Throat Cancer Symptoms in Hindi – Iske Karan aur Lakshano Ko Samjhe

Throat Cancer Symptoms in Hindi: Vigyan ne jaha anek prakar ke aavishkar kiye hai, wahi uske dush-parinamo ko bhi hume bhugatna padta hai. Aaj nayi technology ki wajah se manushya aalsi hota ja raha hai. Hum vigyan aur naye yantro ka istemal to kar rahe hai sath hi hum iska dur-upyog bhi kar rahe hai. Jiske parinaam swaroop aaj hum anek prakar ke rogo aur bimario se grasit hai.

Pahle ke samay mai jaha cancer jaisi bimari ke bare mai log jante bhi nahi the, lekin aaj pure vishv mai har aatha mai se ek vyakti ki maritu cancer ki wajah se hoti hai. Isse pidit aur marne walo ki sankhya HIV/Aids, TB aur malaria se marne wale kul vyaktiyo se kai guna adhik hai.

Dunia bhar mai hriday rogo ke baad cancer hi maritu ka sabse bada karan hai. Tambaku khana, cigarette pina, saturated fat yukt aakar lena, sharab pina, sharirik shram ka abhav jaisi anek galat aadate logo ko cancer ki aur dhakel raha hai. Aaj hum aapko Throat Cancer in Hindi yani gale mai hone wale cancer ke bare mai vistrat jankari dene wale hai.

Throat Cancer Symptoms in Hindi: Janiye Iske Karan, Lakshan aur Upchar

Throat Cancer in Hindi
Yah bilkul bhi jaruri nahi hai ki cigarette, tambakhu ya anya aise padartho ka sevan karne wale logo ko hi Throat Cancer ho, agar aap iss galat-fehmi mai hi yah keval aise logo ko hi  hota hai to aap galat samjh rahe hai.

Bade-bade saharo mai bahut teji se yah bimari apne paw pasar rahi hai, yah bimai na sirf cigarette pine ya tambakhu khane wale vyaktiyo ke alawa unki sangat mai aane wale log bhi iski chapet mai aa rahe hai. Kaam aayu ke yuva bhi iss rog se grasit hokar apni jaan gawa rahe hai. Halaki 40 se 50 varsh ki aayu wale log iss rog se sabse jyada pidit hai.

Gale ka cancer 2 prakar ka hota hai. Swar Yantra aur Laryngeal cancer. Gale ke swar yantra ke cancer mai aawaj bhari ho jati hai. Gale ki lasika granthiyo mai sujan bhi aa jati hai. Awaj ki javabdari gale mai mojud swar peti yani larynx ki hoti hai.

Kai baar cigarette aur sharab ke atydhit sevan se laryngeal prabhavit hone lagte hai. Isi swar peti ke dwara hi humari awaj aati hai. Sath hi yah fefdo ki suraksha bhi karta hai. Humare desh mai cancer rogiyo mai se 4.8 pratishat ko swar peti ka cancer hota hai. Jisme adhikansh purush hote hai. Cancer se hone wali moto mai 4.4 pratishat gale ke cancer se hoti hai.

Gale ka cancer tab hone lagta hai jab sans lene, bolne aur nigalne ke liye upyog mai layi jane wali koshikaye asamanya roop se viksit hokar vibhajit hona shuru ho jati hai aur inka vikas samany se bahut adhik hone lagta hai, to gale ka cancer hota hai.

Adhiktar gale ke cancer mukh ke taar par shuru hote hai aur baad mai swar yantra se gale ki pichle hisse jisme jibh aur tonsil’s ke hisse bhi shamil hote hai. Yah dhire-dhire swas nalika mai bhi fel jate hai.

You May Also Like:- Brain Tumor Symptoms in Hindi: Mastishk Cancer Ke lakshan

Causes of Throat Cancer: Jane Iske Karan

Gale mai cancer hone ke kai karan hai. Aaiye jante hai Causes of Throat Cancer. Pahle ke samay mai gale ka cancer adhik aayu wale logo ko hota tha, lekin ab 20 se 25 varsh ki mura wale nojawan bhi iski chapet mai aa rahe hai. Halaki sabse jyada shikar 40 se 50 varsh ki aayu ke vyakti hai. Yah bahuy khatarnak sabit ho sakta hai kyoki muh ki samanya pareshaniyo ko log dhyan nahi dete hai, jo badte-badte cancer jaisi bimari ka roop le lete hai.

