Rose Benefits in Hindi: Jane Gulab Ke Phool Ke Fayde

Gulab bahut hi sundar phool hota hai. Ise phoolo ka raja bhi kaha jata hai. Iske rang aur khushbu ko sabhi pasand karte hai. Pehle ke jamane mai raniya aur malikaye apne nahangharo mai gulab ki pankhudiyo se bane favvare ko lagvati thi. Iske alava gulab ki pankhudiyo se bana ubtan bhi rajkumariyo ka mukhya prasadhan hota tha.

Gulab pure varsh ugne wala, jharidar, katila aur pushpiya podha hai, jisme bahut hi sundar phool lagte hai. Gulab ki 100 prajatiya hoti hai. Iski kai prajatiya Europe, north America aur north pashchimi Africa mai bhi payi jati hai. Gulab ke phool mai 95 pratishat pani hota hai. Iske phool ko komalta aur sundarta ka pratik mana jata hai.

Gulab sirf dekhne mai hi khubsoorat nahi hota hai, balki yeh kai prakar ke aushdhiya guno se bhi bharpur hota hai. Gulab jal ka istemal log face mask ke rup mai bhi karte hai, iske alava yeh khane ko bhi lajjedar banata hai. Gulab mai vitamin A, B3, C, D aur E bharpur matra mai paya jata hai.

Gulab mai kai khanij tatv jaise calcium, zinc aur iron ki kaafi matra payi jati hai. Iske alava yeh sharir ke liye kis tarah se faydemand hai? Janne ke liye padhe Rose Benefits in Hindi.

You may also like:- Water Benefits in Hindi: Kya Aap Jante Hai Pani Pine Ke Fayde

 

Rose Benefits in Hindi: Inn Bimariyo Ko Dur Kare Gulab

Rose Benefits in Hindi

Gulab ko log kai rupo mai istemal mai late hai. Gulab mai upasthit vitamin E, twacha ke liye bahut faydemand hota hai.

Shayad aap jante honge ki gulab hame asthma, fever, cough, uchh raktchap, diarrhea aadi pareshaniyo se nijad dilane mai madad karta hai. Iske aur bhi fayde janne ke liye padhe gulab ke phool ke fayde.

Rog Pratirodhak Kshamta Badhaye

Gulab hamare sharir ki rog pratirodhak kshamta ko badhane mai madad karta hai. Isme upasthit anti-oxidant aur anti-bacterial gun hame kai prakar ki pareshaniyo se nijad dilane mai madad karte hai. Iske sevan ke liye rojana subah khali pet taje gulab ki 2 se 3 pankhudiya kha le, isse aapko din bhar tajgi mehsus hogi. Darahsal gulab ek accha blood purifier hota hai jisse yeh pet sambandhi kai pareshaniyo mai bhi aaram pahuchata hai.

Dast

Dast se rahat pane ke liye 10 gram gulab ke phool aur 5 gram mishree ko milakar din mai 3 baar khane se labh milta hai. Gulab ke bich lagne wale chote-chote dane jise jeera bhi kaha jata hai. Inhe din mai 3  bar khane se dast mai jaldi aaram milta hai.

Dehydration Dur Kare

Gulab mai 95 % pani ki matra hoti hai. Isse yeh sharir ko hamesha hydrate rakhne mai madad karta hai. Gulab ki pattiyo se aap gulkand bhi bana sakte hai. Gulkand ka sevan karne se aap sharir mai hone wali pani ki kami ko pura kar sakte hai.

Iske sevan karne se sharir ko thandak milti hai jisse aap tarotaja mehsus karne lagte hai. Isliye yadi aap bahut jyada kam karte hai to kam ke wakt gulkand jarur khaye. Yeh sharir mai sfurti layega sath hi thakan aur sharir ke dard ko bhi dur karega.

Migraine Ke Ilaj Ke Liye

Aajkal bahut se log migraine yani aadha sisi ki bimari se jujh rahe hai. Iss bimari mai vyakti  apne sar dard se bahut pareshan rehte hai. Iske upchar ke liye ilaychi ke 2 daane, 1 chammach mishri aur 10 gram gulab ki pattiyo ko pees le. Ab ise rojana subah khali pet sevan kare. Isse aapko sar dard mai jald hi aaram milega.

Iske alava 1 gram nosadar ko 12 gram gulab ke jal mai mila de. Iss jal ki 4 se 5 bund rogi ki naak mai dale aur jal ko andar ki taraf khinchne ko kahe. Aesa karne se jal ka asar hamare mastishk par padta hai jisse sar dard mai aaram milta hai.

Dil Ke Liye Faydemand

Arjun ki chhal aur desi gulab ko pani mai milakar acchi tarah ubaal le aur ise kaadhe jaisa bana le. Iss kadhe ko chai ki tarah pine se dil se judi bahut si bimariya dur ho jati hai. Iske lava aesa karne se dil ki dhadkane bhi samanya rup se chalne lagti hai. Iss prakar gulab hame dil se judi kai prakar ki pareshaniyo se nijad dilane mai madad karta hai.

Twacha Ke Liye Faydemand

Gulab ke alava Gulab Jal Ke Fayde bhi bahut se hai. Bahut se log apne chehre ke muhaso, unke daag aur dhabbo se bahut pareshan rehte hai. Aese mai gulab jal aapki twacha ko khubsoorat  aur chamakdar banane mai madad karte hai.

