Holi Special: Padiye Hair And Skin Care Tips in Hindi

Vese to Holi ki masti se chupna nahi chahiye, par Holi khelne se pahle kuch savdhaniyo ko bartna chahiye, Kyuki holi ke rango ke rasayana aapki skin aur hair ko damage karte hai.

Vese purane samay me chandan, tesu ke phool, gulal aur haldi se Holi khelte the, lekin aaj kal to rasayanik rango ki bolabali hai.To ese me savdhani bartna bahut jaruri hai.

Holi ke rango me kai rasaynik aur vishaile padarth hote hai, jo muh, nakhun, twacha ke dwara sharir ke andar pahuch kar andruni hisso ko nuksaan pahuchate hai.

Lekin in sab problems ke karan aap is rango ke din ko celebrate karna na chhode, isiliye hum aapko Holi ke rango ke sideeffect se bachne ke tarike batate hai, Hair and Skin Care Tips in Hindi.

Holi-Special

You may also like:-Milk Benefits Jo De Aapko Sundar Twacha Aur Baal Ek-Saath

Holi ke Liye Skin Care Tips in Hindi

• Holi ke din aap pure sharir ko cover karne vale kapde pahne.
• Accha hoga agar aap kpde ke andar koi swimsuit pahne le, jisse Holi ke rasayan andar nahi jayge.
Holi khelne se pahle accha hoga agar aap tel ya cream se massage kar le.
• Aapne nakhuno ke upar vaseline laga le.
• Jab bhi rang kharidne jaye to hara begin, peela, narangi color na lekar laal ya phir gulabhi rang kharide.
• Color lagane ke baad suraj ki roshni se dur rahe.
• Holi khelne ke baad turant sabun na lagaye, uske pahle koi tel lagaye, phir koi miled sabun se nahale.
• Rang dhulne ke baad agar aapko suraj ki roshni me jana ho to sunscreen ka use kre.
Holi khelne ke baad twacha rukhi ho jati hai, to iske liye sharir par malai aur besan ka paste banakar lagaye. Saath hi dhyan rahe ki, Jin logo ke sharir par koi ghav ya chot ho unhe Holi nahi khelni chahiye.

Holi ke Liye Hair Care Tips in Hindi

• Holi khelne se pahle baalo ko acchi tarah se tel se massage kre.
• Agar aapke baalo me rang laga hai , to suraj ki roshni me na jaye.
• Baalo ka rang saaf karne ke liye nimbu ka ras lagaye, phir aapne baalo ko dhole.

Holi Special Tips

Apni aankho ka vishesh dhyan rakhe. Aankho ko rang, gulal, abeer se bachaye, kyuki isme mojud potassium dichromate namak hanikarak tatva ankho ko kafi nuksan pahuchata hai.
Yadi koi rang aankh me chala gaya hai to, aapni ankho ko tab tak pani se dhoye jab ki ye rang puri tarah se na nikal na jaye.

Upar humne aapko Holi ke rango ke side effect se bachne ke liye bataya hai, Hair and Skin Care Tips in Hindi. To enjoy kre ye colorful day in tips ke saath.

Get more details about Hair and Skin Care Tips in Hindi from Beauty.

Loading...

You may also like...