Tambakhu, dhumrapan aur sharab ka atydhik sevan karne se gale ka cancer hota hai. Iske alawa anek rasayanik padartho jaise coaltaar, asbestos, vinyl chloride, bengin, cadmium, aarsenik aadi bhi cancer ko uttpann karne ki shamta rakhte hai. Kai karkhano mai inn padartho ke sampark mai pratidin aane se cancer hone ki sambhavna bad jati hai. Isi tarah ke anya khadya padarth jo gale mai jalan paida karte hai ya tishn lagte hai, vah bhi cancer ko janm de sakte hai. Adhik pradushan bhi gale evam kai prakar ke anya cancer ko paida karta hai. Dibba band khadya padarth, kratim rang tatha rasayano ke sevan se bhi iski sambhavna bad jati hai. Kabhi-kabhi shital pay padarth papsi, coca-cola aadi ka adhik sevan bhi iss tarah ke rogo ko jamn de sakta hai.

Gale ka cancer anya cancer se bhi juda hota hai. Gale ke cancer ke rogiyo mai se 15 se 20 pratishat log gale ke cancer ke sath muh, bhojan nalika ya fefdo ke cancer ke sath hi ek hi samay mai nidan hota hai. 10 se 20 pratishat gale ke cancer ke sath kai logo ko anya cancer baad mai viksit hote hai.

Throat Cancer Symptoms in Hindi: Jane Iske Lakshan

Iss tarah ke cancer mai awaj mai bharipan tatha awaj samanya nahi rahti hai. Yadi yah rog bad jata hai, to sans lene  mai pareshani hoti hai kyoki iske bad jane ke karan sans ko aane jane ka rasta nahi mil pata hai. Rogi ko nigalne mai dard aur vajan kam hone ki shikayat rahti hai. Sath hi khoon ki khansi, gardan dard, sujan ya gale mai ganth hona, khansi ke sarh rakt mishrit balgam bhi aa jata hai.

Yah bhi ho sakta hai ki marij ko kuch bhi taral padarth lene par cough ki pareshani ho sakti hai, kyoki Vocal cord itne saksham nahi rah jate hai ki vah ise chati mai jane se rok sake. Kuch rogiyo mai kaan mai bhi dard ki shikayat rahti hai. Agar aapke sharir mai bhi Throat Cancer Symptoms najar aa rahe hai to turant iski rokdham shuru kar dijiye.

Throat Cancer

Throat Cancer Treatment: Jane Iska Upchar

Aaj ke yug mai kisi bhi rog ki pahchan karna shuruvati lakshano mai sambhav hai. Upper humne aapko gale mai cancer ke lakshan ke baare mai bataya hai. Agar aapko iss prakar ke lakshan dikhai de rahe hai, to bina deri kiye turant chikitsak se paramarsh le aur sampurn janch karvaye. Iss rog ki pahchan jini jaldi hogi, chikitsa se utni hi jaldi labh milega.

Cancer ka samay rahte thik se ilaj ho jane par rogi purn roop se swasth bhi ho sakte hai aur lambi aayu ji sakte hai. Cancer ke shighra nidan ke baad shalya kriya kar di jaye to rogi samanya aayu tak jinda rah sakta hai. Shalya kriya ke atirikt radiation dwara bhi iska ilaj karte hai, jisse rogi ko bahut labh milta hai. Vishesh sthitiyo mai cancer rogi ko dawaye bhi di jati hai.

