Monsoon Mai Fit Rahane ke Kuch Aasan Tips in Hindi

Chilchilati garmi ke baad jab monsoon ki pahali barish tan ko bhigoti hai, to log rahat ki saans lete hai. Par dhyan rahe, yadi barish kai tarah ki bimariyo ko bhi janm deti hai. Maslan iss mousam mai aap viral fever, leptospirosis aur allergy jesi bimariyo se grasit ho sakte hai.

Isliye jaruri hai ki aap iss mousam mai germ aur bacteria ko khud se dur rakhe. Aaiye hum aapko dete hai Tips in Hindi for Monsoon, jisse aap bina bimar huye barsat ke iss mousam ka maja le payege. Ye sare tips kafi saral hai aur aap bina kisi kathinai ke iss par amal kar sakte hai.

Aapko iss mousam mai apne aap ka khaas khayal rakhna chahiye. Aaiye jane kuch aise hi tips jinki madad se aap swasth reh sakte hai aur har bimari se dur rah sakte hai.

Health Tips in Hindi for Monsoon: Dijiye Apne Aap ko Proper Fitness

  • Ubla Huya Pani Piye:

    Monsoon (Rainy Season) mai aap sirf filter aur ubla huya pani hi piye. Dhyan rahe ki pani ko ubale huye 24 ghante se jyada na huye ho. Germ se bachne ke liye jyada se jyada herbal chai jese adrak ki chai, nimbu ki chai aadi piye. Agar aapko chai pasand nahi hai to aap hot vegetable soup bhi pi sakte hai.

Healthy Tips in Hindi for Monsoon

  • Pattiyo Wali Sabji ko Thik se Dhole:

    Phal aur sabji par khaas dhayn de. Visheshkar pattiyo wale sabji par aapko khaas dhyan dena chahiye. Kyuki isme kai tarah ke dhul, aur krami hote hai. Inn bacteria se chutkara pane ke liye ise pani mkai acchi tarah dhoye. Isse bhi accha tarika yeh hai ki phal aur sabji ko namak pani mai dubo kar 10 minutes tak ubal le. Isse saare bacteria nasth ho jayege.

  • Khane ko Acche se Pakaye:

    Monsoon mai apne khane ko acche se pakaye. Kaccha ya adhpaka khane ka matlab hai ki aap bimariyo ko dawat de rahe hai.

  • Phal aur Sabjiyo ka Sevan Jyada Kare:

    Health Tips for Monsoon ko dhyan mai rakhkar apne daily diet mai phal aur sabjiyo ka sevan jarur kare. Garma garam bhajia ki jagah taaza phal ya vegetable ka sevan kare.

  • Lahasun, Kali Mirch, Adrak, Haldi ka Sevan Kare:

    Halka bhojan kare, kyuki monsoon mai sharir bhojan ko jyada jaldi nahi pacha pata hai. Apne pachan tantra ko behtar banane ke liye lahasun, kali mirch, adrak, haldi aur dhaniya ka sevan kare.

  • Soup Piye:

    Agar aap non-vegetarian hai, to soup jese halke aahar hi le. Bhari bharkam mansahari bhojan se duri banaye.

  • Street Food se Dur Rahe:

    Wese to monsoon mai street food se khud ko dur rakhna thoda mushkil hai. Phir bhi jitna jyada se jyada ho Sake isse bache. Street food mai kai tarah ke germ hote hai. Jo bimariyo ko janm dete hai.

  • Haath Jarur Dhoye:

    Sabji aadi katne ke liye prayog kiye jane wale chopping board ko istemaal karne se pahale acchi tarah se dhoye. Khana khane se pahale, khana khane ke baad aur toilet se aane ke baad haath ko acchi tarah dhoye.

  • Kitanu Nashak ka Prayog Kare:

    Insects replant aur kitanu nashak ka prayog kare. Macchar, makkhi, cockroach, aur dimak se bachne ke liye savdhani barte.

  • Baasi Khana na Khaye:

    Inn dino mai ek din purana khana se bache. Ye aapke liye bahut hi haanikarak ho sakta hai. Baasi khana khane se bache aur sawsth rahe.

Health Tips for Monsoon: Bachiye inn Bimari se aur Swasth Rahe

Barsat ke mousam mai aksar pani se hone wale rog phailne lagte hai jese typhoid, ulti, piliya, dust aadi. Aur iss mousam mai yeh bhi darr rahta hai ki saans sambandhi samasyaye vikat roop dharan na kar le. Chuki hawa mai bahut adhik nami hoti hai isliye saans mai pareshani bhi ho sakti hai.

Healthy Tips in Hindi

Aaiye jante hai iss bimari ke baare mai aur iske shuruaati lakshan:

  • Malaria

    Malaria ek khatarnak sankramak rog hai jo Anopheles female mosquito dwara failta hai. Yeh ek vyakti se dusre cyakti mai failta hai.

    Malaria ke Lakshan:-

    Bukhar, sardi, ubkai, pure sharir mai dard aur jukham jese lakshan hote hai aur gambhir mamalo mai marij behosh bhi ho sakte hai aur unki mout bhi ho sakti hai.

You may also like:- Malaria Symptoms in Hindi: Machhar se Hone Wali Bimari

  • Cholera (Haija)

    Ye ek prakar ka sankramak rog hai, jo barsat ke mousam mao tezi se failta hai. Kharab aahar aur ganda pani pine se bacteria sharir mai pravesh kar jate hai aur aanto par asar dalte hai.

    Cholera ke Lakshan:-

    Iss rog mai jabardast ultiya aur dust hote hai. Kai baar ulti nahi bhi hoti hai to ji machalta hai aur ulti jesa hona pratit hota hai.Ulti ke saath hi bukhar aur kamjori bhi lagne lagti hai.

  • Typhoid

    Yeh Salmonella Enterica namak bacteria yani jivanu se failta hai. Iss bimari mai tez bukhar aata hai, jo kai dino tak bana rahta hai. Yeh bukhar kam jyada hota rehta hai, lekin kabhi samanya nahi hota hai. Typhoid ka infection hone ke ek hafte baad rog ke lakshan nazar aane lagte hai.

    Typhoid ke Lakshan:-

    Bhukh kam lagna aur ultiya aana, sar dard aur badan dard, Sukhi khansi aana, pet mai dard hona ye iske aam lakshan hai. Samay par iska ilaj na hone par kuch rogiyo ki aanto mai khoon ka risav hone lagta hai.

  • Hepatitis A

    Hepatitis A ek viral sankraman hai aur isme liver prabhavit hota hai. Hepatitis ke anya roopo ki tulna mai ye wala jatil nahi hota hai. Ye ek vyakti se dusre vyakti kop ho jata hai, jisme aahar aur pani madhyam ka kaam karte hai.

    Hepatitis ke Lakshan:-

    Iske mukhya lakshan hai liver mai sujan, jwar, thand lagna, ulti hona, bhukh na lagna aadi iske lakshan hai.

Upar aapne jane Health Tips for Monsoon. To  iss barish ke mousam bachiye aneko bimari se aur rahiye swasth.

Monsoon (Rainy Season) Health Tips ke baare mai adhik jankari ke liye dekhe Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...