Hair Loss Treatment for Men in Hindi – पुरुषों में बालों का झड़ना रोकने में मददगार

Har vyakti apne baalo ko swasth aur ghane banaye rakhna chahta hai. Kyoki baal aapki khubsrati mai char chand laga dete hai. Lekin baalo ko jhadna aajkal bahut aam baat ho gai hai, rojana 50 se 100 baalo ka girna to jaise samanya hai.

Kintu jab yeh samasya bad jati hai to chinta ka karan ban jati hai. Aajkal mahila se tulna kare to purusho mai bhi yeh samasya kaafi badti ja rahi hai.

Purusho mai samanya baalo se jyada baalo ka girna ya ek hi jagah se jayda baal jhadne se ganjapan aa jata hai. Baalo ke jhadne ke kai karan ho sakta hai jaise khan pan ki kami, minerals ki kami, jyada davaiyo ka sevan, tanav, pradushan, baalo ki thik se dekhbal na karna aur purshuo mai helmet lagana bhi baal girne ka ek karan ho sakta hai.

Kai purush mai to vashanugat bhi ganjapan ho sakte hai. Lekin aap pareshan na ho aaj hum aapko Hair Loss Treatment for Men in Hindi ke dwara baalo ko swasth aur majboot banaye rakhne ke liye kuch tips de rahe hai. Jiski sahayata se aap baalo jhadane se rok payenge.

Hair Loss Treatment for Men in Hindi: Girte Baalo Ke Upay

Hair Loss Treatment for Men in Hindi
Mild Shampoo Ka Kare Istemal

Baalo ko rojana mild shampoo se dhoye taaki sari gandgi saaf ho jaye kyuki shampoo se baal dhone par sankraman aur dandruff dono nahi hota. Baalo mai shampoo karne se na sirf baal swasth rehte hai balki jhadte bhi nahi hai.

Neem Baalo Ko Jhadne Se Bachaye

Neem ka puodha aapke ghar ke aas pas aasani se mil jata hai yeh sirf twacha ke liye nahi balki baalo ke liye bahut faydemand hota hai. Neem mai antiseptic gun hota hai jo becteria ko khatam kar deta hai.

  • Iske liye taji neem ki kuch pattiyo ko le aur ek bartan mai ubalne ke liye rakh de.
  • Ise tab tak ubale jab tak ki bartan ka pani aadha na ho jaye.
  • Ab iss pani ko thanda hone de aur uske bad baalo ki jado mai lagaye.

Baalo Ko Jyada Ragde Nahi

Kai log baal dhone ke bad towel se baalo ko ragad kar sukhate hai, jisse baalo par jor padta hai we aur kamjoor hokar tut jate hai. Kyonki towel pure cotton ke nahi hote hai aur yeh  baalo ke liye sahi nahi hai. Isliye jab bhi baalo ko pouche suti towel ka istemal kare aur gile balo ko jyada der tak na ragde.

You may also like:- Home Remedies for White Hair in Hindi: Safed Baal Kale Kare

Faydemand Hai Nariyal Ka Dudh

Nariyal parakrati ki di hui den hai, jo baalo ke liye bahut accha hota hai. Iske alawa ise baalo par lagana bahut kargar sabit hota hai kyuki yeh baalo ki koshikao ko poshan pradan karta hai.

Isliye jab bhi nariyal ko baalo mai lagaye nariyal ko kees kar uska dudh nikal le aur isko baalo ki jado mai lagaye. Kuch dino tak iska upyog karne se aapke bal swasth aur majboot ban jayenge.

Vitamin Ki Kare Purti

Vitamin na keval sharir ke liye balki baalo ke liye bhi utna hi faydemand hota hai. Yadi aapke sharir mai vitamin ki kami hoti hai to aapke baal bhi kamjoor hokar girne lag jate hai. Kyuki Vitamin A sar ki jado mai sibum ki matra badata hai vahi Vitamin E sar mai rakt sanchar ko badata hai. Jisse baal majboot hote hai aur Vitamin B baalo ka rang banaye rakhne mai madad karta hai.

