Eye Health Tips in Hindi – Aankho Ki Behtar Dekhbhal

Aankhe hamare sharir ka sabse mahatvapurn ang hai. Iski madad se aap iss khubsurat duniya ko dekh sakte hai. Iske jariye aapko apne karya karne mai madad milti hai. Itna hi nahi karya karne ke alawa yeh hamari sundarta ko bhi bada deti hai.

Sundar aankhe insaan ki khubsurati ko doguna kar deti hai. Hum humari dincharya mai aakhon ki tulna kisi aur ang se nahi kar sakte. Yeh bahut hi anmol aur najuk hoti hai.

Hum sharir ko swasth rakhne ke liye kai tarah ke vyayam karte hai lekin humare sharir ka sabse aham ang aankh par humara dhyan nahi jata aur hum aankho ke liye beparwah rehte hai. Isliye aankho ki samasya bado ke sath sath aajkal baccho ko bhi ho jati hai.

Kam umra mai hi dhrsti kamjor ho jane ke karan chasma lagana padhta hai. Aaj hum aankho ko swasth aur khubsurat banaye rakhne ke tarike batane ja rahe hai to janiye Eye Health Tips in Hindi.
 

Eye Health Tips in Hindi – Swasth Aankho Ke Liye

 
Eye Health Tips in Hindi
 

  1. Kai chize aesi hai jinse hamari aankho ko nuksan pahuchta hai:-
  2. Aajkal gadiyo se nikalne wala pradushan aam baat hai, iska prabhav bhi hamari aankho par padta hai.
  3. Aparyapt poshan wale aahar se aankhe swasth nahi rehti.
  4. Lagbhag har kaam chahe wo office ka kam ho ya shopping ho sare chije computer par hoti hai. Isse bhi aankho ki dhrsti kamjor hoti hai.

Uprokt sabhi karano se aankho ki roshni kamjor hoti hai to aaiye apni aankho ki dekhbhal ke tarike jane:-

Poshtik Aahar Ka Sevan:- 

 

Gajar

Gajar mai vitamin aur minerals bahut adhik matra mai paye jate. Sath hi isme bita carotene bhi paya jata hai jo aankhn ki roshni badane mai sahayata karte hai. Iske atirikt isme lutin protein hota hai jo aakho ke vikaro ko dur karne mai madad karta hai.

Iske atirikt shakarkand mai bhi bita carotene hota hai, jisme vitamin A paya jata hai. Isliye iske sevan se bhi aankho ki roshni badti hai. Yeh ek faydemand Food for Eyes hai.
 

Hari Sabjiya

Hari sabjiya humare sharir ke liye bahut acchi hoti hai jaisi ki palak, methi, gobhi aadi. Inme collards, tarpin, Latin, zeaxanthin prachur matra mai hota hai. Isliye iska sevan karne se aankhe swasth bani rehti hai.
 

You May Also Like:- Home Remedies for Watery Eyes: Aankhon ka Pani Dur Kare

 

Ande

Ande mai protein aur antioxidant tatv paya jata hai. Jiske karan aapko motiyabind hone ki samasya hone ke asar bahut kam ho jata hai. Iske atirikat isme lutein protein hone ke karan aapke aankho ki roshni umra badne ke sath nahi jati.

Yadi aap machali ka sevan karte hai to yeh aapki aankho ki koshikao ko poshan dekar retina ko surakshit rakhti hai. Kyuki machali mai omega 3 fatty acid bharpur matra mai paya jata hai.
 

Shimla Mirch aur Tamatar

Shimla mirch aur tamatar mai prachur matra mai vitamin C paya jata hai. aur vitamin C aankho ke retina ko surakshit rakhta hai tatha motiyabind ki pareshani se bachata hai.
 

Akhroth

Akhroth mai lycopene aur beta carotene upasthit hota hai Jiske karan yeh dono carotenoids aankho ki roshani badane mai sahayak hote hai.

Jamun ka sevan bhi aankho ke liye bahut accha hota hai kyuki yeh vitamin A se bharpur hote hai.

Iske alawa kasturi ka sevan bhi accha hota hai kyuki kasturi mai zinc bharpur hota hai aur aankho ki roshani kam hone ka ek karan sharir mai zinc ki kami bhi hota hai.
 

Aankho Ki Safai Kare

Aankho ko hamesha swasth rakhne ke liye aankho ki pareshaniyo ko kabhi bhi andekha na kare jaise aankho se pani aana, jalan, sujan, aankho ka lal hona,  halka dhundhala dikhai dena, pilapan iss tarah ki pareshani hone par aakhon ki safai karna chahiye.

Eye Care Tips ke anusar din mai kam se kam do se char bar thande pani se aankho ko dhona chahiye taki pradushan ya kisi aur chij ke dwara hui gandagi pani ke sath dhul jaye.
 

You May Also Like:- Yoga for Eyes in Hindi: Aankho Ki Roshni Badhaye

 

Bharpur Nind Le

Nind lena sirf swasth ke liye nahi balki aankho ke liye bhi bahut accha hota hai. Rojana kam se kam 8 ghante ki nind lena bahut aavshyak hota hai. Yadi aapke aakho ke niche kale ghere pad gaye  hai to badam ke tel se halke halke hatho se malish kare.

Iske atirikt green tea mai vitamin C aur anti oxidant tatva  hote hai jo aakho ko swasth tatha kale ghere ko banne se rokte hai.
 

Niyamit Rup Se Pranayam Kare

Pranayam karna aapki aankho tatha swasthya dono ke liye bahut accha hota hai. Pranayam karne ke liye sabse pehle dhyan mudra mai baith kar dono hatho ko ghuthne par aur peeth ko ek dum sidha kar aankhe band karle aur lambi lambi saanse le. Isse thodi der tak lagatar kare.

Ab dono hatho ko hatheli se ragad kar aankho par rakhe aur andar hi andar 3 se 4 bar khole aur band kare. Aisa karne se aapki Eye Sight kamjor ho gai hai to wo badne lag jayegi.
 

Aankho Ki Janch Karwaye

Aakho ki kuch kuch samay mai janch karwate rehna chahiye taaki aankho mai thodi si samasya ho to wo samasya bade nahi. Aankho ki janch khaskar madhumeh se pidit rogi ko to karvana hi chaiye. Kyoki madhumeh se pidit vyakti ka aankho par bahut jyada dushprabhav padta hai aur lambe samay tak pareshani ke hone se andhapan bhi ho sakta hai.
 

Healthy Eyes Ke Liye Anya Upay Bhi Jane

  1. Jab bhi aap computer sceen par kaam kare 20 minute bad kuch samay ke liye aankho ko screen par se hata le. Taaki aankho ko aaram mil sake.
  2. Jab bhi aap ghar se bahar dhup mai nikal rahe hai to uv protected chashme ka istemal kare.
  3. Har 1 minute mai 10 se 12 baar palak jhapkate rahe iss tarah aapki aankhe rukhi nahi rahegi.
  4. Tv ya fir computer ko jyada paas se na dekhe , dur rakh kar dekhe.
  5. Kabhi bhi chalti hui bus aur gadi mai kitab na padhe isse aankho par jor padta hai tatha kharab hone lag jati hai.

 
Upar aapne jana Eye Health Tips in Hindi. Uprokt tariko ko apnakar aap apne aankho ko swasth rakh sakte hai.

Loading...

You may also like...