Thyroid Nodules Symptoms Hindi: जानिये इसके लक्षण

Thyroid Nodule thyroid granthi mai asamanya granth ko darshata hai. Thyroid Nodule iss granth ke kisi bhi hisse mai nikal sakta hai. Halaki kuch nodule ko aasani se pahchan mai aa jate hai. Lekin kuch thyroid nodule aise bhi hote hai jo thyroid uttarko mai moujud hote hai lekin unki pahchan aasani se nahi ki ja sakti hai.

Thyroid granthi gale mai payi jati hai. Yeh granthi saans nali aur trakeia ke charo taraf titai ke aakar mai lipti hoti hai. Thyroid Nodule ke karan thyroid cancer ke hone ki sambhavna se inkaar nahi kiya ja sakta hai.

Yadi samay par iska nidaan na kiya jaye to iska aakar badh jata hai aur yeh bahar se dikhai dene lagti hai. Iske karan nigalne mai dikkat ho sakti hai. Aaiye hum aapko Thyroid Nodules Symptoms in Hindi ke bare mai puri jankari de de.

You may also like:- Aaiye Jane Hair Loss from Thyroid ke Baare Mai

Thyroid Nodules Symptoms in Hindi: Pehchaniye Iske Mukhya Lakshan

Jyadatar mamlo mai Thyroid Nodule aasani se pahchan mai nahi aata hai aur na hi iske lakshan dikhai dete hai, jab tak isme sujan na aa jaye, sujan ke karan yeh fulta hai. To aaiye jante hai iske kuch mukhya lakshan:-

Thyroid Nodules Symptoms in Hindi

  • Inko sujan ke aadhar par aasani se dekha ja sakta hai.
  • Shuruaat mai nigalne mai dikkat hoti hai jisse inko mahsoos bhi kiya ja sakta hai.
  • Kuch mamlo mai Thyroid nodule atirikt matra mai thyroxin hormone ka utarjak karte hai.
  • Thyroid Nodule ki wajah se achanak vajan ghat sakta hai.
  • Dil ki dhadkan aniyamit ho jati hai, jo kabhi kam ya kabhi jyada ho jati hai.
  • Iske karan bolne mai dikkat ho sakti hai, kyuki yeh voice box (lerix) ko sakrachit kar deta hai.
  • Raat ko sone mai dikkat hoti hai, aisa thyroid nodule ke badhne se hota hai.
  • Mashpeshiyo kamjor ho jati hai, jiske karan marij ko thakan aur kamjori ka ahsaas hota hai.

Thyroid Nodules Causes in Hindi: Iske Kuch Major Karan

Iodine ki Kami:

Khane mai iodine ki kami ke karan thyroid nodule ke badhne ki sambhavna jyada hoti hai. Yadi aapke aahar mai iodine ki matra kam hai ya thyroid granthi mai thyroid nodule ka vikaas ho jata hai. Halaki iska matlab yeh nahi ki aap iodine ki kami kewal namak se kare, iske liye aap iodine yukt aahar bhi kha sakte hai. Sabse jyada iodine samudri machhli mai paya jata hai.

Thyroid Uttark Se:

Yadi thyroid uttark asamanya roop se badh jata hai, tab bhi thyroid nodule ki samasya ho sakti hai. Iss stithi ko thyroid adenoma naam se bhi jana jata hai. Haalaki aamtour par yeh noncancerous hota hai aur iske karan jyada gambhir samasya nahi hoti hai. Kuch adenoma aise bhi hai jo apne aap thyroid hormone ka uttarjak pituitary gland ke bahar karte hai, iske karan Hyperthyroidism ki samasya ho sakti hai.

Thyroid Cyst:

Taral padarth se bhari guhaye (Ise cyst kahte hai) thyroid mai sabse samanya roop mai payi jati hai. Iske karan hi thyroid adenoma ki stithi aati hai. Kabhi-kabhi thos padarth thyroid cyst mai taral padartho ke saath mil jata hai. Halaki aamtour oar ulcer yani cyst somya hota hai, lekin kabhi-kabhi unke saath ghatak thos padarth bhi hote hai.

Thyroid Mai Sujan:

Thyroid granthi mai jab lambi avadhi tak sujan rehti hai tab bhi yeh thyroid nodule hone ki sambhavna badh jati hai. Iss stithi ko thyroiditis bhi kehte hai. Samanyataya hasimotose ek parakar ek prakar ka vikar hai, jo thyroid granthi mai sujan badhne ke karan hota hai aur thyroid granthi ki karyakshamta ko kam kar deta hai, ise hyperthyroidism kehte hai.

Thyroid Cancer:

Thyroid cancer mai nodule ke chhote rehne ki jyada sambhavna rehti hai. Yadi parivar mai kisi ko yeh bimari hui to ghar ke anya sadasyo mai bhi iss bimari ke hone ki sambhavna rehti hai. Yadi aapki umra 30 se 60 bich hai to aapko iska jokhim jyada hota hai.

Upar aapne jane Thyroid Nodules Symptoms in Hindi. To agar aap ko bhi aisi koi samasya hai to aaj hi apne doctor se sampark kare aur swasth rahe.

Loading...

You may also like...