Miscarriage Symptoms: Janiye Garbh Paat Ke Lakshan

Miscarriage garbh girne ki prakriya hoti hai. Pregnancy ke starting ke 20 week tak garbh paat ka khatra jayada hota hai. Garbh paat ke kai karan ho sakte hai, jinhe tala ja sakta hai, lekin kuch aise bhi hote hai jinhe roka nahi ja sakta hai.

Kai bar jinn mahilao ki shaadi kam umar me ho jati hai aur ve garbhvati ho jati hai, unhe gabh paat ka khatra jayada hota hai. Kam umar me mahilao ka sharir bacche ke janm ke liye taiyar nahi hota hai. Jiske karan maa aur bacche dono ki jaan ko khatra hota hai.

Miscarriage se bachne ke liye jaruri hai ki aap iske lakshano se parichit ho. Lekin dekha gaya hai ki kai baar mahilao ko is bare me puri jankari na hone par unka garbh paat ho jata hai. To phir chaliye is article ke jariye aaj hum batate hai, Miscarriage Symptoms.

Miscarriage Symptoms: Garbh Paat Ki Sahi Jankari

Pet Me Dard

Jyadatar mahilao ko Pregnancy ke doran period me hone vale back pain se bhi jyada dard ki shikayat hoti hai. Iss lakshan ko garbh paat ka lakshan mana ja sakta hai.

Pregnancy ke doran dekha gaya hai ki pet ke nichle hisse me dard hota hai, jisse yeh pata chalta hai ki mahilao ke sharir me embrio nishkashit hone vala hai. Kuch mamlo me dard ke karan sans lene me bhi problem hoti hai. Yeh bhi miscarriage ka ek karan hai. To dhyan rahe ki isse koi bhi lakshan dikhai dene par turant doctor se checkup kar wale.

You may also like: Symptoms of Pregnancy in Hindi: Garbhavastha Ke Lakshan

Contraction Mahsus Hona

Pregnancy ke starting ke dino me sankuchan jesa mahsus hota hai, lekin agar ye sankuchan bahut adhik ya bardash se bahar ho to ye bhi garbh paat ka hi lakshan hai. Yeh sankuchan 5 se 20 minutes ke liye hota hai, lekin agar starting ke 3 mahine tak aisa ho raha hai to ise najar andaz na kare.

Miscarriage Symptoms

Weight Kam Hona

Agar pregnancy ke doran aapka weight achanak se kam hone lage, to aapko sachet ho jana chahiye kyoki yeh gabh paat ka lakshan hota hai. Adhiktar mahilaye is problem ko halke me lekar taal deti hai jo aage chal kar gambhir samasya bana jati hai.

Heavy Bleeding

Agar pregnancy me aapko heavy bleeding ho raha hai ya peshab karte vakt bhi dard mahsus ho raha hai, to turant doctor se contact kare.

Upar humne aapko Miscarriage Symptoms ke bare me bataya hai. To dhyan rakhe ki agar aap bhi pregnant hai aur aise koi lakshan dikhai de to turant hi apne doctor se contact kare aur apne hone wale bacche ko swasth rakhe aur aap bhi swasth rahe.

Get more updates about Miscarriage from Diet And Fitness.

Loading...

You may also like...