Facial Benefits in Hindi: Ab Ghar Par Chamkaye Twacha

Aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Facial Benefits in Hindi. Jisse aap inn tips ko apna kar ghar par hi rah kar sundar dikh sakte hai. Saath hi jaldi apni prakritik khubsurti ko banaye rakh sakte hai.

Ab ghar par hi banaye homemade facepack aur chamkaye apni skin ko, bina parlor jaye. Saath hi aapko iska koi side effect bhi nahi hoga.

Hum jaise hi ghar ke bahar nikalte hai hamara samna pradushan se hota hai. Pradhushan hamare swasth ke saath-saath skin ke liye bhi hanikarak hota hai. Humara chehra sabse pehle dhoop aur dhool se prabhavit hota hai.

Acche swasth ke saath-saath acchi twacha bhi jaruri hai. Aur khubsoorat twacha ke liye aapko baar-baar parlor jane ki bhi jarurat nahi. Hum aapko batayenge kuch aise tips jinse aap ghar par hi facial ka laabh utha sakte hai.
 

Homemade Facial Tips ke Dawra Paiye Sundar Twacha

 

Facial-Benefits-in-Hndi    

 

  • Face Cleaning:- Cleaning Facial ka 1st step hai. Apne chehre par lage makeup aur uss par chipki dhool ko saaf kijiye. Iske liye aap thande doodh ka upyog kar sakte hai. Dhyan rakhe chehre par makeup nahi rahna chahiye. Iske baad chehre par taazi malai lagaye aur ise gile kapde se saaf kare.
  • Face Scrubbing:- Scrubbing rukhi twacha ki safai ke saath hi blood circulation bhi badhata hai. Badam ke chhote-chhote tukde kijiye aur use thode se doodh ke saath milaiye. Isse aapka scrub ready ho jayega. Aap iski jagah neem ke upyog bhi kar sakte hai. Scrubbing ke liye apne haatho ko circular motion mai ghumaye. Iske baad chehra ko geele kapde se saaf karde.
  • Homemade Blackheads Removal:- Next step hai chehre se black heads aur white heads ko hataiye. Isse chehre ki saari gandagi dur ho jaati hai. Kuch aushadhi guno vale paudhe jaise lavender aur calendula ko paani mai ubaal le aur iss paani ki bhaap lagbhag 5 minute tak chehre par le. Isse aapki twacha ke romchhidra khul jayenge. Iske baad black heads nikalne wale tool se black heads nikal le. Jab ek bar romchhidra ki safai ho gayi to inhe band karne ke liye cold pack ka use kare. Pack ke liye chamomile tea mai ice dale aur dheere-dheere chehre par male. 

You may also like:- Kesar Benefits in Hindi: Saffron se Nikare Khoobsurti
 

How to do Facial at Home and Facial Benefits

Yeh Facial ka sabse important step hai. Iske liye aap ghar par kai tarah ke facepack bana sakte hai. To aaiye jante hai Facial Benefits in Hindi aur ghar par hi apake chehre ko sundar banate hai:

  • Ek cup aate mai 2 chammach haldi, 2 chammach chandan, 2 chammach badam ka tel aur thoda paani milaye. Iss paste ko apne chehre par lagakar 30 minute ke liye chhod de. Ise utarte samay chehre ki massage kare. Yeh pack un logo ke liye bahut laabhkari hai jinhe pimples ki problem hoti hai.
  • Ek egg ke jardi ko ek chammach shahad ke saath milaye. Ise chehre par lagakar 20 minute ke liye chhod de. Ye wrinkle waali twacha ke liye faydemand hai.
  • Gajar ko kiss ke 2 chammach dudh powder ke saath milaye. Iss mask ko apne chehre par lagakar 20 minute ke liye chhod de. Isse twacha nikhri aur khili huye dikhai degi.
  • Papita prakritik tarike se dead koshikao ko utarta hai. Anti bacterial gun se yukt shahad aapki skin ko mulayam banata hai. Jabki citric acid yukt nimbu aapki twacha ko chamakane ka kaam karta hai. Isliye papita, shahad aur nimbu ko milake accha sa paste bana kar apne chehre par lagaiye.
  • Twacha ko chamkane ke liye haldi, chandan powder, besan aur doodh ka ubtan twacha par lagaiye. Anti oxidant guno se bharpur haldi aur chandan twacha ke liye bahut accha hota hai. Saath hi twacha ki rangat ko nikharne mai madad karta hai.

