Lips Care Tips in Hindi: Sukhe Aur Fate Hontho ki Dekhbhal

Winter (sardi) mai hum apni body ko hawa se chahe kitna hi bacha le but hamari body ke kuch  hissa itna sensitive hai ki uski hame sardi mai bahut jyada dekhbhal  karna padti hai.

Jese ki hamare Honth, ji ki hamari body ka aham hissa hai. Jisske liye aaiye aaj iss artical mai hum aapko batate hai, Lips Care Tips in Hindi. Jisse aap aasani se apne honth ki care kar sakti hai.

Saath hi hamare dwara bataye gaye tarike gharelu hai. Jinka aapki skin par koi side effect nahi hota hai. Saath hi inse aapko jaldi aur acche result milte hai.

To padiye kuch aise tarike ko, jisse aap khaas winter mai apne lips ko fatne se bachane ke liye laga sakti hai. Saath hi apne honth ki khubsoorati bhi barkarar rakh sakti hai.

Lips Care Tips in Hindi- Fate Hontho ko Kahe Bye Bye

You may also like: Gharelu Nuskhe Chehre ke Daag Dhabbe Hatane ke Liye

1) Koshish kare ki jab bhi aap lipstick kharide to glossy lipstick hi kharide sukhi nahi. Lipbalm bhi hamesha unflavored le. Aur toothbrush bhi unflavored hi use kare.

2) Jyada se jyada paani pijiye isse aap ke honth sukhege nahi aur dehydration ka shikar bhi nahi honge.

3) Hontho ki twacha ko komal banane ke liye raat ko sote samay malai laga kar soye. Isse aapke fate huye honth homal ban jayege.

4) Subah brush karne ke baad apne usi brush se apne honth par brush kijiye. Isse aapke dead skin kahtam ho jayegi. Saath hi aapke honth komal najar aayenge.

5) Roz raat mai sone se pahle nimbu ka ras aur Vaseline laga kar sona chahiye. Isse aapko bahut fayda milega. Saath hi din bhar mai kam se kam mai  gilaas pani pina chahiye

Beauty Tips In Hindi-Sukhe Aur Fate Honton Ke Liye

Gharelu Tips Fate huye Honth ke liye

  • Ghee mai thoda sa namak mila kar hontho aur nabhi par lagane se fayda hota hai. Kheera ki slice bhi aap apne hontho par laga sakte hai. To hum bol sakte hai ki, yeh ek accha Lips Care Tips in Hindi hai.
  • Hontho ko poshan dene ke liye un par taaza cream aur nimbu ka ras milakar malish kare. Aap jaitun ke tel mai vaseline milakar uski mixture se apne fate huye hontho ki malish bhi kar sakte ho. Aisa karne se aapke honth naturally acche ho jayenge.
  • Fate hontho ke liye papita sabse best hota hai. Iske ras ko lagane se twacha mai moisture bana rehta hai aur honth soft and clean ho jate hai.
  • Fate hontho ko theek karne ke liye raat mai sone se pahle malai lagaiye. Isse aapke honth komal aur sundar ho jayenge.
  • Chukandar ko kat kar uske tukade se apne hontho ki massage kijiye. Isse aapke honth mulayam ho jayenge.
  • Nariyal ka tel bhi bahut faydemand hota hai. Aap chahe to rozana nariyal ke tel ko apne lips par laga sakte hai. Isse aapke honth bahut sundar aur komal ho jayenge.
  • 6 khajur ko cup mai daal de aur uske upar se garam pani daal kar aadha ghante ke liye ise bhigo kar rakh dijiye. Phir iss ghol ko week mai kam se kam 4 baar jarur pijiye. Isse aapka blood circulation badhta hai. Jisse aapke honth bhi gulabi nazar aate hai.
  • Saath hi week mai kam se kam 2 baar scrubbing jarur kijiye, jisse aapko bahut fayda milega. Aur dead skin na hone ki vajah se aapke honth sundar dikhayi denge.

Lips Care Tips in Hindi: Hontho ki Sundarta ke Liye Upay

  • Lips Care Tips in Hindi mai iss upay ki mukhaya bhumika hai. Kapde ki madad se aap apne hontho ki dead skin ko pahle se bhi jyada khubsoorat bana sakte hai. Jyada jor se na ragde kyunki aisa karne se blood bhi nikal sakta hai. Agar blood aa jaye to us par vaseline ya ghee laga le.
  • Fate huye hontho par cosmetic ya lipstick na use kare, kyoki ye sab use karne se hontho ke pores band ho jaate hai aur honth pehle se bhi jyada fat jate hai.
  • Honth ke fatne ka ek karan vitamin ki kami bhi hoti hai. Agar aapke honth fat rahe hai to ho sakta hai aapko Vitamin A ki kami hai. Isse nijat pane ke liye aap tamatar, gajar, sabut anaaj, chukandar aur green vegetables ka upyog kare.

Upar aapne jane Lips Care Tips in Hindi. To bas aaj se hi inn tariko ke dwara apne hontho ki dekhbhal kijiye aur hamesha sundar dikhiye.

Soundarya  se sambhandhit adhik jankari ke liye Beauty Tips in Hindi ko dekhe.

Loading...

You may also like...