Gulab jal mai kai prakar ke anti-bacterial aur anti-inflammatory gun hote hai. Yeh gun rukhi twacha ko moisturize karne ke muhaso ki samasya ko bhi dur karta hai. Iske alava gulab mai upasthti phenyl ethanol namak antiseptic yogic acne ko jad se khatam karne mai madad karta hai.

Iske upyog ke liye methi ke kuch dano ko rat mai bhigokar rakh de. Fir ise gulab jal milkar acchi tarah se pees le aur paste bana le. Iss paste ko muhaso mai kam se kam 20 minute tak lagae fir thande pani se chehra dho le.

Aankho Ke Liye Faydemand

Gulab ke sath-sath bahut se Rose Water Benefits in Hindi bhi hai. Aankho ke rog ko dur karne ke liye rojana subah aur sham 2 bund gulab ka jal aankho mai dale. Aesa karne se aankho ke rog thik ho jate hai. Iske alva gulabjal ko aankho mai dalne se aankho ki jalan aur kirkirapan bhi dur ho jata hai.

50 gram gulab ke jal mai 1 gram fitkari ko dal de. Ab iski 2 se 3 bunde rojana din mai 3 se 4 bar aankho mai dale. Aesa karne se aankho ka lalpan, aankho mai keechad jamna aur aankho ki jalan ko dur kiya ja sakta hai. Iske alava rantondhi mai hone wali jalan ko dur karne ke liye gulab jal ka istemal kiya jata hai. Iske alava gulab jal ko cotton ke kapde mai lekar aankho ke niche lagane se dark circles ko khatam kiya ja sakta hai.

Thakan aur Depression Dur Kare

Gulab ki pankhudiyo mai aese gun hote hai jo ki atyadhik thakan, tanav aur anidra se hone wali bechaini aur chidchadapn ko dur kar deta hai. Shodho se pata chala hai ki gulab ki pattiyo mai aesa tatv hota hai jise sunghne se hame inn sabhi pareshaniyo se chutkara mil sakta hai.

Iske upyog ke liye garm pani mai gulab ke phool ki kuch pankhudiyo ke le. Ab iss pani ki bhap se jab gulab ki khushbu pure kamre mai bikhregi tab isse aapke man aur body dono ko aaram milega.

Bavasir Mai Rahat De

Bavasir ke ilaj ke liye gulab ek prakratik aushdhi ki tarah kam karta hai. Gulab mai fiber aur pani ki bahut adhik matra hoti hai. Yeh sharir se sabhi vishele padartho ko bahar nikalta hai aur pachan kriya ko majbut karta hai. Iske sath hi gulab bavasir ke ilaj mai bhi madad karta hai.

Iske upyog ke liye mutthi bar gulb ki panckhudiyo ko 50 ml pani ke sath milakar gadha solution taiyar kar le. Ab ise rojana 3 dino tak khali pet piye. Isse bavasir ke thik hone mai madad milti hai.

You May Also Like:- Piles Treatment in Hindi: Bavasir ka Gharelu Upchar

 

Vajan Kam Karne Mai Sahayak

Gulab ki pankhudiyo mai fiber ki bahut adhik matra payi jati hai jo ki sharir ke metabolism ko badhane mai madad karta hai. Yeh metabolism sharir mai jami atirikt charbi ko kam karne mai madad karta hai. Iske alava isme upasthit pani ki adhikta se sharir se toxins ko bahar nikalne mai madad milti hai.

Iske upyog ke liye 10 se 15 taja gulab ki pankhudiyo ko pani mai ubale aur pani ke rang ko gulabi hone de. Iss pani mai aap shahad aur dalchini ke powder ko bhi mila sakte hai. Ab iss prakar bani chai ko rojana piye yeh sharir ka vajan kam karne mai sahayak hota hai.

Baalo Ke Liye

Gulab ka prayog baalo ki dekhbhal ke liye bhi kiya jata hai. Gulab ka jal baalo ki jado mai jata hai aur sar ke blood circulation ko sudharta hai. Jisse baalo ka sahi tarah se vikas hone mai madad milti hai. Iske alava gulab baalo ko majbuti pradan karne ke sath-sath baalo ko mulayam banane mai ek prakratik conditioner ka kam karta hai.

Rose Benefits in Hindi:  Anya Fayde Inhe Bhi Padhe

  1. Gulab, vitamin C ka accha strot hone ke karan yeh hamari twacha ke liye ek accha sunscreen, moisturizer, tonner, naturally fragrant aadi ka kam karta hai.
  2. Gulab ki pankhudiyo se bane gulkand ko khane se masudo mai dard, cough, bukhar aur masik dharm ke samay hone wale pet dard mai aaram milta hai.
  3. Phate hontho ke ilaj ke liye gulab ki pattiyo ko pees le aur ise hontho par lagaye. Ise hontho mai lagane mai thoda pareshani hoti hai isliye isme glycerin milakar hontho mai lagaye.
  4. Pieria ke ilaj ke liye gulab ke phool ki pankhudi bahut faydemand hoti hai. Iske prayog se daant aur masude majboot bante hai.
  5. Iske alsva gulab ka phool amashay, aant aur ykrit ki kamjori ko dur kar inme shakti ka sanchar karta hai.

Upar aapne jana Rose Water Benefits in Hindi. Yadi aap bhi apne aap ko swasth rakhna chahte hai to aaj se hi gulab ka prayog karna shuru kare.

Loading...

You may also like...