Kidney Failure Symptoms: Gurda Kharab Hone Ke Lakshan

World Kidney Day (12th March): Kidney ya Gurda sharir ke mahatvapurna part me shamil hai. Inme kharabi aane se jindagi jina muskhil ho jata hai, lekin medical science me hui pragati ke karan ab kidney failure ke marij bhi samanya jindagi ji sakte hai. Janiye Kidney Failure Symptoms aur rahiye humesha satark.

New medicine aur upchar ke tariko se in dino Mismatched (Kidney donar ka alag group) Gurda Pratyaropan (Kidney Transplant) umradaraj logo aur HIV se grast logo me sambhav ho chukka hai.

Jesa ki aap sabhi jante hai ki aajkal Kidney Failure (Gurde ka samuchit roop se kaam na karna) ke marijo me increment ho rha hai. Desh me hi nhi, balki lagbhag sabhi dekho me kidney failure ke rogiyo ki sankhya bad rahi hai.

Kidney Failure Cause: Gurda Kharab Hone Ka Karan

Kidney failure ka ek pramukh karan madhumeh ya diabetes ke marijo ki sankhya me bhari ijafa hona hai. Halaki iske dusre karan bhi hai. Jese high blood pressure, gurde ki chalniyo me sankraman (Glomerulonephritis), pathri ka banana aur dard nivarak medicine ka atyadhik sevan karna aadi.

You may also like: Excellent Home Remedies for Kidney Stones Treatment

Kidney Failure Symptoms: Janiye Iske Dhero Lakshan

Janiye Kidney Failure Symptoms aur rahiye fit aur healthy:

1) Sharir me sujan ka hona.
2) Toilet ki matra me kami hona.
3) Toilet me khoon ya protein aana.
4) Toilet baar-baar aana.
5) Toilet me jalan hona.
6) Bhuk ki hami hona.
7) Sharir me blood ki kami hona.
8) Blood Pressure ka bada hona.

Kidney Failure Symptoms

Jab Gurde (Kidney) puri tarah kharab ho jate hai, to in vikalpo me se ek ka chayan kare:

1) Hemodialysis:

Ye ek aam tarika hai Kidney ko swasth rakhne ke liye. Jisme hafte me 3 baar machine se khoon saaf kiya jata hai.

2) Peritoneal Dialysis:

Jisme pet me ke Catheter laga diya jata hai aur uske dwara dialysis fluid ko pet me dalte aur nikalte hai.

3) Kidney Transplant:

Isme ek naye gurde (Jo kisi donar ke dwara diya jata hai) ko marij ke sharir me pratyaropit kar diya jata hai. Iske baad dialysis ki jarurat nahi padti. Vartaman dor me gurda pratyaropan (Kidney Transplant) ek accha ilaaj hai. Jisme marij aam aadmi ki tarah jivan vyatit kar sakta hai.

Kidney Failure ke Liye Behatrin Paramarsh (Advice)

Kidney Failure Symptoms ko dhyan me rakhte hue yha kuch aasan advice hai jo aapko dhyan me rakhna chaiye aur unhe roz follow karna chaiye.

1) Swasth aahar le.
2) Sharir ka vajan swasth seema me rakhe.
3) Namak ka use kam kare
4) Agar aapko diarrhea, ulti, bukhar aadi hai to dehydration se bachav ke liye khoob saara taral padarth le.
5) Niyamit roop se vyayam kare.
6) Smoking ya anya utpado ka istemaal na kare, Smoking se kidney me raktsanchar kam ho jata hai, jisse pehle se ho chuki samasya gambhir roop le sakti hai.
7) Dard nivarak jesi dawai ka istemaal na kare, kyuki ye aapki kidney ko bahut nuksaan pahucha sakta hai.

World Kidney Day ke mauke par aapne jaane Kidney Failure ke lakshan. To bachiye in problem se aur rahiye swasth.

Get more details about Kidney Failure from Diet And Fitness.

Loading...

You may also like...