Eye Makeup Tips in Hindi: Aankho ko Sundar Banane ke Tarike

Aankhe humare chehre ka sabse akarshak hissa hoti hai. Aap kisi ke bare mai job hi sochti hai wah aapki aankho se jhalakne lagta hai. Aankhe, aapki acchi aur buri dono tarah ki feeling ko express kar deti hai.

Aamtour par logo ko badi aankhe acchi lagti hai. Kuch ladkiyo ki aankhe bahut sundar, badi aur akarshak hoti hai jinme kajal, mascara aur liner lagane ke baad unki khubsurati mai char chand lag jate hai. To aaiye apni aankho ko khubsurat banana ke liye jante hai Eye Makeup Tips in Hindi.

Yeh baat to sach hai ki ‘Aankhe Dil ki Juban Hoti Hai’, lekin asal mai aankho ke bare mai itna hi nahi hai, aankhe kai baato ka pratik hoti hai. Hume iss duniya ki khubsurati dikhane wali yeh aankhe, humari khud ki sundarta ko bhi darshati hai.

Lekin kuch ladkiyo ki aankhe chhoti hoti hai. Kabhi-kabhar aankho mai sujan aa jane se bhi wah chhoti dikhne lagti hai aise mai wah acchi nahi dikhti hai. Par aankho par kiya gaya makeup aapke chehre ko nikhar deta hai. Iss asamanjasya ki stithi ko dur karne ke liye hum aapke liye lekar aaye hai kuch khaas makeup tips jo aapki aankho ko dega perfect big look.
 

Eye Makeup Tips in Hindi: Apni Aankho ko De Perfect Look

  • Primer

Eye ka makeup ke chunav ko lekar vishesh savdhani barte. Khaas tour par jab aankhe thakan se bhari ho to yeh aur bhi jaruri ho jata hai. Eye Makeup Tips in Hindi ka pehla upay bhi yahi hai. Aapka primer aapke skin tone se match karna chahiye. Sawli mahilao ko aise prime ka chunav karna chahiye jo unki twacha ke anukul ho. Jaha tak primer lagane ki baat hai to iski patli si parat hi lagaye. Agar aap chahti hai ki aapka makeup lambe samay tak chale to aapko primer ka upyog karna hi hoga.
 

Eye Makeup Tips in Hindi

 

  • Eye Shadow

Aankho ke makeup mai eye shadow behad aham bhumika nibhata hai. Aapko humesha aise eye shadow ka chayan karna chahiye jo aapke rang se mel khata ho. Sadharan skin tone wali mahilaye pehle halke rang ka eye shadow lagaye. Agar aap thoda sa fashionable dikhna chahti hai to ek se adhik rang ke shades ka istemaal kar sakti hai. Lekin shades ke chunav ko lekar savdhani rakhe. Agar aapka shade color aapki twacha se mel nahi khayega to aapka makeup bhadda lag sakta hai.

  • Mascara

Aankho ke acche makeup ke liye palko par dhyan dena behad jaruri hota hai. Aankho ke makeup mai mascara ka upyog karne se palko ka volume badh jata hai. Isse aankhe aur bhi khubsurat aur badi nazar aane lagegi.

  • Eye Liner

Eye liner aur kajal ka aankho ke makeup mai kafi aham role hota hai. Halaki ise lagate samay thodi savdhani jarur baratni padti hai. Apni aankho ko ek behatrin sa look dene ke liye aap eye liner ko thoda choka karke lagaye. Saath hi bottom mai bhi line khichna na bhule. Isse aankho ki khubsurti badh jayegi.

  • Kajal

Aankhon ko khubusrat dikhane ke liye kala aur mota kajal bahut accha lagta hai.  Kajal lagane par aapki aankho ki sundarta kaafi bad jati hai. Bajar mai kai tarike ke kajal milte hai, isliye jab bhi aap kajal ka chunav kare to usme dekhe ki wo jyada samay tak aapki aankho mai tika rahe. Kyonki kai kajal bahut jaldi aankhon se fail jate hai aur aapka makeup kharab kar dete hai.

