Black Pepper Benefits: Kali Mirch ke Fayde Aapke Swasth ke Liye

Kali mirch jo ki king of spice ke naam se jani jati hai. Ek bahut mahtvpund masaalo mai se ek hai. Lekin yeh na sirf swad mai acchi hai. Balki yeh aapko bahut se swasth laabhi pradaan karti hai.

Lekin dekah gaya  hai ki, log iske faydo ke baar emai nahi jante hai. To chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Black Pepper Benefits. Jisse aap iske swasthvardhak guno ka lufh utha sakte hai.

Yeh dakshin bharat mai adhikatar paye jati hai, Par ab ise sabhi desho mai upyog kiya jata hai.  Bhojan mai kali mirch ka upyog gram masaale mai kiya jata hai. Masaale ke atirikt kali mirch ka upyog kai rogo  se rahat pane ke liye bhi kiya jata hai.

Bahut se aise rog hote hai, jinme aap iss akli mich ke dwara aaram pa sakte hai. To bas der kis baat ki aaj se hi iss rogmukt msasaale ka upyog kijiye aur hamesah swasth rahiye.

Black Pepper Benefits ke Dawra  Paiye inn Rogo se Chutkara

Kali Mirch ke fayde

Eye Health

Kali mirch ka prayog aankhon ke liye badha sahayk hota hai. Iske powder ko sudha deshi ghee ke saath milakar khane se aankhon ki jyoti ke saath-saath aankhon ke kai rog bhi dur ho jate hai. Isliye Eye Care Tips mai iska sevan karne ko kaha jata hai.

Saans Sambhandhit Rogo

Adhi chammach kali mirch ke powder ko thode se gud ke saath milakar iski chhoti chhoti si goliya bana kar chusne se khansi mai aram milta hai. pani mai tulsi, kali mirch, adrak loung aur elaichi ke saath iski chai bankar peene se  jukham tatha bukhar mai bahut laabh hota hai. Barik pisi kali mirch, gulhathi aur mishri milkar rakhe de.Fir iss mishran ko ek chutki shahad ke saath milakar khane se gale ki takleef mai bahut laabh milta hai. To hum bol sakte hai ki, yeh ek accha Black Pepper Benefits hai.

 Panchatantra mai Laabh

Black Pepper ko kishmish ke saath milakar 2 s 3 baar chabkar khane se pet ke kide dur ho jate hai. Chhanch  mai  kali mirch milakar peene se bhi pet ke kide khatam ho jate hai. Nimbu ke tukde se beez nikalkar isme pisi huya kala namak aur kali mirch ke saath nimbu ka ras milakar peene se gas ski shikayat dur ho jati hai.

Anye Rog

Namak ke saath kali mirch milaka danton mai manjan se payriya theek ho jata hai. Tatha dandto mai chamak aur majbuti badhti hai, pisi kali mirch ko thode se shahad ke saath milakar khane se aapki memory sharp hoti hai. Pisi  kali mirch ko til ke tel mai garam kare aur thanda karke iss tel ko manspeshiyo par lagane se gathiya ka dard mai fayda hota hai.

Cancer se Rokta Kare

Kali  Mirch ke Fayde mai iska sabse accha laabh yeh hai ki, yeh cancer jese bimariya se sharir ki surksha karta hai. University  of Michigan cancer centre dwara kiye gay ek study se ptaa chala hai ki breast cancer ko hone se rokne mai black pepper kafi had tak sahaytakarta hai. Kali mirch ke niyamit sevan se istan cancer ko hone se rokne mai black pepper kafi had tak madad karta hai. Kali mirch mai vitamin C vitamin A, flavonoids, karoten aur anye antioxidant paye jate. Jo ki cancer ko rokne mai madad karta hai.

You may also like :- Causes of Stomach Cancer: Pet ki Bimari Hone Ke Karan

Apchat aur Dast

Apchat, dast, kabj aur sourness karne ke liye kali mirch ka sevan kijiye, yeh pachan bhi badhti hai. Kali mirch aur breads ke sevan se pet ko sanchta bhejte hai. Aur hydrochloric acid ka utpadan karne ke liye pretit karta hai. Iss acid se pet ki pachan kriya sahi hoti hai. Yeh acid sabhi bhojan samagri ko pachane mai sahayk hai. Iske sevan se pet phulna, apchat, dast, kabj aur sourness aadi aasani se dur ho jate hai.

