Naturopathy for Weight Loss: Prakratik Tarike se Vajan Ghataye

Aaj ke wakt mai jyadatar log motape ki samasya se jujh rahe hai. Badalti jivan sheli aur vyayam ka abhav hamare sharir par bahut bura prabhav dal raha hai. Ham ghanto computer par baithe rehte hai. Fast food ka sevan karte hai. Jisse hamari sharir par charbi jamne lagti hai. Aur hamare sharir ka vajan badh jata hai.

Aaj science itna aage bad gaya hai ki sharir ki iss charbi ko aap bina vyayam kiye bhi ghata sakte hai. Surgery aapko aesa look de sakti hai, jaisa ki aap kalpana bhi na karte hai.

Lekin ham sabhi jante hai ki dwaiyo ke sevan ya fir surgery dwara sharir ki atirikt charbi ko to ghataya to jaa sakta hai. Lekin iss se aapke sharir ko kai nuksan hote hai.

Kya aap jante hai prakrati ki madad se bhi sharir ko thik rakha ja sakta hai. Kudrat ke sath ham apni sari taklifo ka anta kar sakte hai. To aaiye aaj ham aapko batate hai Naturopathy in Hindi ke bare mai jiski madad se aap apne motape ko bhi kam kar sakte hai.

Naturopathy for Weight Loss – Janiye Isse Vajan Kam Karne Ke Tarike

Naturopathy for Weight Loss

Naturopathy ke jariye weight loss karne se pehle aapko yeh janna jaruri hai ki yeh kya hai. Darahsal naturopathy ek prakratik paddhati hai. Ise Aushdhi Vihin Upchar ke naam se bhi jana jata hai. Yeh puri tarah se aayurved to nahi hai lekin aayurved ke kaafi nikat hai. Naturopathy ke antagarta homeopathy, acupressure, surya chikitsa, yoga, aadi chize shamil hai. Yeh ek non-invasive treatment hai jisme surgery aur davaiyo ka sevan nahi kiya jata hai. Naturopathy manti hai ki insan ke andar hi healing power hoti hai, jiski madad se wo khud ka upchar behtar tarike se kar sakta hai.

Log vajan ghatane ke liye kai tarike apanate hai, jaise dieting, exercise, phir bhi unhe safalta nahi mil pati. Kyoki bahut sari samasyae jaise ki sharir mai pani ki kami, kamjor liver, poshan wale aahar ki kami, yaha tak ki tanav jaisi chize hamara vajan kam karne ke uddeshya ko vifal kar deti hai.

Jab ham vajan ghatane ka uddeshya banate hai, to sirf vajan ghatane ke sath sath hame kai aur chizo ka khayal bhi rakhna jaruri hai, jisse hamara swasth accha rahe aur kisi prakar ki badha bhi naa aaye. Yahi Naturopathy Treatment kaam aata hai. Naturopathy ek aesa vigyan hai jisme prakratik tarike se upchar kiya jata hai.

Jyada calorie ka sevan karna aur kaam ki kami vajan badne ka ek chota sa karan hai. Agar naturopath ki mane to agar log iss equation ko ulta karde to kai had tak apna vajan kam kar sakte hai. Yaha ham aapko naturopathy mai istemal kiye gaye kuch herbs ke bare mai bata rahe hai, jisse ki vajan kam kiya ja sakta hai.

Paan ke Patte

Paan ke patte khane se pet ki gas dur hoti hai, khoon mai sharkara ka star kam hota hai, iske alawa pan ke sevan se aur bhi kai swasth labh milte hai. Kuch kiye gaye sodho mai ab yeh baat samne aayi hai ki paan ke patto ko lobiya ke beej ke sath lene se Weight Loss bhi kiya ja sakta hai.

Gymnema (Gurmar)

Yeh herb madhumeh ke rogiyo ke liye behad hi faydemand mani jati hai. Iske alawa yeh cholesterol, asthama, kabj, jalan jaisi samasyao mai bhi faydemand hai. Aajkal iska istemaal dietary supplements mai bhi kiya jata hai, kyoki yeh aapke sharir ka vajan kam karne mai madad karti hai.

You May Also Like: Benefits of Meditation: Jane Dhyan Karne Ke Anginat Fayde

 

Nariyal Ka Tel

Aap shayad nahi jante honge lekin nariyal ka tel bhi aapko kuch kilo vajan kam karne mai madad karta hai. Nariyal ke tel mai anya telo ke mukable bahut kam calorie payi jati hai. Iske alawa isme antibacterial aur antifungal gun bhi paye jate hai. Iske sevan se aapke sharir ka metabolism rate badhta hai aur vajan bhi kam hota hai.

Karela

Kya aapko diabetes 2 ki samasya hai? To aapko karele ka sevan karna chahiye, isse na aap keval aap apne vajan ko kam kar sakte hai balki isse aapka diabetes bhi aur nahi badhega. Karele se insulin badne lagta hai aur cholesterol ki samasya se bhi aajadi milti hai.

Isi tarah mushroom, omega 3, green tea, green coffee, vitamin c se bharpur khadya padhart, zinc aadi aapko vajan ghatane mai madad karte hai.

Naturopathy se vajan kam karne se koi side effect nahi hota. Lekin har vyakti ko alag alag karano se vajan badta hai. Isliye behatar hoga ki aap kisi Naturopath se suggestion le. Wo aapko medicinal herbs ki jankari bhi dega aur aapke anusar aapka diet plan aur exercise suggest karega. Fir bhi ham aapko yaha jankari de rahe haij jiski madad se aap iss paddhati ke bare me jan sake. Karele se menstruation cycle par asar padta hai isliye jo mahila maa banne wali hai wo iska sevan naa kare. Iske alawa jinka liver kamjor hai unhe bhi iska sevan nahi karna chahiye.

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...