad mana jata raha hai. Anya desho ki tulna mai aaj bhi humare desh mai in par bharosa kiya jata hai. Yaha payi jane wali aushdhiya sadiyo se istemal mai layi ja rahi hai.

Udahran ke liye Dhania Powder ko hi le lijiye. Iska istemal waise to bhojya padarth banana mai masala ke roop mai kiya jata hai. Dhaniya sirf masala ke liye nahi hota hai, iska prayog anek bimario ki roktham mai aushdhi ke roop mai kiya jata hai.

Dhania bharat mai badi matra mai ugaya jata hai. Saal ke har mosam mai iski paidawar ki jati hai. Yeh ek podhe ke phal jaisa hota hai, jo phul ke uper hota hai. Ise sukhakar pis liya jata hai. Chahe dhaniye ke patto ki baat ho ya iske sukhe beej, inka upyog har ghar mai kiya jata hai.

Adhunik vigyaan iske anek aushdhiya guno ki pervi karta hai. Aaj hum aapko Coriander Powder in Hindi mai batane ja rahe hai.

 

Coriander Powder in Hindi: Janiye Iske Labh aur Aushdhiya Gun

 

Coriander Powder in Hindi
 

Dhania Powder: Iske Labh

Agar Coriander powder ka nutrition chart dekha jaye to, isme 8 pratishat fiber, 2.9 pratishat calcium aur anya gunkari tataw paye jate hai. Yeh anti-diabetic bhi hota hai. Isi karan Europe ke kai desho mai ise anti-diabetic poudhe ke naam se bhi jana jata hai. Aaiye jante ke dhaniye ke anya guno ke bare mai.

 

Swasth Pachan

Dhania powder ko chutki bhar hing aur kala namak ke sath lene se pachan swasth rahta hai. Yeh bhukh badata hai aur pet mai banane wali gas ko bahar nikalta hai.

Iss powder ki chai ka upyog karke bhi aap pachan thik rakh sakte hai sath hi yeh ulti, dast, gas aur apach mai aaram dilate hai.

 

Blood Sugar  

Dhania blood sugar ko niyantrit karne ki shamta rakhta hai. Aisa duniya ke kai anusandhano ne bataya hai. Dhania Powder, sharir se sugar ke star ko kam karta hai aur insulin ki matra ko badata hai. Jis wajah se blood sugar humesha niyantran mai rahta hai.

 

Semolina Bacteria Khatam Kare

Iss bacteria se food poisoning jaise ghatak rog hote hai. Agar hum khane mai dhania powder ka upyog karte hai to iss bacteria ke panapne ke asar kam ho jate hai aur aap is bimari se lad sakte hai. Yeh semolina bacteria ko purn roop se khatm kar deta hai.

 

Piliya aur Peshab na Aana

Sukha dhania, mishri, amla, gokharo aur punarnava jad ko barabar matra mai lekar barik pees le. 1-2 chammach yeh churn subah shaam pani ke sath lene se liver ki sujan, piliya aur peshab kam aane ki samsaya dur ho jati hai.

Agar peshab ruk-rukkar aa raha ho to, do chammach dhania churn ko pani mai acchi tarah ubalkar pee lene se peshab khulkar aata hai.

 

Pet ki Jalan aur Muh Ke Chaale

Pet mai atyadhik jalan hone par, pisa dhania, jira, belgiri aur nagarmotha ko saman matra mai lekar pis le. Iss churn ko khana khane ke baad 1 chammach pani ke sath lena chahiye.

Pisa dhania 1 chammach ko 250ml pani mai dalkar kapde se chaan le. Din mai 2-3 baar iss pani se kulla kare muh ke chalo mai aram milega.

 

Kamjori Aane Par

Kamjori ya kisi karan se chakkar aane par dhania powder tatha amla powder 10-10 gm pani mai bharkar rakh de. Subah iss pani ko acchi tarah se hilakr pile. Chakkar aur sharirik kamjori mai labh milega.

 

You may also like: Benefits of Parsley in Hindi: Guno se Bharpur Hai Dhaniya

 

Sankraman Rogo se Bachaye

Chicken pox jaise sankramit rogo ke liye pisa dhania bahut hi faydemand sabit hota hai. Agar aap dhania paoder ka istemal niyamit karte hai to aap aise sankraman rogo se bach sakte hai. Pise dhania ko chicken pox ke dano par lagane se iske kitanu mar jate hai aur thandak milti hai.

Dhania powder ko pani mai milakar lagane se foda, funsi, dane aur muhaso par lagane se inme aaram milta hai. Iski tasir thandi hoti hai, jis wajah se thandak milti hai aur dane wahi ke wahi baith jate hai.

 

Baccho Ka Tutlana

Agar aapka baccha tutlata hai to, dhania powder paryapt pani mai dalkar chaan le. Isme aadha chammach bhuni fitkari milakar kuch dino tak kulla karwaye. Aisa karne se baccho ka tutlana thik ho sakta hai.

 

Yon Shakti Badaye

Dhania powder 1 gm, hare dhania ka ras 1 chammach tatha 1 chammach shahad milakar pine se purush ki yon shakti badti hai aur virya gada hota hai.

Dhania powder ko sangrah karne se yeh apna swad jaldi kho deta hai isliye jarurat anusar aap ise pis kar rakhle. Coriander powder in Hindi ke alawa aur bhi bahut se masale hai jinka upyog aushdhi ke roop mai kiya jata hai.

 

Muhaso Ko Hatane mai Sahayak

Chehre par muhase ki samasya bahut aam ho gai hai. Muhase hone ka karan chehre par nikalne wala tel aur dhul mitti hoti hai. Muhaso se nijat dilane mai dhaniya powder aapki madad kar sakta hai tatha aap iss pareshani se jaldi chutkara pa sakte hai.
 

Baalo Ko Badhane mai Madad Kare

Baal jhadne ki samasya hair follicles ka kamjor hona, tanav lena, sahi diet ka na hona tatha hormones ki gadbadi ke karan hoti hai. Dhaniya powder ka sevan karne se aapke baal ki jade majboot hoti hai tatha baal lambe hote hai.
 

Conjunctivitis Ke Upchar mai

Yadi aapko conjunctivitis hua hai aur aapki aankhe puri laal ho chuki hai ya iske alawa bhi aapko aankho se judi koi samasya hai to dhaniya powder ka sevan karne se aapko inn samasyao se nijat mil jayega.
 

Anemia Rog Ke Liye

Coriander powder ka sevan karne se anemia rog thik ho jata hai tatha yeh aapke khun mai iron ki kami ko pura karne ka kaam karta hai.
 

Dhaniya Powder mai Moujud Tatva


Nutrients Quantity
Energy 298 Kcal
Protein 12.37 g
Carbohydrate 54.99 g
Calcium 709 mg
Iron 16.32 mg

 

Loading...

You may also like...