Black Pepper Benefits mai Chupe Swasth Sehat ke Raaz

Black Pepper Benefits

Vajan Ghataye

Niyamit kali mirch ka sevan karne se vajan par bhi control kiya ja sakta hai. Isme shaktishali fitonutrientes hote hai, jo  vasa ki bhari part ko todne mai sahayk hote hai aur isse sharir mai atirikt vasa jama nahi hoti hai. Iss prakriya mai peshab jyada aati hai aur paseena bhi kafi niklta hai. Isse sharir ke toxins bahar nikal jate hai aur vajan kam hota hai.

Pet mai Gas Kare

Kali mirch pet ki gas se rahat dilate hai. Kali mirch mai carminative gun  paye jate hai. Iske sevan se gas pet  mai nahi  rukti hai aur asani  se paas ho jati hai. Kali mirch, sharir ki yeh samasya dur karne mai sabse acchi sabit hoti hai. Iske alawa agar pet phul gaya hai ya dard ho raha ho, to bhi kali mirch ka sevan karne se aaram milta hai.

Twacha ke Liye

Kali mirch ko dardra kut kar chehre par scrub karne se twacha mai chamak aati hai. Lekin istemaal kam aur savdhnaipund karna chahiye. Iske scrub se dead skin nikal jati hai aur twacha ko poshan milta hai. Saath hi yeh rakt sanrchana ko sucharu karti hai, jo ki twacha ko nikhare ke liye bahut jaruri hai. Iske alwa kali mirch mai jivanuviridhi tatav paye jate hai, jo kisi bhi prakaar ke sankraman se rokta hai. Black Pepper Benefits mai aapki skin care ki mukhaye bhumika hai.

Baalo ki Rusi

Baalo ki rusi hai to ise hatane ke liye kali mirch ka prayog kare. Isse anti-bacterial aur anti- flemetri tatva hote hai. Jo rusi ko dur bhagane mai sahayk hote hai. Kali mirch ko ek cup dahi mai acche se mila lijiye.  Fir isse aadha ghante ke liye baalo mai laga kar chhod dijiye. Iske baad apne baalo ko pani se dho le, dusre din shampoo kare. Kali mirch ka itemaal bahut jayad na kre. Isse sar ki twacha kharab bhi ho sakti hai. Isliye ek simit smay ke liye hi iska use kare.

You may also like:- Long Hair Tips in Hindi: Baalo ki Lambai Badhana Hua Aasan

Sardi Jhukham

Sardu, jakham aur kafh mai rahat dilate hai. Iske sevan se khansi mai bhi aaram milta hai. Sardi ke karan naak bahne par kali mirch ka sevan karne se rahat milti hai. Jyada sardi lag jane par kali mirch aur lahsun ko milakar khaye. Jisse turant aaram milega.

Bhook Badahye

Kali mirch, pachan ko durust karta hai, jisse bhook na lagne ki shikayat dur ho jati hai aur sharir swasth rahta hai. Jin logo ko kam bhook lagati hai. Unhe kali mirch ke powder vala bhojan khilaiye. Isse unki bhook khulegi. Yeh bhojan ke sabhi poshak tatav abshoshit kar leta hai aur sharir ko sare poshak tatav pradaan karta hai.

Tanav se Bachaye

Kali mirch ek prakratik anti depression hai. Yadi  aap tanav ya udas  grast hai to niyamit kali mirch ka sevan kare, isse tanav dur hoga. Apne danik bhojan mai ise niyamit roop se shamil kare, kyoki yeh shrair ko swasth rakhat hai. Jiske karan vyakti ke dimag mai negative vichar nahi aate hai. Soch hi tanav ka karan banta hai. Isliye apne aahar mai kali mich milaiye aur swsath rahe.

Upar aapne jane Black Pepper Benefits. To bas der kis baat ki aaj se hi kali mirch ka sevan kijiye aur hamesah swasth rahiye.

Loading...

You may also like...