Janiye Bemisaal Home Remedies for Dark Spots in Hindi

Aksar chehre, haath, kandhe par sun spot aur jhaaiya ubhar jati hai. Aise mai kisi mahila ke chehre par kisi nishan ka hona uske liye chintajanak vishay ho jata hai.

Halaki yeh spot se chutkara pane mai kafi samay lagta hai par yeh mushkil nahi hai. To aaiye aaj hum aapko batate hai, Home Remedies for Dark Spots in Hindi.

Vese hum sabhi chahte hai ki, hamari twacha saaf aur chikni ho. Lekin yeh keval ek sapne ki tarah ban kar rah jata hai, kyoki hum chah kar bhi apne chehre ke liye samay nahi nikal pate hai.

Bas aisa inn spot ko dekh kar aisa mann karta hai ki, kahi mat jao aur apne aapko kamre mai band kar lo. Lekin agar hum inn nishano ko prakritik roop se theek karenge to yeh bahut faydemand hoga aur hum hamesha ke liye iss pareshani se nijaat pa sakte hai.

Jiske liye aapko bas kuch kuch gharelu saman ke baare mai batyenge jiska use karke apni skin ko khubsoorat bana sakte hai.

Home Remedies for Dark Spots

Home Remedies for Dark Spots, Chehre ke Daag Dabbe Se Chutkara Huya Aasan

Nimbu ka Ras
  • Chehre par hone vale spot ke liye aap nimbu ke ras ka istemaal kar sakte hai. Kyoki nimbu ka ras aisi aushadhi hai jo ki, aapki skin ki sari problem ko hamesha ke liye khatam kar deta hai.
  • Aap nimbu ke ras ko cotton ke dawra spot par lagaiye. Fir 15 minutes ke baad chehre ko dho lijiye. Isse aapke chehre ke sare daag dhabbe dheere-dheere khatam ho jayenge. Saath hi aapki skin ka color naturally fair hota hai.
Tamator ka Ras
  • Tamator ke ras aur nimdu ke ras ka mishran har din lagane se bhi chehre ke daag dhabbe, dark skin, freckle, dark pigmentation se chutkara milta hai.
  • Chehre ke brown spot ko hatane ke liye bhi iska use kiya jata hai.
Pyaz ka Ras
  • Pyaz ek bahut accha Home Remedies for Dark Spots in Hindi mai se ek hai. Ek chammach pyaz ke ras mai do chammach shahad milakar daag dhabbe par 15 minutes ke liye lagaiye. Fir sade pani se chehre ko dho lijiye.
  • Dark spot se nijat pane ke liye yeh ek bahut accha upaye hai. Jiske result bahut jaldi milte hai.
 Dudh aur Cream
  • Chehre ke dark spot se rahat pane ke liye aap fhate huye dudh, cream aur shahad ka ek mask taiyar kar sakte hai. Ise chehre, gardan, haath aur pairo mai lagaiye.
  • Yeh dark spot aur brown spot ko hatane ke liye bahut accha upay hai.
Muli
  • Chehre ke dark spot ko hatane ke liye aap muli ka use kar sakte hai.
  • Iske liye muli ke ras ko chehre ke dark spot par lagaiye aur kareeb 10 minutes ke baad apne chehre ko dho lijiye. Isse aapko bahut acche aur jaldi result milenge.
 Santre ka Ras
  • Ajwain ke ras ke saath barabar matra mai nimbu ka ras, laal ya kale rang ki berry ka ras aur santre ka ras le kar mishran bana lijiye.
  • Ab iss mishran ko chehre aur gale par moujud spot par lagaiye aur 30 minutes ke baad apne chehre ko dho lijiye.
  • Brown spots, age spots and freckle se chutkara pane ka yeh bahut accha aur aasan upay hai.
Peela Sarso
  • Dark spot se chutkara pane ke liye ek aur prabhavi tarika yeh hai ki, chehre par peele sarso ka lep lagaye.
  • Iske liye peele sarson ko pisle aur use dudh mai milakar facial mask bnaiye. Ab ise chehre ke spot par lagaiye tatha 20 minutes tak ise laga rahne de. Fir sade pani se apne chehre ko dho lijiye.
 Strawberry aur Khubani
  • Strawberry aur khubani ko acche se milakar paste taiyar kare. Ab is paste ko dark aur red spot par lagaye tatha 15 minutes ke baad apne chehre ko dho lijiye.
  • Brown spots, age spots, liver spots and freckles se hamesha ke liye chutkara pane ke liye yeh bahut asardaar upaye hai.
 Sandalwood
  • Chehre, gale aur haatho ke spot se chutkara pane ke liye gharelu scrubber bahut hi fayemand hota hai.
  • Facial scrubber banane ke liye lala ya safed sandalwood ka ek cup powder aadha cup oatmeal aur thode se dudh tatha gulab jal ko mila le.
  • Ab iss paste ko week mai teen bar us jagah par scrubber ki tarahlagaiye jaha daag ho. Aap dekhenge ki dheere-dheere chehre, gale aur haatho ka dark tatha brown spot hamesha ke liye chale jayenge.

You may also like:- Sandalwood: Janiye Chandan ke Gunkari Face Pack

 Butter Milk
  • Chehre ke dark spot  se nijaat pane ke liye tamator ka ras aur butter milk ka misharn bahut prabhavi roop hota hai.
  • Iske liye char chammach butter milk mai 2 chammach tamator ka ras mila kar paste bana lijiye au rise apne chehre par lagaiye. Iske istemaal se chehra glowing ho jata hai.

Home Remedies for Dark Spots in Hindi, Bedaag Chehre Ka Raaz

Home Remedies for Dark Spots on face

 Lahsun
  • Apa chahe to dark spot par ek chammach pyaz ke ras aur ek chammach lahsun ka ras ka mishran bna lijiye fir isko 15 minutes ke liye daag vali jagah par Sukhane par sade pani se chehre ko dho lijiye.
  • Chehre ki ronk ko banaye rakhne ke liye yeh bahut asardaar upaye hai.
 Aalu
  • Kacche aalu ka ras bhi chehre ke dark spot ko praktik tor par khatam karta hai. Aalu ke ras ko prabhavit jagah par lagaiye aur 15 se 20 minutes ke liye chhod dijiye.
  • Fir pani se apne chehre ko dho lijiye. Isse aapki skin bahut chamkdaar ho jayengi.
 Aloe Vera
  • Apne chehre ke daag dhabbe ko hatane ke liye aloe vera ki bhi madada le sakte hai. Taze Aloe vera ke ras ko din mai do bar apne dark spot par lagaiye.
  • Aisa tab tak kare jab tak aapko koi result na mile. Saath hi iske use na keval dark spot khatam karta hai, balki skin infection se bhi hamesha ke liye mukti deta hai.
Vitamin E Oil
  • Home Remedies for Dark Spots in Hindi ki baate kere to vitamin E oil ka naam sabse pahle aata hai. Dark spot se nijat pane ke liye aap vitamin E ka tel ko bhi apne chehre par laga sakte hai.
  • Dark spot ke rang ko halka karne ke liye iss Oil se apne chehre ki massage kare .Yeh ek natural treatment hai, jo chehre ki kisi bhi samasya ko dur karta hai.

Upar apane jane chehre se daag dhabbe hatane ke liye kuch bemisaal tariko ke baare mai. To der kis baat ki aaj se hi inn tips ko apna kar apne chehre ko khubsoorat banaiye.

Dark Spots se sambhandhit jankari ke liye Beauty Tips in Hindi ko dekhe.

 

 

 

Loading...

You may also like...