 

You may also like:- Beauty Tips in Hindi: Daag Rahit Chehre ka Raaz
 
Aap Kounsa Facial Chune?


Dull skin walo ke liye Papite ka facial
Muhanse hone par Neem ka facial
Sadharan twacha ke liye Gajar ka facial
Jhurriyo wali twacha ke liye Ande ka facial
Kali twacha ke liye Kakadi ka facial

 

  • Kadvi neem ki 100 gm pattiya aur 1 ya 2 laung le lijiye. Neem ki pattiyo ko piskar ise nikal lijiye, isme ek laung daal kar refrigerator mai rakh dijiye. Fir iss mishran se chehre ko saaf kijiye. Acne aur pimple ke liye yeh ghol bahut faydemand hai. Oily twacha ke liye iss ghol ka prayog kijiye.
  • Masoor dal 50 gram, chandan powder 50 gram, chutki bhar haldi, 25 gram gulab ki pattiya, laung aur ek tikiya kapoor le kar sabko ek saath milakar pis lijiye. Ab iss mishran ko apne face par lagaiye. Yeh pack rukhi aur oily dono prakaar ki twacha ke liye faydemand hai. Agar chehre par pimple hai to, isme neem ka ras bhi mila lijiye.
  • Multani mitti, santre ka powder, safed chandan inn sabhi ko acche se milakar paste bana lijiye. Ab iss paste ko aap apne chehre par lagaiye tatha sukhne par saade pani se dho lijiye. Isse aapko bahut fayda milega.
  • 2 chammach kakdi ka ras, 2 chammach gulabh jal.  Inn dono ko mila lijiye. Ab iss paste ko apne chehre par lagaiye. Fir kuch der baad halke haatho se iss paste ko saaf kar lijiye. Iss prayog ko week mai 2 baar jarur kijiye. Iss mishran se aankhon ke kale ghere bhi khatam ho jate hai.
  • Gulab aur chandan mai chutki bhar haldi powder aur lagbhag 1 ½ chammach gulab jal mila lijiye. Iss face pack ko lagane se pahle rui ko gulbh jal mai dubo kar use apne chehre ko pochiye. Isse aapka face saaf ho jayega. Fir iss paste ko lagaiye.
  • Gulab aur tulsi pack banane ke liye ek badha chammach multani mitti, 1 ½ badhe chammach gulab jal, ek chhota chammach sukhi tulsi ka powder aur aadha chhota chammach neem powder aur ek chhota chammach malai rahit dahi lekar sabko ek saath mila lijiye. Ab iss paste ko apne chehre par lagaiye.
  • Gulab aur haldi pack banane ke liye ek badha chammach ki gulab ki taazi pankhudi, 14 chhote chammach kacchi haldi, ek bund oil aur badha chammach chandan powder lekar mila lijiye. Ab iss paste ko apne chehre par lagaiye aur sukhne par apne chehre ko saade paani se dho lijiye.

 
Facial ka fayda tabhi milta hai jab iski puri prakriya acche se ki jaye. Cleansing se lekar pack pack lagane tak har step jaruri hoti hai. Yadi aapko nahi samajh aa raha hai ki kounsa facepack aapke liye accha hai, to pareshan mat hoiye ham aapko bata rahe hai ek behtarin facepack sundar twacha ke liye:-

Haldi se bana pack: Har ghar mai haldi moujud hoti hai, aesa shayad hi koi ghar hoga jaha kitchen mai haldi na ho. Aur yadi aapke ghar mai haldi nahi bhi hai tab bhi aap ise bahut hi kam keemat mai bajar se kharid sakte hai. Haldi ka pack banane ke liye aapko chahiye:-

  • Haldi
  • Nimbu Ka Ras
  • Chane Ka Aata
  • Dudh

Ek katori mai do chammach kaccha dudh le aur usme aadha chammach nimbu ka ras dale, aadha chammach haldi dale aur 2 chammach aata dale. Fir iss mishran ko acche se mix karke chehre par lagale. 15 minute ke liye lage rehne de. Ab chehre ko saaf pani se dho le aur cotton ke kapde se ponch le.
 
Chehre par mask lagane ke baad apni aankhon par kheere ke tukde rakhe aur relax ho jaye. Isse aapki twacha ke sath hi body aur mind ko bhi aaram milega. Chehra dhone ke baad moisturizer lagaye.

Get more details about Facial Benefits in Hindi from Beauty.

Loading...

You may also like...