Level Baal ke patle hone ki jankari
I Iss avastha mai baal ka girna kam dikhta hai
II Iss avastha mai sar aas pas se ganja ho jate hai
III Bahut adhik marta mai baal jhadne lagte hai
IV Dono taraf se baal gir kar patle ho jate hai
V Iss avstha mai piche ki taraf aur kaan ki taraf se baal udd jate hai

Pyaaj Ka Ras

Yadi aapke baalo ka girna kam nahi ho raha hai to pyaaj sabse sasta aur accha illaj hai. Yeh har ghar mai aasani se mil jata hai. Pyaaj ke ras ko baalo mai lagane ke liye pyaaj ko katkar mixer mai pees le, tatha baalo mai pyaaj ka ras lagane se pehle toliye ko garam pani mai nikal kar nichod le aur baalo ko aadhe ghante ke liye dhak de.

Iske bad baalo mai pyaaj ka ras lagaye aur kuch der bad baalo ko mild shampoo se dho le taaki pyaaj ki badbu nikal jaye. Aesa karib 1 mahine tak karenge to aapke baal fir se ghane ho jayenge.

Tel Ki Malish

Yadi aap baalo ki samasya se kafi dino se pareshan ho rahe hai to aap rojana tel ki malish kare. Yeh sabse behtarin Hair Fall Solution hai. Aap chahe to iss tel mai sugandhit tel ko bhi mila sakte hai, tel se massage karne par sar mai hair follicle sakriya hote hai aur baal jhadna kam hote hai.

Gile Baalo mai Kanghi Naa Kare

Jab baal gile hote hai unki jade uss avstha mai kamjoor hota hai. Aese mai jab aap gile baalo mai kanghi karte hai to baal jhadne lagte hai. Isliye yadi kanghi karna jaruri na ho to iska istemal na kare. Iske alawa jyada bar kanghi karne se bhi baal kamjoor hote hai aur jhadte hai. Aap chahe to halki halki ungliyo se baalo ko suljha sakte hai.

Har Thodi Der mai Pani Piye

Baalo ko majboot banane ke liye baalo ki jado ko pani ki bahut jarurat hoti hai. Yadi aap baalo ko swasth aur khil khilata banana chahte hai to dinbhar mai kam se kam 6 se 8 glass pani jarur piye. Isse aapke baal swasth bane rahenge.

You may also like:- Home Remedies for Healthy Hair: Sundar Ghane Baalo Ke Liye

Green Tea Baalo Ke Liye Labhkari

Green tea sharir ke liye to faydemand hai hi sath hi baalo ke liye bhi labhkari hai. Ek research ke dwara pata chala hai ki green tea baalo mai lagane se baalo ko jhadane se roka ja sakta hai.

Ise baalo mai lagane ke liye ek cup pani mai green tea ko dale aur ise ubal le. Jab yeh thandi ho jaye to ise baalo mai laga le. Tatha 1 ghante bad baalo ko shampoo se dho le. Aesa kam se 7 se 10 din tak karenge to aapko iska fayda dekhne ko milega. Green Tea for Hair Growth aap khud mehsus karenge.

Sar Se Pasine Ko Dur Kare

Jinke bhi baal teliya hote hai unke baalo mai dhul mitti jaldi chipak jati hai aur wo jaldi gande ho jate hai. Baalo mai jami gandagi ke karan baal jhadne ki sambhavna bad jati hai. Isliye aloe vera aur neem yukt shampoo ka istemal kare isse baal ki gandahi bhi dur ho jayegi aur dandruff bhi nahi hoga.

Jo bhi purush helmet pehante ya vyayam karte hai unke sar mai pasina jaldi aata hai aur pasina baalo mai jama ho jata hai. Jaisa ki hamne jana gile baalo ki jade kamjoor hoti hai aur pasine ke karan baal jhadne lagte hai. Isliye baalo ki saaf safai acche se aur baalo ko kapde se bandhe taaki pradushan baalo mai na pahuche.

Upar aapne jana Hair Loss Treatment for Men in Hindi. Yadi aap bhi baal jhadne ki samasya se pareshan hai to uprokt salah ko jarur apnaye.

Loading...

You may also like...