  • Shimmer

Kai ladkiyo ki aankhe chhoti hoti hai to unhe accha look dene ke liye shimmer ka istemal karna chahiye. Yeh ek tarah ka shining powder hota hai, jo aakhon ko sparkle effect deta hai. Shimmer ko aankhon ki palko par lagaya jata hai aur ise kafi savdhani se istemal karna chahiye.

  • Eye Lashes

Kai ladkiyo ki palke kaafi patli hoti hai, jisse unki aankhon ka look utana accha nahi aata jaisa ki wo chahti hai. Aankhon ko sunadar aur accha look dene ke liye aap eye lashes laga sakti hai.
 
You may also like:- Eye Care Tips in Hindi, Aankhon ki Sahi Dekhbhal
 

Aankhon Ka Aakar Makeup Ka Tarika
Convex eye Gehre eyeshadow aur highlights
Hooded eye Natural eyeshadow
Close set eye Halka eyeshadow
Asian eye 3 color ko mix karke highlights de
Small eye Ghehre rang ka eyeshadow

 

Aankho ki Khubsurti ko Badhane ke Liye Chune Unke Aakar ke Anusar Makeup

Aaiye apni aankho ke shape ke anusar makeup prakriya ko jane aur inn Eye Makeup Tips ke anusar banaye unko sundar aur attractive…

  • Ubhari Aankhe (Convex Eye):

Ubhari aankhe wesi aankhe hoti hai jo bahar ki taraf nikali huyi hoti hai. Isliye inhe bleasing ya producting eyes bhi kehte hai. Inn aankho ko medium color se gehre rang tak ke eye shadow se palko par shade de. Inn par kabhi bhi frostate shades ya highlighter ka istemaal na kare. Isse aankhe aur jyada ubhari nazar aayegi aur aapki khubsurati bigad sakti hai. Aankho ke nichle kinaro par kajal pencil lagaye. Upari eyelashes par mascara k eek-do halke coats lagaye ja sakte hai.

  • Gehri Aankhe (Deep Set):

Gehri aankhe bhitar dhansi huyi dikhai deti hai. Brow bone (aankho aur boho ke bich ki haddi) ka ubhar bhi kam hota hai. Inn par aisa makeup kiya jana chahiye jisse aankhe ubhari dikhe. Palko par halka daba huya pink shadow lagana accha rahega. Aankho ki upari rekha crease ki taraf use halka kare. Aankho ke upari hisse mai bani line ko smoky color shadow se gehra kare. Yeh pure makeup se match karne wala ho. Aur aakhir mai kali ya bhuri pencil se kajal lagaye.

  • Unindi Aankhe (Hooded Eye):

Jinn aankho mai eyelashes bahut kam hote hai, wese aankhe unidi si lagne lagti hai. Iss tarah ki aankho ko aisa makeup karne ki jarurat hai jinse yeh thodi sajag dikhai de. Soyi-soyi si ya nashili sin a dikhe. Palko ke bhitari aadhe hisse par mate ya neutral color ka Eye shadow lagaye. Uske aas-paas ke hisse par thoda gehra rang lagaye, lekin ise bahari hisse mai na lagaye. Gehre rang ke istemaal se parhej kare. Isse aapki palke bhari lagne lagegi. Aankho ke upari aur nichli kinaro par bhi gehre rango ka istemaal na kare.

  • Close-Set Eye:

Iss tarah ki aankho mai dono aankho ke bich ki duri kam dikhai padti hai. Yani naak se inki duri jara kam hoti hai. Inn aankho ke makeup ke liye palko ke bhitari hisse par halka aur bich ke hisse par medium shade lagaye. Upari palko ke bahari kinaro par ek line si khiche. Ab brow bone ke bahari yani kaan ki aur wale hisse par gehra shadow lagakar use acchi tarah eksaar kare. Aankho mai black kajal laga sakti hai. Agar aap mascara lagana chahti hai to bhitari lashes par halke rang ka aur bahari taraf thoda gehre rang ko istemaal mai laye.

