Home Remedies for Headache: Sir Dard Se Chutkara Paye

Bhagdoud bhari jindagi aur din bhar kaam se hone wali thakan ke bad sir dard hona behad aam baat hai. Yeh kisi ko bhi kisi bhi karan se ho sakta hai. Jo log din bhar computer par kaam karte hai, unke aankho par dabav padne se sir dard hota hai. Yaha tak ki sharab pina bhi sir dard hone ki ek bahut badi wajah hai.

Sabhi ko alag alag karano se sir dard ho sakta hai. Lekin sir dard ka mukhya karan ek hai wo hai sir ki mashpeshiyo mai tanav hona. Sir ki mashpesiyo mai sabko alag alag karano se tavan hota hai.

Kabhi kabhi to ham sir dard ko sehan kar lete hai. Lekin kabhi kabhi iska dard asahniya ho jata hai. Agar aapko bhi sir dard ki samasya hai aur ise dur karne ke liye aap pain killer ka istemal karte hai. To ham aapko batana chahte hai pain killer se sir mai ho raha dard to khatam ho jata hai lekin isse aapko kai tarah ke nuksan hote hai.

Isliye srr dard se chutkara pane ke liye gharelu nushkho ka istemal kiya jana hi behatar hoga. Aaiye jante hai Home Remedies for Headache, gharelu upayo dwara sir ka dard dur karne ke tarike.

Home Remedies for Headache: Gharelu Upayo se Sirdard Bhagaye

Home Remedies for Headache

Adrak Wali Chai Piye

Agar aapka sir jyada tanav ya fir nind puri naa hone ke karan dukh raha hai to adrak wali chai piye. Sir dard ko dur karne ke liye yeh sabse saral aur raamban illaj hai. Adrak se bani chai aapki nind bhagati hai aur aapke dimag ko tajagi pradan karti hai. Aap chahe to apni chai mai aur flavors ka istemal bhi kar sakte hai. Iske liye adrak ke sath illachi aur long daal de.

Gungune Pani Mai Nimbu

Aap shayad naa jante ho lekin kai baar pet mai gas badh jane ke karan bhi sir dard hota hai. Isse nijad pane ke liye ek glass gunguna pani le aur usme nimbu nichod kar pee jaye. Agar aapko yeh pani pite nahi banta ho to aap isme thoda shahad bhi mila sakte hai. Jin logo ko gas ke karan hamesha sir dard ki samasya bani rehti hai wo roj subah khali pet iss upchar ko jarur apnaye.

Tel se Malish Kare

Tel se kuch der malish karna bhi accha Headache Treatment hai. Tel ki massage se aapki sir ki mashpesiyo ko rahat milti hai aur aap halka mehsus karte hai. Isliye jab bhi sir dard ho turant hi kisi se apne sir ki malish jarur karwale. Malish ke liye aap nariyal tel, badam tel ya jaitun ka tel istemaal kar sakte hai.

You May Also Like: Gharelu Nushke: Migraine ke Rambaan Ilaaj

 

Kuch Der So Jaye

Bahut bar thakan ke chalte bahut tej sir dard hone lagta hai. Aese mai sir dard se nijad pane ke liye kuch der nind ki jhapki lena ek accha vikalp hai. Sone se hamare dimag ko shanti milti hai aur sir dard apne aap dur ho jata hai.

Seb (Apple) Bhi Faydemand

Aapne ek kahawat to jarur suni hogi. Eating an apple a day keeps the doctor away.  To ham aapko batana chahte hai apple se bimariyo ko to dur rakh hi sakte hai sath hi sir dard se chutkara dilane mai bhi yeh faydemand hai. Seb khane se sharir mai acid balance rehta hai. Agar aapke din ki shuruwat hi sir dard ke sath hui ho to ek seb katkar usme namak dalkar khaye. Uske baad thoda pani pile. Kai bar hare seb ko sirf sunghane se bhi sir ka dard kam ho jata hai.

Headache Treatment at Home: Anya Upay Inhe Bhi Jane

  1. Sir dard hone par hara paan chaba kar khana chahiye. Pan mai dard nivarak gun ke hone ke karan sir dard jaldi hi thik ho jata hai.
  2. Agar sir dard tanav ke karan ho raha hai to barf ke tukde mathe par rakhe. Isse rakt ka sanchalan sahi tarike se hota hai aur sir dard se chutkara milta hai.
  3. Peppermint bhi sir dard dur karne ke liye faydemand Headache Home Remedy hai. Agar aapko bar bar sar dard ki samasya rehti hai to aap ise chai mai milakar liya kare.
  4. Chandan ki lakdi ko ghiskar thoda sa paste taiyar kare. Iss paste ko apne sir mai lagaye. Kuch der mai hi garmi ki wajah se hone wale sir dard se chutkara milega.
  5. Tense muscles ke karan hone wale dard mai tulsi bhi ramban illaj hai. Iske liye 1 cup pani mai kuch tulsi ki pattiya dalkar ubale. Fir iss pani ko chhankar chai ki tarah piye. Aap chahe to mithas lane ke liye isme shahad dal sakti hai.

To aaj aapne jana Home Remedies for Headache. Ab aapko jab kabhi bhi sir dard ki samasya ho to upar diye gaye tariko ko jarur apna kar dekhe. Inn upayo ko apnakar bhi yadi aapke sir mai lagatar dard bana rahe hai to doctor ko dikhana naa bhule. Nirantan dard rehne ke piche ka karan migraine ho sakta hai. Ya fir agar aapke aankho ka number badh gaya ho to chasma lagane ke baad hi aapko sir dard ki pareshani se chutakara milega.

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...