Onion for Hair Growth, Pyaz se Banaiye Apne Baalo ko Sundar

Jab ghar me khane ke liye masale taiyar karne ke liye Pyaz kati jati hai tab aankho me aansu aane lagte hai. Uss samay hum koshish karte hai, ki jaldi se pyaz katne kaam khatam ho jaye, lekin kya aap jante hai ki pyaz hamare baalo ke liye bahut accha hota hai. Isme sulphur paya jata hai, jo ki baalo ko dubara ugane me sahayak hote hai aur girte baalo ko rokane ke liye bhi bahut acche hote hai.

Iske antibacterial gun aapke sar ki scalp ko poshan pahucha kar baalo ki har prakaar ki problem ko hamesha ke liye dur kar dete hai. To Phir aaiye hum aapko batate hai, Onion for Hair.

Wese sar me baal na ho to purush aur mahilao ke liye musibat ban jati hai. Sar par ghane baal hone se insaan khubsoorat dikhta hai. Agar baal jhad rahe ya safed ho rahe to insaan ka confidence khatam ho jata hai.

Lekin sabse badi baat hai, jo aapko hamesha dhyan rakhne ki hai. Baalo ke ilaj ke liye natural treatment ka hi use kare. Isse aapke baalo ko koi nuksaan bhi nahi hoga. Saath hi aapke baal jaldi kale ghane aur sundar ho jayenge. Vese hair fall ki problem se har koi preshan rahta hai. To chaliye hum aapko Onion Benefits for Hair ke bare me batate hai. Jo ki aapke baalo ke liye bahut faydemand hota hai.

Onion Benefits for Hair

Onion Benefits for Hair, Pyaz ke Bemisaal Fayde Aapke Baalo ke Liye

Baalo ka Jhadne se Roke

• Isme sulphur paya jata hai. Sulphur blood circulation badta hai aur baalo ko majboot banata hai.
• Agar baalo par Pyaz ka paste rozana lagaya jaye to baalo ko kisi bhi tarah ki pareshani nahi hogi aur wo khatam ho jayengi.

Baalo ke Vikaas

Onion Benefits For Hair ki baat kare to yeh iska bahut mukhaya fayda hai ki, Pyaz ka ras lagane ya iske ras se malish karne se aapke sar ki twacha me blood circulation badega. Jisse baalo ka vikaas hoga.
• Jo ki mahnge mahnge product ka use kar ke bhi aapko laabh nahi milta. Wahi onion ek bahut acchi ayurvedic dawa hai.

You may also like:- Hair Growth Tips in Hindi: Ab Sundar Baal Pana Hua Aasan

Sar ke Infection ko Khatam Kare

• Fungal Infection aapke sar ke baalo ko kha jate hai, jisse bahut sara hair loss ho jata hai.
• Pyaz ka ras ek aisi dawa hai, jo ki aapke baalo ke fungal infection ko hamesha ke liye khatm kar deta hai.

Rusi Bhagaye

• Kya aap jante hai ki, rusi baal jhadne ka bahut mukhaya karan hai. To kyo na hum rusi ko khatam karke apne hair ko ghana bana le.
• Isliye week me 2 baar onion ka hair mask jarur lagaye.

Pyaz ke fayde baalo ke bare me to aap jan hi gaye honge. To chaliye ab hum aapko batate hai onion, Onion for Hair Growth. Jisse ki aap apni khubsoorati ko nikhar sakte hai.

Pyaz Ka Ras

• Pyaz ko mixi me pis lijiye uska ras nikal le.
• Ab apne sar ki twacha par is ras ko lagaiye aur kisi kapde se apne baalo ko cover kare tatha aadhe ghante baad apne baalo ko kisi halke shampoo se dho lijiye.

Pyaz ka Ras aur Hair Oil

• Pyaz ka ras nikal lijiye aur usme koi baalo ke tel ko mila lijiye aur apne sar par laga lijiye.
• Ise ek ghante laga rahne de aur baad me shampoo ka lijiye. Iske alaw aap sugandhit tel bhi laga sakte hai, jisae baalo se pjaz ki mahak bhi nikal jaye.

Pyaz, Olive Oil

• Is pack ko banane ke liye kuch pyaz ko piskar tayar kar lijiye aur uska ras nikal lijiye.
• Usme 2 chammach olive oil aur nariyal tel mila lijiye.
• Is mishran ko apne baalo me lagaiye, lekin dhyan rahe ki baalo ki jado me is tel ko na lagaye. Ise 2 ghante tak laga rahne de phir shampoo kar le. Is pack ko aap roj bhi laga sakte hai.

Pyaz, Bear aur Nariyal tel

• Bear aur nariyal tel aur pyaz ke gude ko ek saath mila lijiye. Is mishran ko 1 ghante tak apne baalo me lagaiye. Iske sukhne par baalo ko shampoo se dho lijiye hai.
• Isse nishchit roop se aapke baal ghane aur chamakdar ho jayenge.

Onion for Hair Growth

Onion for Hair Growth, Baalo Ka Vikaas Hua Aasan

Pyaz aur shahad

• Onion for Hair Growth me is hair mask ki sabse aham bhumika hai. Iska ras aur shahad ko mila kar baalo ki jado me lagaiye. Phir ise 2 ghante tak sukhne de. Phir nimbu aur pani milakar mishran tayair kijiye aur isse apne baalo ko dho lijiye.
• Isse baalo me shine aayegi aur ise aap week me teen bar jarur kijiye. Jisse aapko bahut fayda milenga.

Aap chahe to pyaz aur lahsun ko paste banakar bhi laga sakte hai. Jo bahut hi asardaar treatment hai. Sabse acchi baat hai ki pyaz aur lahsun ke paste ko banane ke liye anya samagri ki koi jarurat nahi hoti hai. Ise aap ghar par hi bana sakte hai.

Pyaz-Lahsun Hair Mask ke Fayde

• Baalo ko jhadne se rokne ke liye aap pyaz aur lahsun ko milakar paste bana ljiye, phir ise apne baalo me lagaiye. Yeh ek aisa paste hai, jisse aapke baalo ka jhadna hamesha ke liye band ho jata hai.
• Baalo ko badane ke liye lahsun aur pyaz ka gada paste baniye. Ise apne baalo me 1 ghante ke liye lagaiye. Isme anti-bacterial fungal gun paye jate, jo ki rusi aur sar ke infection aadi se chutkara dilwata hai. Iss mask ko week me ek bar jarur lagaye.
• Baalo ki chamak ko banaye rakhne ke liye nahane ke aadha ghante pahle pyaz aur lahsun ke hair mask ko apne sar par lagaiye, phir baalo ko halke shampoo se dho lijiye. Isse aapko jaldi hi fayda milenga.

Upar aapne jana Onion Benefits For Hair. To bas der kis baat ki aaj se pyaz se bane hair mask ko apne sar me lagaiye aura pane baalo ko sundar, ghana aur chmakdar banaiye.

See more details of Onion for Hair from Beauty Tips in Hindi.

Loading...

You may also like...