Garbhashay Fibroids ko Kam Karne ke Liye Khaye Yeh Aahar

Garbhashay se jude rog shahri mahilayo mai aam ho gaye hai. 3 mai se 1 mahila ko aniyamit mahawari ki samasya se jhujna padta hai, jisse unhe garbhashay se cyst ya yutrine fibroids jesi ghatak bimari ka shikar hona padta hai.

Agar fibroids ki samasya ka ilaj na kiya gaya to isse banjhpan bhi ho sakta hai. Jyadatar mahilao ko pata hi nahi ki fibroids hota kya hai? Fibroids manshpeshi ki parat hoti hai jo garbhashay ki diwaaro par ikkatha hone lagti hai aur yeh hormonal ki sakriyata ki wajah se hoti hai. Baad mai yeh tumor ban jata hai aur ilaj na hone par yeh cancer ka roop le leta hai.

Agar fibroids ka aakar bada ho chuka hai to doctors iska ilaj ya to dawai de kar karte hai ya phir micro surgery dwara karte hai. Par agar fibroids ko prakritik tarike se thik karna hai to uske liye kuch aise khadya padartho ka sevan karna chahiye jo fibroids ke aakar ko sikod de. Inn aaharo ke niyamit sevan se liver atyadhik estrogen ko sharir se bahar nikalega jisse hormone balance hoga aur fibroids samapt hoga.

You may also like:-Raat Mai Halka aur swasthvardhak Khana Khane ke Upay

Garbhashay Fibroids ko Thik Karne ke Liye Aneko Khadya Padarth

Garbhashay Fibroids

Daal aur Beans:-

Rajma, beans aadi khane se sharir ko ek tarah ka chemical jise fotoestrogen kahte hai, yeh hume inn daal aur beans se prapt hota hai. Yeh fibroids ko sikodta hai.

Dher Sara Pani:-

Pani pine se sharir se fat, toxin aur atyadhik hormone bahar nikal jata hai aur aapko behtar swasth deta hai.

Lahsun:-

Kacchi lahsun mai antioxidants hote hai jo ki tumor ko badhne se rokte hai.

Broccoli:-

Broccoli hari rang ki, fiber se bhari aur bina calorie ki hoti hai. Broccoli mai ek tarah ka enzyme hota hai jo ki tumor ke growth ko rokne mai madadgar hota hai.

Guggul:-

Guggul cough, vaat, krami aur arsh nashak hota hai. Iske alawa isme sujan aur jalan ko kam karne ke bhi gun hote hai. Garbhashay se jude rogo ke liye guggul ka sevan bahut faydemand hota hai. Garbhashay mai fibroids ki samasya hone par aap guggul ko subah-sham gud ke saath sevan karna chahiye. Agar rog bahut jatil hai to 4 se 6 ghante ke antar par iska sevan karte rehna chahiye.

Salman Macchli:-

Thande pani ki macchli salman ke andar dher sara accha fat hota hai jo ki sharir se bhari matra mai estrogen ko nikalne se rokta hai. Iss macchli mai sujan kam karne ke bhi gun hote hai.

Adrak ki Jad:-

Garbhashay mai rakt ke pravah aur parisancharan ko badhawa dene mai istemaal kiya jata hai. Badha huya circulation garbhashay, andashay ya fallopian tube ki sujan ko kam karne mai madad karta hai.

Kacchi Sabjiya:-

Kacchi sabjiyo mai fiber hota hai jo ki sharir mai hormone ko balance karne mai kafi madad karta hai.

Haldi:-

Haldi sujan ko kam karti hai. Saath hi yeh liver se vishele padartho ko nikalne mai madad karti hai. Agar liver mai aise hi vishele padarth bhare rahege to aapka liver atyadhik estrogen ko nahi nikal payega aur iss wajah se aap kabhi apne hormone ko balance nahi kar paygi.

Badam:-

Badam mai omega 3 fatty acid hota hai jo ki utrus ki lining ko thik karte hai. Fibroids jyadatar utrus ki lining par hi hote hai.

Upar aapne jane garbhashay fibroids ko thik karne ke liye aise khadya padarth jinki madad se aap apni iss pareshani ko aasani se thik kar sakte hai.

Loading...

You may also like...