You May Also Like:- Skin Cancer Symptoms in Hindi: Pehchane Iske Lakshan

Cancer Mai Sahayak Hai Therapy

Gale ke cancer mai teen prakar ki therapy se ilaj sambhav hai surgery, vikiran therapry, kimo therapy. Surgery chikitsa ke antargat yadi tumor chota hai, to ise kam side effect ke sath nikala ja sakta hai lekin agar tumor bada hai aur aaspas ke shetro mai bhi fela huya hai, to surgery aur bhi adhik vyapak hona chahiye. Unnat tumor surgery ki sthiti mai bolne, khana chabane aur nigalne ki shamta ko prabhavit kar sakti hai. Iss prakar Throat Cancer Treatment ke jariye aap iss rog se mukti pa sakte hai.

Gale Ke Cancer Se Bachav

Gale ke cancer se bachne ke liye sabse jaruri hai khaan-paan ki adato mai badlav. Hanikarak nashile avyavo ka sevan chodkar iss rog se bacha ja sakta hai. Iske liye cancer paida karne wale sabhi padartho ka sevan chodna sabse accha vikalp hai. Kisi bhi tarah se tambakhu, sharab, paan masala, kacchi supari aadi ka upyog bhi band kr dena chahiye. Tambakhu yukt dant manjan ka bhi istemal nahi karna chahiye.

Iske atirikt atydhik tale, bhune, mirch – masaledar yukt bhojan bhi nahi khana chahiye. Adhik wasa yukt khadya padartho ke sevan se bachna chahiye. Sath hi adhik vajan aur motape se bachav bhi cancer ke liye labhkari hota hai kyoki yah paya gaya hai ki mote logo mai cancer ki sambahvna adhik hoti hai.

Sath hi apne niyamit aahar mai badlaav kare. Bhojan mai vitamin C aur B se yukt padartho gajar, amla, amrud, hari sabjiya aadi ko paryapt matra mai shamil kar aap iss rog se bach sakte hai. Prayogo dwara yah siddh ho chuka hai ki Vitamin C aur B tatha bhojan mai reshedar phal aur sabjiyo ki matra sharir ko kai tarah ke cancer se bachati hai. Reshe yukt khadya padarth lene se aanto ke cancer se suraksha milti hai.

Jane Gale Ke Cancer Ki Stage

  • Stage 0: Gale ke piche jo tissue hota hai waha ganth nahi badti hai.
  • Stage 1: Sabse pehli avastha mai gale ki cancer koshikaye 7 cm se kam ya 7 cm tak hoti hai
  • Stage 2: Iss avastha mai gale mai bani hui ganth ki koshikaye dhire dhire 7 cm se jyada badne lagti hai.
  • Stage 3: Gale ke cancer ki tisri avastha mai cancer koshikaye vibhajit hokar tissue aur organs mai failne lagti hai.
  • Stage 4: Yeh iss cancer ki sabse aakhri avastha hai jisme koshikaye vibhajit hokar lymph node aur distant organs mai failne lagti hai.

Inn avasthao ko dekhte huye doctor kai tarah ke test karate hai jaise CT scan, MRI aadi. Iss bimari ki janch karne ke liye aapke doctor ko aapka chhati, gala aur sar ko scan karke picture lene de taaki aapki avastha jankar wo aapko uske anusar dawai de sake.


Stage Throat Cancer
0 Cancer Koshikaye Nahi Badti Hai
1 Koshikaye 7 Cm Se Kam Ki Hoti Hai
2 Cancer Koshikaye 7 Cm Se Badi Hui Hai
3 Koshiikaye Organs mai Failti Hai
4 Koshikaye Lymph Node mai Badne Lagti Hai

Aaj aapne jana Throat Cancer Symptoms in Hindi, kisi prakar ke nashile avyavo ke niyamit sevan se cancer ke alawa any sharirik rog bhi ho sakte hai. Agar aap inn sabhi prakar ke rogo se bachna chahte hai to acche aahar ka istemal kare, buri aadato aur avyavo ko bilkul tyag de. Tabhi aap iss tarah ke rogo se bach payenge. Aap inn sabhi karano aur lakshano ko dhayn mai rakhe aur kisi bhi prakar ke lakshan najar aane par bina deri kiye chikitsak se paramarsh le.

Loading...

You may also like...