Diarrhea Treatment in Hindi: Dast Lagne Ke Karan aur Upchar

Sahi tarah ka khanpan na hone aur bhojan ke sahi tarah se pachan na hone ki wajeh se logo ko dast lag jate hai. Garmiyo ke dino mai aksar logo ko dast ki shikayat rehti hai.  Dast lagna, pet ki ek bimari hai jo ki adhik ghee aur tel ke adhik sevan se bhi ho jati hai. Sardiyo ke dino mai vyaktiyo ke sharir ka tapman kam hone se bhi logo ko dast ki samasya ho jati hai.

Dast lagne par vyakti din mai 3 se adhik bar mal tyagta hai. Aur yeh mal pani ke saman patla nikalta hai. Dast lagne ke kai karan hote hai jaise sharir ki aanto mai adhik garm aur taral padarth ke sravit hone se, aanto ka taral padarth ke avshoshan mai kami hone se ya fir sharir ki aanto ke dwara mal ke teji se nikalne se vyaktiyo mai dast ki shikayat hone lagti hai.

Dast lagne se vyaktiyo ke sharir mai bahut kamjori aa jati hai aur vyakti bahut pareshan ho jate hai. Dast lagne ke bad vyakti ghar se bahar jane ke kabil bhi nahi reh pata hai. Kuch vyakti dast se rahat pane ke liye ORS ke ghol ka prayog karte hai, iss ghol se kaafi had tak dast se chutkara paya ja sakta hai. Iske alava aur bhi upaye hai jinki madad se dast se chutkara paya ja sakta hai. To aaiye padhe Diarrhea Treatment in Hindi.

Diarrhea Treatment in Hindi: Jane Dast Lagne Ke Mukhya Karan

Diarrhea Treatment in Hindi

Dast Ke Mukhya Lakshan

Aksar dast, 1 hafte mai thik ho jate hai lekin yadi 1 hafte se jyada samay tak rahe to dast ko Chronic Diarrhea kehlane lagta hai. Aur yadi iska sahi samay se ilaj nahi kiya jaye to yeh vyaktiyo ke liye khatra bhi ban sakte hai.

 Vyaktiyo mai dast lagne ke kai karan hote hai sath hi unke lakshan bhi alag hote hai. Dast ke lakshano ko mukhyatah do prakar ke hote hai. To aaiye jane symptoms of diarrhea.

Seedhi Dast Hona:-

Vyaktiyo mai seedhi dast lagne se kai lakshan dekhne ko milte hai jaise:

  1. Pet mai marod hona
  2. Bahut patla, dheela aur taral mal nikalna
  3. Mal tyagne ki aachanak bahut tej iksha hona
  4. Ulti hona

 

Jatil Dast Hona:-

Jatil (Complicated) dast hone ke alag lakshan hote hai jaise:

  1. Bukhara aa jana
  2. Mal ke sath khun aana
  3. Vyaktiyo ka aachanak se vajan ghatne lagna

 

Dast Lagne Ke Karan

Dast ke lakshano ko pehchante huye iska sahi tarah se ilaj kar lena chahiye. Dast lagne ke kai karan hote hai aaiye yaha padhe Diarrhea causes.

  1. Pachan tantra ko buri tarah se prabhavit karne wale khadya padartho ke sevan se.
  2. Dushit aur sankramit pani pine se.
  3. Sharir mai poshak tatvo aur nutrition’s ki kami se.
  4. Food poisoning – Bacteria aur 1 din se adhik rakha hua bhojan karne se.
  5. Aanto ke rog se
  6. Pachan tantra ki surgery se
  7. Kuch khadya padartho aur dawao ki allergy se
  8. Bahut adhik sharab pine se
  9. Madhumeh rog se pidit vyaktiyo ko bhi dast lagne ki shikayat hone lagti hai.
  10. Kisi bhi rog ya bimari ka pata lagane ke liye radiation therapy apnane se
  11. Hyperthyroidism

 

You May Also Like: Chicken Pox Symptoms in Hindi: Jane Lakshan aur Upchar

 

Dast Se Chutkara Pane Ke Upay

Baccho mai dast lagne ki shikayat kai dino tak rehne se dast mout ka karan bhi ban jata hai. Isliye iska sahi samay par ilaj kar lena chahiye. Dast lagne se sharir se pani aur khanij tatv bahar nikal jate hai aur poshak tatv bhi sahi se nahi mil pate hai.

Dast ko rokne ke kai tarike hote hai. Lekin sabse sahi upchar apni dincharya mai sahi tarah ke aur halke bhojan ko shamil karna hota hai. Iske sahi upchar ke liye yaha padhe treatment of diarrhea.

  1. Dast lagne par taje dahi, chaval, roti, aalu ki tarah surakshit khadya padartho ka sevan kare.
  2. Dast se rahat pane ke liye chutki bhar sonth ko shahad mai milakar kha le isse dast mai jald hi aaram milta hai.
  3. Adhik garmi hone par bhi dast ki shikayat ho jati hai. Aese mai 8 se 10 singhade ko kha lena chahiye sath mai 1 glass lassi bhi peena chahiye. Isse dast bhi band ho jate hai aur sharir ko thandak bhi pahuchti hai.
  4. 6 se 7 gram sonf aur saman matra mai jeera ko lekar bhoon le fir iss churn ko pani ke sath pee jaye. Yeh dast se rahat dilane mai madad karta hai.
  5. Jinn vyaktiyo ko dast ke sath khun aane lagta hai unhe gaay ke dudh se bana makkhan khana chahiye. 15 gram makkhan khane ke bad 1 glass lassi piye isse dast aur mal ke sath khun aane ki samasya khatam ho jati hai.
  6. Seb aur kele ka sevan kare. Inme upasthit pectin dast ki matra ko kam kar jald hi dast se chutkara dilane mai madad karta hai.

Adhik dast lagne se sharir mai susti aur kamjori aa jati hai. Aur aese mai yadi aap adhik taral padarth ka sevan nahi karte hai to kai anya swasth sambandhi pareshaniya jaise twacha mai sukhapan hona, dil ki dhadkano mai vraddhi hona, sardard hona aadi pareshaniya hone lagti hai. Isliye sahi samay par uchit upchar kare aur rahe swasth.

Upar aapne jana Diarrhea Treatment in Hindi. Yadi aap ya fir aapke aaspas koi bhi dast lagne se pareshan hai to iske lakshan ko pehchante huye uchit upchar kare.

Loading...

You may also like...