Best Eye Makeup Tips
  • Asian Eye:

Naak ke bhitari kinaro ki aur thodi si jhuki huyi aankho ko asian eye kehte hai. Inme shadow ka prayog karte samay layering effect dene ke liye 3 rango ka prayog kare. Eye lashes ke paas halka shadow lagaye, palko par medium color aur brow bones par behad halke rang ka prayog kare. Aankho ke kinare line ya upari taraf crease banane se bache. Eye liner ka prayog kewal aankho ke upari hisse par karna behtar rahega.

  • Vice Set Eyes:

Close-Set Eye ki tulna mai inki duri naak se thodi jyada hoti hai. Ilsiye aise makeup ki jarurat hoti hai jo aankho ko balance dikhaye. Aankho aur naak ke bich wale hisse par chhote brush se apne skin tone se thoda gehra tone powder lagaye. Naak ki taraf brush karte huye powder ko eksaar kare. Brow ki bahari rekha par neutral-toned highlighter ka istemaal kare. Crease line par shade de aur aankh ke bhitar kinare naak ki taraf wale hisse ko ubhare.

  • Round Eye:

Gol aankho ke liye gehre rang ka shadow chune. Naak ki aur se shuru karke brow ke bahari taraf upar le jate huye shadow ko acchi tarah eksaar kare. Nichli palak par halke toned shadow ya pencil ka prayog kare au rise upar ki aur bahari hisse tak le jaye. Brow line ke paas muted highlighter lagaye. Isse aapki round eye sundar dikhegi aur aap attractive chehra paa sakegi. Agar aapki aankhe halki hai to usko pencil ya eye liner se shape de.

  • Almond Shaped Eye:

Inn aankho ko sarvottam mana jata hai. Inhe kai tarah se sajaya ja sakta hai. Jese barik eye liner, kratim eye lashes, bright colors. Sabse pehle brow bone mai skin tone ke mutabit halke rang ka shadow prayog mail aye. Eye lead se kuch shade gahara rang chune. Aankh ke nichle kinaro par black ya brown kajal pencil se rekha banaye. Aankho ke bahari kinaro ki taraf ubharne ki koshish kare. Agar aapki aankhe nili hai to blue pencil ka bhi istemaal kiya ja sakta hai.

You may also like:- Home Remedy Tips to Reduce Dark Circles under Eyes

  • Chhoti Aankhe:

Yadi aapki aankhe chhoti hai to inhe bada dikhane ke liye palko ke bahari kinaro par upar ki taraf halke rang ka powder shadow chhote blusher ki madad se lagaye. Crease ke paas gehra shadow prayog kare. Lekin naak ki taraf aankho ke bhitari hisse par koi rang na prayog kare, kyuki isse aankhe aur chhoti dikhne lagegi. Kinaro par shadow lagane ke liye brush ka prayog kare. Iske baad aankh ke nichle hisse par halki grey color pencil se rekha banaye.

  • Nistej Aankhe:

Nistej aankho ke liye Eye Makeup aankho ke bhitari hisse se shuru kare. Upari aur bahari taraf medium toned shadow brush ki madad se lagaye. Ise brow line ke thik paas tak lakar chhod de. Palko ki bahari rekha par kisi bhi rang ka prayog na kare. Lekin aankh ki upari crease line ko thoda ubharne ki koshish kare, medium brown eye shadow se rekha banaye, phir apni palko ko thoda curl kare. Mascara ke kuch coats bhi isme madad karege.

 
Upar aapne jane Eye Makeup Tips in Hindi. To inn tariko ki madad se aap apni aankho ko sundar bana sakte hai aur attractive dikh sakte hai.

Loading...

You may also like...