Exam Stress Tips: Pariksha Ke Dino Me Rahiye Tension Free

Sharir ki tarah aapke dimag ko bhi behtar kaam karne ke liye vyavsthit rahna bahut jaruri hai, jisse aap apani pariksha me safal ho sake. To iske liye aaj hum Exam Stress Tips denge jisse aap na keval aapni pariksha ke tension se chutkara payenge balki dimag tez hoga saath hi exam me kuch yaad rakhne me bhi asaani hogi.

To chaliye aaj phir dimagi ki kasrat karne ke liye apane aapko taiyar kare. Dimag ki kasrat sharir ki kasrat se different hoti hai, isiliye humare desh me shatranj ko bahut aham bhumika di hai. Ye dimag ki sabse katheen aur jordar kasrat hai.

Crossword puzzles ya computer par diye gaye game ko sabhi pasand karte hai. Aap in games se bhi shuruaat kar sakte ho aur agar aap ye bhi nahi karna chahate hai, to sabse asaan tarika hai, samanya istar par guna, bhag or jod- ghatav vale sawal ko solve kare.

To aaiye aaj hum batate hai Exam Stress ko kum karne ke tarike, jisse aap apani pariksha ki har tension aur problem ko dur kar sakte hai.

Exam Stress Relief: Tanav Ko kum Karke Memory Ko Badhaye

Exam Stress Relief

Week me ek baar joke ya kavita ko yaad rakhne ki koshish kare. Isse aapka dimag tej hoga aur iski shakti bhi badhegi. Saath hi naye- naye ideas ko samne aane de. Iske liye ek bacche ki tarah sochna hi kafi hai.

You may also like:- Bipolar Disorder: A Devastating Psychological Problem

Apane dimag ko dream day dekhne dijiye isse aapka dimag tej hoga aur kafi takat badhegi saath hi dhyan rahe ki, apane aap ko ek hi vyakti na banane de, ek vyakti me bahut sare vayktitv peda kijiye.

Aapko jo pasand hai, uske bare me soche tension ko kaam karne ki koshish kare.

Exam Stress: Pariksha Ke Tanav Ke Bare Me Na Soche

Kai students ko Exam ka naam sunte hi bhay lagta hai, unhe samj hi nahi aata ki ve kya kare. Unke man me kai sawal hote hai, jese ki, Kya ve pariksha me sabhi uttar de payege? Thoda aur pad leta to accha hota aadi.

Thoda bahut stress thik hota hai, jisse aapke sharir me adrenaline hormone peda hota hai, jo vyakti ko sachet aur focus banaye rakhta hai.

Thoda bahut stress thik hota hai, lekin jyada ghabraahat bhi preshani ka karna ban jati hai. To Isme student ko pariksha se pahle kuch baato ka dhyaan rakhna chahiye.

Exam Stress: Pariksha Ke Just Phale Diamag Ko Free Rakhe

Apan course samay par pad le uska reivision karte rahe. Apane aap ko relax karne ka upaye dhundhe. Pariksha se ek din pahle aur pariksha vale din ye upaya bahut faydemand hote hai.

Pariksha center ka rasta pahle hi pata karke rakhe saath hi exam se judi har vastu ko pahle se taiyar kar le, end time ke liye kuch bhi na chhode.

Exam ke Douran Dhyan Rakhe In Savdhaniyo Ko

• Exam hall me sahi samay par pahuche
• Exam hall me pahuch kar lambi gahri saans lijiye apane aapko relax kare.
• Paper milne se pahle jaruri samaan ko samne rakh le.
• Apne samne rakhi kisi bhi bastu par apna dhyan kendirit kre.
• Man me koi positive baat kosoche.
• Paper milne ke baad decide kar le ki, sabse pahle kin question solve karna hai.

Upar humne aapko Exam Stress ko kum karane ke bare me bataya hai to, agar aap ko bhi pariksha se dar lagta hai,to ghabray na is article ki tips ko pade aur apne jivaan me apnaiye, jisse aapka pariksha ka tension khatam ho jayga.

See more details of Exam-Stress-Tips from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...