Home Remedies for Blood Pressure: Raktchaap Ke Upay

 

Raktchaap ko angreji mai blood pressure kaha jata hai. Hamare sharir ke rakt vahiniyo mai bahte rakt dwara dala gaya dabav hi raktchaap kehlata hai. Darahsal hamare sharir mai hriday ka kaam rakt ko dhamniyo mai pump karna hota hai. Aur dhamniya wah nalika hoti hai jo rakt ko hriday se sharir ke vibhinna hisso tak le jane ka kaam karti hai.

Kisi bhi vyakti ke raktchaap ko systolic raktchaap aur diastolic raktchaap ke roop mai jana jata hai. Aapke swasth rehne ke liye aapke raktchaap ka sahi hona jaruri hai. Ek swasth vyakti ka systolic raktchaap 90-120 milliliter hota hai wahi diastolic raktchaap 60 se 80 mm ka hota hai.

Raktchaap sahi nahi hone par do tarah ki samasya dekhne ko milti hai. Ek uccha raktchaap aur dusri nimn raktchaap. Jab bhi marij ka raktchaap 130/80 ke upar hota hai to use uccha raktchaap ya hypertension kehte hai. Yeh dhime jahar ke saman karya karta hai. Jiske karan dhire dhire sabhi anga kharab hone ki sambhvana rehti hai.

Nimn raktchaap wah daab hai. Jisme dhamniyo aur naso mai rakt ka pravah kam hone ke sanket kam dikhai dete hai. Jab yeh pravah kam hota hai to mastiksh, hriday aadi ango tak oxygen nahi pahuchpati hai aur inke shatigrast hone ki sambhavana badh jaati hai. Inn dono mai se ek ka hona bhi hamare sharir ke liye sahi nahi hai. Aaiye iske upchar ke liye jane Home Remedies for Blood Pressure.
 

Home Remedies for Blood Pressure: Nimn, Uccha Raktchaap Ke Liye

 
Home Remedies for Blood Pressure
 

Uccha Raktchaap Ke Gharelu Upchar

Uccha ratchaap ke marijo ki vishesh dekhbhal aur janch dwara dil ke dore ki aashanka ek chouthai kam ho sakti hai. Wahi mastishk ghat hone ki sambhavana ko bhi 40 pratishat tak kam kiya ja sakta hai. Aaiye jante hai Home Remedies For High Bp :-
 

Faydemand Lehusn

Lehsun ka sevan uccha raktchaap aur cholesterol dono mai faydemand hai. Uccha raktchaap ko thik karne ke liye roj subah khali pet 3-4 lehsun ki kali ka sevan karna chahiye. Lehusn mai allicin hota hai, jo aapke sharir mai nitric oxide ke utpadan ko badhata hai. Yeh manspesiyo ki dhamniyo ko aaram pahuchata hai aur raktchaap ke systolic aur diastolic system mai bhi rahat pahuchata hai.
 

You may also like:- High Blood Pressure Diet in Hindi: Uccha Raktchaap aur Aahar

 

Gunkari Amla

Uccha raktchaap ke marijo ke liye vitamin c bahut accga hota hai. Isliye amla ke sevan se bhi blood pressure ghtta hai. Darahsal yeh raktvahikao ko failane mai madad karta hai jisse blood pressure ko kam karne mai madad milti hai.
 

Elaichi

Elaichi bhi uccha raktchaap ko karne mai bahut faydemand hai. Darahsal bhartiya journal mai ek addhyan prakashit kiya hai jisme hypertension ke 20 log shamil the. Inn logo ko 3 gram elaichi powder diya gaya. Teen mahine baad unn sabhi marijo ko accha feel hua. Inn sabhi ko kisi tarah ka side effects bhi nahi hua. Inn logo ka uccha raktchaap bhi prabhavit dhang se thik hua. Inke sevan se rakt ke thakke bhi banna band ho jaate hai.
 

Nimn Raktchaap Ke Gharelu Upchar

Nimn raktchaap ke sath yeh samasya hai ki kai bar iske vishesh lakshan aur sanket nahi dikhai dete hai. Jisse ise pehchana nahi kaa pata hai. Lekin kai bar nimn raktchaap se grast vyakti ko iske karan chakkar aate hai. Ya fir wo khade hone par gir bhi jata hai.

Yadi iska upchar samay par nahi kiya jaye to vyakti ko sine mai dard ho sakta hai aur dil ka doura bhi pad sakta hai. Aaiye jante hai Home Remedies for Low Blood Pressure:-
 

Namak Wala Pani

Nimn raktchaap se grasit vyakti ko kai bar raktchaap ke kam hote hi chakkar se aane lagte hai. Aese mai use namak wala pani dena chahiye. Darahsal namak mai sodium ki matra adhik hoti hai jo raktchaap ko badhane ka karya karti hai. Lekin dhyan rahe iska adhik matra mai istemal naa kare.
 

You may also like:- Low Blood Pressure Treatment in Hindi – Karan aur Nivaran

 

Coffee Ka Sevan

Ek cup coffee piker low bp ko turant control kiya jaa sakta hai. Jin logo ko kaafi wakt se low bp ki samasya chal rahi hai unhe roj subah utthe hi ek cup coffee piye ya nashte ke sath jarur le. Lekin coffee pine ki aadat naa dale, kyoki jyada caffeine bhi sharir ke liye sahi nahi hai.
 

Anar Bhi Faydemand

Anar ka ras nimn raktchaap ki samasya ko dur karne ka accha tarika hai. Yeh itna faydemand hai ki sirf ek hafte ke istemal mai hi aapko farak najar aane lagega.
 

Adrak

Adrak ke barik kate huye tukdo mai nimbu ka ras aur sendha namak milaakar rakh le. Ise bhojan se pehle thodi thodi matra mai din mai kai bar khate rehne se yeh rog dur hota hai.
 
Upar aapne jana Home Remedies for Blood Pressure. Yadi aapko raktchaap ki samasya hai to upar diye gaye upcharo ko apnaye. Niyamit vyayam kare. Bich bich mai chikitsak ki salah se janch karwate rahe. Apna vishesh khayal rakhkar aap kai had tak ise kabu kar sakte hai.

Loading...

You may also like...