Fiber Benefits ke Dwara Paiye ek Acchi Sehat

Bhojan ke uchit pachan ke liye fiber ki jarurat hoti hai. Jo ki aapke sharir ko swasth rakhne mai ek mahatvpund bhumika nibhata hai. To chaliye iss article mai hum aapko batate hai, Fiber Benefits.

Fiber aise carbohydrate hai, jo pedo ke patte, tahniyo aur jodo ka nirmand karte hai. Fiber ka sevan karne ke baad aapko adhik matra mai bhuk nahi lagti hai. Fiber mukhaye 2 praakar ke hote hai, ghulnsheel tatha aghulnsheel Fiber.

Ghulnshee fiber mai gehu ka chokar, nuts aur bahut sari sabjiy aati hai. Iski sanrchna moti aur khurdari hoti hai. Aur yeh pani ke saath nahi ghulte hai isliye yeh pachan tantra se chupke rahte hai.

Ghulnsheel Fiber mai Jo, sem , aur kai phal aate hai. Yeh pani mai milkar hamare pachan tantra mai jel jese ban jante hai. Aise fiber ka sevan niyamit karne se aapke sharir mai cholesterol ki matra kam hoti hai.

Aapke sharir mai fiber ki kami se kabj, babasin tatha rakt mai cholesterol aur sugar ki matra badhti hai.  Iske viprit iski atydhik matra ke upyog se aantdion mai pareshani, dast ya dehydration ki samasya bhi aa jati hai. To dhyan rahe ki, agar koi vyakti apne bhojan mai fiber ki matra badhate hai to unhe pani ka bhi khub sevan karna chahiye.

Fiber ki Sahi Matra Lena Bahut Jaruri Hota Hai

Sabse mahtvpund baat yeh hai ki hume fiber ki simit matra leni chahiye Hume din mai 38 gram fiber lena chahiye. Yeh 9 seb ya 12 katori daliya ke barabar hoti hai. Bahut se bahut  pratidin lagbhag 15 gram fiber ka sevan karna chahiye.  Isme Sabse jaruri baat hai ki, jitni mtra mai aap carbohydrate lete hai. Utni matar mai hi fiber lena chahiye.

Jab fiber ki baat aati hai to, chhote se parivartan aapke fiber ke sevan aur pure swasth par ek badha prabhav daal sakte hai. Fiber ke sevan se dil ki bimariya, madhumaye, motapa aur bahut specific prakaar ke cancer se bacha ja sakta hai. Mahilao ko dinbhar mai 25 gram resho aur purush ko lagbhag 35 se 40 gram resho ki jarurat hoti hai. lekin hum keval 15 gram hi kha pate hai.

Isliye hume ek simit matra mai fiber ka sevan karna chahiye. Jisse aapko iska pura fayda milega. Vese fiber ki matra ka andaaj lagana aur fiber vale aahar ka ptaa lagna aapke liye ek mushkil vishye hai. Lekin aaiye hum iss article aapke liye ise aasan banate hai.

Fiber Benefits

Fiber Benefits ke Dwara Paiye Acchi Sehat

Vajan Kam Karna

Fiber mai moujud calorie vajan kam karne mai bhi sahayk hai. Fiber adhik chaban hota hai aur yeh poshak tatavo ko avshoshit karne ki prakriya ko dheemi karti hai, jisse aapko mahsus hota hai ki aapke pet bhara hai.

You may also like:-Motapa Kam Karne ke Gharelu Nuskhe: Wazan Kam Karna

Swasth ke Najriye

Fiber hamare swasth ke najriye se ek bahut laabhdayak hota hai. Jo ki aapke liye laabhkari hota hai.Isliye aap iska sevan jarur kijiye. Jisse aapko bahut fayda hoga.

Kabj se Rahat

Fiber Benefits ki baat kare to iska sabse aacha fayda hai ki, yeh kabj se chutkara dilvata hai. Fiber se bharpur aahar lene se aapko kabj ki shikayat nahi hoti hai. Isliye aap rozana apne aahar mai aisa khadye padarth ko shamil kijiye. Jo aapko simit matra mai fiber de, jisse aapko kabj ki shikayat nahi hoti hai.

Cholesterol Theek Kare

Aapke sharir mai cholesterol ki matra ko niyntrit karne ke liye aapko sahi matra mai fiber ka sevan karna chahiye. Aur cholesterol ki matra control mai rahne se aap dil ki bimariyo se dur rahte hai.  Vese Kabhi bhi doctor Cholesterol ko control mai karne ke liye High Fiber Food Khane ki Salah dete hai.

Sugar Level Control

Mudhamaye ke rogiyo ke liye fiber ki ek sahi matra lena chahiye. Iske liye unhe aisa aahar lena jaruri hota hai, jo fiber se paripun hota hai.

Fiber Rich Foods, Inn Khadya Padarth mai Chupe Swasth Sharir Ke Raaz

fiber rich foods

Fiber Rich Foods ka arth yeh nahi hai ki, aap apna manpasand khana chhod de balki  apni jivan shaily mai badlav kaye.Yaha kuch khadya padarth bataye gaye hai, jinka upyog karke aap fiber ko apne aahar mai shamil kar sakte hai.

 Makka

Fiber yukt anaj chune. Aisa anaaj chune jiske ek baar ke parosne gaya hisse mai kam se kam 4 gram fiber ho jese makka aadhi hota hai.

You may also like :- Benefits of Corn: Bhutta (Makka) se Swasthwardhak Laabh

Phalo

Phalo ka sevan jyada kare. Nashate ya mithan ke roop mai phal aur phalo ka raska sevan kare aur saath hi nashpati jese phalo ke chhikla sahit kahye. Kyoki Chilke mai hi sabse adhik fiber hota hai.

Brown Bread

Gehu se bani huy bread aur pasta ka upyog kare .Isse aapko bahut fayda milega. Aap chahe to rozan iska sevan kar sakte hai. Iss aapke vajan bhi nahi badhta hai. Gehu ka Aata Apne manpasand vyanjano mai meda ke isthan par gehu ke aate ka upyog kijiye. Isse aapko fiber bhi milega. Saath hi aapka weight nahi badhega.

Brown Rice

Samanye chawal ke isthan par brown rice ka upyog kijiye. Isse aapko bahut adhik fayda milega. Kyoki isme fiber ki ucch matar hoti hai.

Matar

Matar ko chahe ubal kar khaye ua kacchi khaye. Ek cup matar ke done mai 16.3 gram resha milega. Isse aapko bahut fayda milega aur aapka ek sahi fiber ki matra milne se aapka swasth bhi bana rahega.

Sukha Meva

Aap apne aahar mai sukha meva jese badam, pista aadi ko shamil  kijiye. Isse aapko bahut fayda milaega. Saath hi niyamit sevan se hi aapko aapko ek acchi sehat milegi.

Upar aapne jane Fiber Benefits, jisse aapko iski importance ka ptaa chal gaya hoga. To bas der kis baat ki aaj se hi Fiber Rich Food ka sevan kijiye aur swasth rahiye.

Loading...

You may also like...