Health Benefits of Cucumber: Khire Se Paye Acchi Sehat

Rojana salad khana hamare sharir ke liye behad hi faydemand hota hai. Aur salad mai agar khire ka istemaal kiya jaye to bahut hi behatar hai. Khire ke niyamit sevan se aapke sharir mai pani ki kami nahi hoti hai. Aur aap dehydration se bache rehte hai. Kam fat aur calorie se bharpur khire ka sevan aapko kai gambhir bimariyo se bachane mai sahayak hai.

Salad ke tour par prayog kiye jane wale khire mai Irepsin namak enzyme hota hai. jo protein ko pachane mai sahayata karta hai. Khira pani ka bahut accha strot hai. Isme 96% pani hota hai. Khire mai vitamin A, B1, B6, potassium, phosphorous, iron aadi prachur matra mai paya jate hai. Khire ke juice ke niyamit sevan aapke sharir ko andar aur bahar se majbut banata hai. Khira kabj se mukti dilane ke sath hi pet se judi har samasya ke liye faydemand sabit hua hai. To aaiye jane Health Benefits of Cucumber jinke bare mai aapne pehle kabhi suna nahi hoga.

Yaha Padiye Khire Se Milne Wale Adbudh Fayde

Health Benefits of Cucumbe
Vishakt Padharto ko Bhahar Nikale

Khira aapke sharir mai se toxins ko dur karta hai. Aur niyamit tour se khire ka sevan aapke sharir mai pathri ki aashanka ko bhi kam karta hai. Chunki hamare sharir mai pani hi sharir se vishele padhart ko bahar nikalne ka kaam karta hai. Isliye khire ka sevan bhi aapke sharir se anchahe padhart ko bahar karta hai.

Chehre ko Damkaye

Khire ko khane ke alawa aap iska chehre par bhi prayog kar sakte hai. Yeh suraj ke kirno se huyi hani ko manage karti hai. Yeh aapke chehre par sun screen ki tarah kaam karti hai. Yaha tak ki iske seban se aapki pachan kriya bhi majbut hoti hai aur sahi bani rehti hai.

Minerals Se Bharpur

Khire mai khanij(Minerals) ki matra bharpr hoti hai. Aapke sharir mai dinbhar mai jitney vitamins ki jarurat hoti hai. Khire mai lagbhag wo sab hai.

Vitamin C: Khire mai bharpur matra mai Vitamin C paya jata hai, jo ki twacha ko free radicals se bachata hai. Yaha tak Vitamin C brain mai collagen ke utpadan ke liye bhi jaruri hai. Yeh hamare sharir ki atirikt charbi ghatanae mai bhi faydemand hai.

Vitamin K: Vitamin A ki tarah vitamin K bhi hamare sharir ke liye behad upyogi hai. Yeh hamare sharir mai rakt ke thakke jamne se rokta hai.

Cancer Se Bachav

Khire ke niyamit sevan se cancer ka khatra kam hota hai. Isme aese tatva paye jate hai jo cancer ki roktham mai karagar hai.

Madhumeh Mai Bhi Faydemand

Madhumeh ki samasya se bachne ke liye niyamit rup se khire ka sevan faydemand ho sakta hai. Khire ke ras mai wo tatva hai jo pancreas ko sakriya karte hai. Pancreas sakriya hone par sharir insulin banati hai. Insulin sharir mai banne se madhumeh se ladne mai madad milti hai.

You may also like:- Home Remedies for Diabetes in Hindi: Madhumeha ka Ilaj Ab Ghar Par

Jodo Ka Dard Dur Bhagaye

Jodo mai silesia prachur matra mai hota hai. Isse jodo ko majbuti milti hai aur tissue paraspar majbut hote hai. Gajar aur khire ka juice milakar pine par gathiya rog mai madad milti hai. Isse uric acid ka star bhi kam hota hai.

Cholesterol Level Control Kare

Khira(Cucumber) khane se cholesterol ka star kam hota hai. Isse haday sambhandhi rog hone ki aashanka kam rahti hai. Khira mai fiber, potassium aur magnesium hota hai jo blood pressure ko durust rakhne mai aham bhumika nibhata hai. Khira high aur low blood pressure dono mai hi ek tarah se dava ka kam karti hai.

Khire Se Banaye Raita

Jin logo ko khira pratayax rup se khana pasand na ho wo log khire ka raita bana ke bhi kha sakte hai. Khire ko kaddukash karke, taza dahi milkar khire ka rayta banakar dekhiye, sabhi ko pasan aayega.

Samagri:
Khire- 2 medium aakar ke
Dahi -2 cup(400gm)
Kali Mirch- Aadha chammach
Har Mirch- 1 barik kati hui
Namak- Swad ke anusar
Kala Namak- Aadha Chammach
Hara Dhaniya- 2 table spoon, barik kata hua

Banane ki Vidhi:
Kheera raita banane ke liye sabse pehle khire ko chheel lijiye, fir dono taraf se aadha aadha inch katkar nikal dijiye, fir dhoiye, aur kaddookas kar lijiye.
Kaddookas kiye hua kheera, har; mirch, kaali mirch, saada namak, kaala namak, hara dhaniya aur aadha bhuna hua jeera pees kar, dahi mai daal kar achhi tarah se mila dijiye. Aur dekhiye aapka kheera ka raita bilkul taiyar hai.

Loading...

You may also like...