Home Remedies for Soft Hands: Banaiye Haato ko Mulayam

Chehre ki dekhbhaal ke chakkar me hum aksar apni hatao ki hateliyo ko bhul jate hai aur wo kathor ho jati hai. Hateliyo ko mulayam banana ke liye aap Home Remedies for Soft Hands ke aasan upay ka istemaal kar sakti hai.

Samanyata hum apne chehre ki dekhbhaal ke aage sharir ke dusre ango ko bhul jate hai. Iska sabse bura asar humare haato aur pairo par padta hai. Aap apne pair to chupa sakte hai lekin haath sabke samne hota hai. Aur jab aap kisi se haath milate hai to kathor haath hone se aapki nakaratmak chavi samne aati hai.

Isliye apne haatho ko mulayam banaye aur unki rangat ko nikhare. Isse bachne ke liye aap inn gharelu nuskho ka prayog kar sakte hai aur apne haato ko mulayam bana sakte hai. Aap Beauty Tips in Hindi ki bhi madad le sakte hai.

Home Remedies for Soft Hands: Mulayam Haath Banana Huya Aasan

Home Remedies for Soft Hands

  • Nimbu ka Ras aur Doodh:

Aapke ghar mai doodh aur nimbu aasani se mil jayega. Ab thoda sa doodh ubale aur ise thanda hone ke liye chhod dijiye. Thanda hone par isme glycerin ki kuch bunde aur nimbu ka ras dale. Iss mishran ko aadhe ghante tak acche se rakhe. Ab iss mishran ko acche se apne haato par dhire-dhire malish kijiye. Niyamit aisa krne se kuch dino mai haato ki twacha mulayam ho jayegi.

  • Daliye ka Mask:

Daliya ko bahut hi healthy aahar mana jata hai. Lekin kya aap jante hai iske prayog se twacha mai nikhaar lakar aap unko mulayam bana sakte hai. Iske liye daliye ka mask banaye. Iss mask ko banana ke liye jaitun ka tel, daliya aur glycerin ka prayog kare. Mask banane ke baad ise haato mai lagakar 30 minutes ke liye chhod dijiye aur phir halke gungune pani se mask ko nikaliye.

  • Cocum Makkhan:

Dopahar ka khana banate samay hot flat ya garm pani ke uppar makkhan ka patra ulta rakhkar 2 chammach makkhan ko pighla lijiye. Makkhan pighalne ke baad usme 5-10 chammach khire ka ras tatha badam ke tel ki kuch bunde daal dijiye. Abe k chammach ki sahayata se ise acche se milaye aur iss mishran ko apni hatheliyo par lagaye. 15 minute ke baad ise dho le. Makkhan ko dhone ke liye garm pani ya uske saath doodh ka sabun istemaal kar sakte hai.

You may also like:- Nail Care Tips in Hindi, Nakhun ko Banaiye Sundar

  • Sada Makkhan:

Iss makkhan ka prayog aap breakfast mai jarur karte hoge. Aap uss makkhan ko rasoi mai kaam karte samay ya kahi aur apne hatheliyo mai laga sakte hai. Isse aapki twacha lambe samay ke liye naram aur swasth rahegi.

  • Nariyal ka Tel:

Nariyal ka tel baalo ke saath haato ke liye bhi bahut accha hota hai. Haato mai nariyal ke tel ki kuch bunde lagaye. Iss tel ko sone se pehle apni twacha par lagaye aur subh uthkar aap dekhege ki hatheliya mulayam ho gayi hai.

  • Jaitun ka Tel:

Khane ke liye iska prayog jyada hota hai. Hatheliyo ko mulayam banane ke liye bhi iska prayog kar sakte hai. Ek chhote bartan mai 1 chammach jaitun ka tel lekar isme apni ungliya dale au rise haato mai bhi lagaye. Ise acche se massage kare taki aapka sharir sara tel sokh le aur use swasth aur sundar banaye. Ab 10 minutes baad gungune pani se dho le. Agar aapko lag raha hai ki yeh jyada chikna ho gaya hai to aap doodh yukt sabun se bhi Hand dho sakte hai.

  • Shahad Lagaye:

Shahad ek behatrin moisturizer hai, isse twacha ko nami bhi milti hai. Aadhe mash kiye huye aalu, 3 chammach shahad aur kuch chammach doodh lijiye. Inn sab ko acche se milakar apni hatheliyo aur aidiyo par lagaye. Ise 15 minutes tak laga rehne se aur phir dho lijiye.

Upar aapne jane Home Remedies for Soft Hands. To agar sach mai aap apne haato ko mulayam banana chahte hai to apnaiye humare yeh tips aur dikhiye sundar.

Loading...

You may also like...