Low Blood Pressure Treatment in Hindi – Karan aur Nivaran

Aaj ki bhagdoud bhari jindagi mai competition bahut adhik badh gaya hai, jiske parinam swarup aaj hum paidal chalna, vyayam karna, sahi bhojan karna, jaisi anek aadato ko bhul kar bas paisa kamane ki hod mai aage badte ja rahe hai. Humare jivan ka ab ek hi maksad rah gya hai paisa kamana aur aese paise ki chamak me humne apne sharir par dhyan dena band kar diya hai.

Aaj ki bhag duad wali zindgi mai mansik tanav or shararik samasya badti ja rahi hai. Aaj humare jivan mai ucch raktchap (High Blood Pressure) aur nimn raktchap (Low Blood Pressure) ek aam bimari ban gayi hai. Jitna ghatak ucch raktchap hota hai, utna hi nuksandeh nimn raktchap bhi hota hai.

Pahle ke samay mai yeh bimari adhik umra wale vyaktiyo ko hua karti thi, magar 21st sadi mai yeh bimari 20-30 ki umra ke vyaktiyo mai bhi hone lagi hai. Vaise to ek samanya vyakti ka nimn raktchap 80 hota hai, lakin agar yeh 80 se kam ho jata hai to yeh nimn raktchap ko darshata hai. Jaha tak nimn raktchap ki baat hai, jab sharir mai khoon ka parivahan dhire-dhire kam hone lgta hai, jisse sharir ke anng kaam karna band kar dete hai.  To wah nimn raktchap (Low Blood Pressure) kahlata hai aur iske jyada ho jane sai insan comma mai bhi ja sakta hai. Isse bachne ke liye janiye Low Blood Pressure Treatment in Hindi.

Low Blood Pressure Treatment in Hindi: Jane lakshan aur Karan
Low Blood Pressure Treatment in Hindi
Utpatti

Chikitsako ke anusar nimn raktchap kuch samanya karno se bhi ho sakta hai. Jante hai kya hai wo karan-

  1. Bhojan mai poshtik tatvo ka abhav
  2. Sharirik nirbalta ya kamjori
  3. Dehydration
  4. Rakt ka adhik bah jana ya sharir mai rakt ki kami ho jana
  5. Adhik samay tak shay rog, madhumeh, bhukhar ke karan bhi ninm raktchap ho skta hai.
  6. Garbavastha mai mahilao dwara poshtik aahar ka sevan na karne se bhi nimn raktchap ho sakta hai.
  7. Nimn raktchap ke karan rogi ko bhook bhi nahi lagti hai, khane se aruchi ho jati hai.
  8. Nirasha ka bhav hamesha man mai bana rahna bhi nimn raktchap ka karan hai.

 Low Blood Pressure Symptoms in Hindi: Lakshan Pehchane

Agar dhyan diya jaye to Low Bp Symptoms ko aasani se samjha ja sakta hai. Jo nimn likhit hai-

  1. Chakkar aana ya behoshi ho jana,
  2. Adhik pasina aana,
  3. Dhundhala dikhai dena ya aankho ke aage andhera aa jana,
  4. Ghabrahat hona,
  5. Sine mai dard hona ya dil ki dhadkano ka tej ho jana,
  6. Hath pairo ka thanda padh jana.
  7. Thoda sa bhi kaam krne par hriday ka joro se dhadkna.

Low Blood Pressure Treatment in Hindi – Nimn Raktchap hone par kya karna chahiye

Agar aap upper diye gaye kisi bhi lakshan se prabhavit hote hai, to dhyan rakhe

  1. Aise lakshan mahsoos hone par aaram se ek jagah baith jana chahiye.
  2. Apne hatho ki mutthiyo ko kuch samay tak khole or band kare.
  3. Dhire dhire ek glass pani piye.
  4. Chini, namak ya nimbu ka sharbat piye.
  5. Agar aap ghar par hai to takiya ko apne pairo ke niche lagakar laite.
You May Also Like:- Crohn’s Disease in Hindi – Jane Eske Prakar aur Lakshan

Kya Khana Chahiye

  1. Agar aap nimn raktchap ke shikar hai to ghabraye nahi, apne aahar me thoda sa parivartan kare
  2. Adhik matra mai phal, sabji or poshtik khadya padartho ka sevan kare
  3. Hari sabjiyo ka soup bana kar piye
  4. Gajar, Muli, khira, kakdi ka salad jyada khaye
  5. Pani adhik pina chaiye
  6. Pratidin chukandar ka ras piye
  7. Aawle ke ras mai shahad milakar khana chaiye
  8. Gajar aur palak ke patto ka ras piye
  9. Tulsi ke patte aur shahad milakar pina chahiye
  10. Doodh ka sevan kare
  11. Raat ke samay 3-4 badam pani mai dal de aur subah un badam ko khaye
  12. Namak ka adhik matra mai sevan kre

 

Low Blood Pressure Diet Quantity
Lahsun 2 se 3
Badam 4 se 5
Kishmish 30 se 40
Tulsi 4 se 5
Shakarkand 1Cup Juice

Kya Nahi Khana Chahiye

  1. Raat ke samay chai ya coffee ka sevan na kare.
  2. Adhik tala hua, masaledar, garishtha, ya ghi se bana bhojan na kare.
  3. Adhik parishram na kare.
  4. Jayada samay tak dhoop main na rahe.
  5. Ek baithak mai bhojan na kare, thode-thode samay mai bhojan kare.

Low Blood Pressure Treatment in Hindi – Gharelu Upchar

  1. Ek glass pani mai, 10 tulsi ke patte, 4 kali mirch aur 2 long dalkar acchi tarah ubal lijiye. Pani aadha rahne par, ise halka garm hi pina chaiye. Yeh prakriya pratidin 1 baar kare, aapka nimn raktchap bahut jald thik ho jayega. 
  2.  1 chammanch shahad mai, ¼ chota chammanch lehsun ka ras mila le. Ise pratidin 2 baar khana chaiye.
  3. ¼ chhoti chammach haldi powder, 1 chutki adrak ka powder ya pisi hui sonth, 1 chutki elaichi powder aur 1 chammach chini mila le. Ab ek pain mai 1 cup dudh aur ½ cup pani mai bane huye mishran ko dalkar ubal le. Ise chhan kar garam garam din mai ek bar pijiye.
  4. Raat ko badam ko bhigo kar rakh de aur subah inke chhilke utar kar pees le. Ab inhe dudh ke sath ubale aur iss dudh ko gunguna piye.
  5. Ek cup shakarkand ka juice din mai 2 se 3 bar piye aapka nimna raktchap samanya ho jayega.
  6. Ek mitti ka bartan le aur usme kishmish ko ratbhar bigone ke liye rakh de. Subah bhigi hui kishmish ko chabakar khaye.
  7. Yadi aapko lagatar chakkar aa rahe hai to jyada se jyada pani piye taaki chakkar aana thoda kam ho jaye.
  8. Niyamit rup se sabjiyo ka sup pine se aapko kaafi low blood pressure mai rahat milegi.

Video: Low Blood Pressure: जानिए निम्न रक्तचाप के लक्षण, कारण और घरेलू उपचार 

Aaj apne jana Low Blood Pressure Symptoms in Hindi, agar aap bhi nimn raktchap (Low Blood Pressure) se prabhavit hai ya yeh sabhi lakshan apke sath bhi ho chuke hai to ghabraye nahi aur inn gharelu nuskho ko apnaye aur nimn raktchap se nijat paye.

Loading...

You may also like...