Hair Removal Tips in Hindi: Anchahe Baalo Ko Hatane Ke Upaye

 

Aajkal har koi fashionable dikhna chahta hai. Fashionable dikhne ke liye log kai chize karte hai jaise latest trend ka makeup, kape, jute aadi. Agar ladkiyo ki baat kare to fashionable dikhne ke liye wo chote kapde pehnna pasand karti hai. Aajkal ke modern lifestyle mai sleeveless aur shortdress pehnne bahut hi aam baat ho gayi hai.

Short dresses pehnne ke liye aapke sharir ki twacha ka saaf dikhna bahut jaruri hai. Isliye jin ladkiyo ke sharir mai baal hote hai unhe apne pasand ke kapde chhodkar kuch aur pehnna padta hai.

Sharir se anchahe baalo ko hatane ke  kai tarike hai jaise waxing, threading aadi. Inn upayo ko apnane se hame anchahe ballo se chutkara to mil jata hai, lekin yeh tarike apnane se hair growth aur badh jati hai. Aese mai hamesha parlour jane ka jhanjhat bana rehta hai.

Isliye behtar hoga yadi ham gharelu upayo ka sahara le. Isse hame anchahe balo se nijad bhi milegi aur kisi tarah ke side effects ki chinta bhi nahi satayegi. To aaiye jante hai Hair Removal Tips, sharir ke anchahe baalo se chutkara pane ke gharelu upaye.
 

Home Remedies for Hair Removal Se Hataye Unchahe Baal

 
Hair Removal Tips in Hindi
 
Sharir par unchahe baalo ke hone ke kai karan ho sakte hai. Jaise harmonse me asantula, kaam ka tanav. Kabhi kabhi to adhivrakka (Adrenal) granthi par tumor hone par sharir par anchahe baalo ki growth badh jati hai. Ise door karne ke liye aaiye jante hai Home remedies.

Shahad aur Chini Ka Mishran

Shahd aur nimbu twacha ki sundarta badane aur rangat nikharne ke liye bahut hi faydemand hota hai. Iska prayog unchahe baalo ko hatane ke liye bhi karagar hai. Iske liye shahad, nimbu ka ras aur chini ko saman matra mai lekar garm kar le. Uske bad iss mishran ko haath aur pairo par laga le, lagane ke bad iss par cotton ke kapde ki patti chipka kar khiche. Aesa karne se unchahe baal nikal jate hai.

Haldi Ka Prayog Kare

Twacha ke liye haldi ek antiseptic ka kam karti hai. Iska prayog unchahe baalo ko hatane ke liye bhi kiya jata hai. Iske liye haldi mai besan ko milakar gadha ghol taiyar kare. fir ise chehare aur hath-pairo par laga le. 15-20 minute ke bad halke hatho se ghise. Aesa rojana karne se unchahe baalo se chutkara paya ja sakta hai. Besan se twacha mulayam bhi banti hai isliye iska prayog jyada labhkari hota hai.

Nimbu Bhi Hai Faydemand

Face Hair Removal ke liye nimbu bhi behad faydemand hota hai. Iska upyog keel aur muhaso ko thik karne ke liye bhi kiya jata hai. Sharir se atirikt baal hatane ke liye nimbu aur chini ke ras ko mila le aur fir ise chehre par laga le. Ise lagane ke baad baalo ki growth ki disha mai halke hatho se malish kare. 5 minute ke baad ise dho le. Aesa rojana karne se dhire dhire chehre ke unchahe baal khatam hone lagte hai.
 

You May Also Like:- Home Remedies for Dark Circles: Aankho Ke Kale Ghere Hataye

 

Dahi Aur Besan Ka Prayog Kare

Besan aur dahi ka mishran taiyar kar haath, pairo aur chehre par laga le. Halka sukhne ke baad ise haatho se ragde. Aesa niyamit tour par karne se sharir ke unchahe baalo se mukti milti hai.

Papita (Papaya)

Papita poshak tatvo se bharpur hota hai. Iska prayog karne se sharir ke unchahe baal hamesha ke liye khatam ho jate hai. Iske liye kacche papite ko sharir ke baal wale sthan par 15 minute tak ragde. Aesa kuch hafto tak roj kare, aapko khud fark dikhne lagega.

Ande Ka Mask

Ande mai paye jane wale tatva bhi sharir ke unchahe baalo ko hatane mai sahayak hote hai. Ise lagane ke liye iska mask taiyar kare aur fir ise chehre par laga le. Thodi der bad chehre ko geele kapde se saaf kar le. Aesa karne se baal kapde par chipak kar nikal jate hai. Iss vidhi ko rojana karne se jald hi unchahe baalo se chutkara paya ja sakta hai.

Aalu

Sharir ke atirikt baal hatane mai Aalu, oxy bleach ki tarah kaam karta hai. Ise lagane ke liye daal ke sath ise piskar mishran taiyar kare. Fir ise chehre par laga le. Halka sukhane ke bad malish kare aur thande pani se dho le. Aesa niyamit roop se karne se unchahe baalo ko kam kiya ja sakta hai.

Hair Removal Tips:  Anya Tarike Inhe Bhi Apnaye

  1. Pumice ke patthar ko nahate wakt haath, pairo par ragadane se baalo ko hataya ja sakta hai.
  2. Laser ke dwara bhi unchahe baalo se hamesha ke liye chutkara paya ja sakta hai. Lekin yeh taknik bahut mehandi hoti hai.
  3. Wexing karne se lambe samay tak ke liye unchahe baalo se chutkara paya ja sakta hai.
  4. Bleaching ka prayog chehre aur galo ke aaspas ke baalo ko chupane ke liye kiya jata hai. Isse balo ka rang badal sunhara ho jata hai aur wo dikahi nahi dete hai.
  5. Threading ke dwara bhi anchahe baalo ko hataya jaa sakta hai.

 

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...