Tips for Good Sleep in Hindi: Acchi Neend Aane ke Tarike

Swasth rahne ke liye acchi neend ka hona bahut jaruri hai. Hum se bahut se log aise hote hai, jinko raat me neend nai aa pati hai. Jiske karan unki tabiyat kharab ho jati hai. To chaliye aaj hum aapko batate hai. How to Get Good Sleep, jisse ki aap ek swasth jivan bita sakenge.

Ek din me 24 ghante hote hai aur nature ke anusar din ka samay karya ke liye aur raat ka time sone ke liye hota hai. Lekin log sochte hai ki 24 ghante me jitna bhi kaam ho sake kar le. Par vo yeh nahi jante hai ki roz 7 se 8 ghante ki neend bahut jaruri hoti hai. Vese baccho aur bujurgo ko to isse bhi jyada sone ki salah di jati hai.

Modern amenities ke chalte ab logo ki sharirik gatividhiya ka kam hona, khan-paan par dhyan na dena, sare din band kamre me baithe rahne se log kai bimariyo se grasit ho jate hai. Jo ki neend na aane ka bahut bada karan hai.

Sleep Tips par ki gaye study ke anusaar kam sone se mastishk ke hypothalamus me skriya neurons ke ek samuh ki karyashaili gadbad ho jati hai. Yahi par orexin namak hormone bhi sakriya hota hai, jo khan pan sambandhi vyavhaar ko control karta hai. Kam sone se aapke karya ki gunvtaa me kami aa sakti hai aur yaha tak ki sochne ki kshamta bhi prabhavit ho sakti hai.

Sleep Tips: Acche Swasth ke Liye Jaruri Hai Acchi Neend

Alag-alag age me logo par neend ko lekar kiye gaye ek study me kam neend lene vale log aswasth, thake- thake, less attractive nazar aate hai. Vahi bharpur Sleep lene vale logo theek iske ulte hote hai. Ek study ke douran yeh bhi pata chala hai ki, paryapt neend lene vale log behtar kaam kar sakte hai. Kyoki sharir aur mastishk dono ko aaram ki jarurat hoti hai.

Gahri neend se sokar uthne par aap khud ko tarotaaza to mahsus karte hai, saath hi isse aapka concentration bhi badta hai. Jo log neend puri karte hai unme rog pratirodhak kshamta bhi hoti hai. Saath hi productivity aur sensitivity badne tatha khubsoorti ko nikharne me bhi pryapt neend ki jarurat hoti hai.

You may also like: Side Effects of Oversleeping: Jyada Sone ke Nuksaan

Vese kuch log to aise hote hai, jo ki bahut jyada thak jate hai, jis ke karan vo so nahi pate hai, lekin aap kuch aasan tarike apna kar aachi neend le sakte hai. Kyoki neend puri na hone par ye ek bimari ke roop me badal jati hai.

Dekha gaya hai ki, kuch log neend ki dawa ka sevan karte hai, jisse ki aage chal kar unke liye ek pareshani ka vishay ban jata hai kyoki ye dawa neend lane me to sahayak hoti hai par aage chal kar apne saath kai bimariyo ko bhi le kar aati hai. Kabhi bhi ye dawao ke sevan se logo ki yadaash kamjor ho jati hai. Saath hi dimag se judi kai bimariya bhi ho jati hai.

Lekin jo log neend na aane ki pareshani se grasit hai, unko hum batate hai, Tips For Good Sleep In Hindi.

How to Get to Sleep: In Tariko ko Apna Kar Acchi Neend ka Anubhav Kare

Tips for Good Sleep in Hindi

Sone se Pahle Dheele Kapde Pahne

• Sone se pahle hamesha dheele kapde pahnana chahiye jisse ki aapki neend puri ho.
• Saath hi dheel-dheele kapde pahanane se aapko aaramdayak neend ka anubhav hota hai.

Room me Normal Temperature Rakhe

Sleep Tips ki baat kare to, sote samay hamesha dhyan rakhe ki room ka normal temperature rakhe. Jisse aapki neend bar-bar khulti nahi hai.
• Normal temperature hone se aapki neend puri ho kar aap sukh ka anubhav kar sakte hai.

Khana Kha ke Turant Nahi Soye

• Sone se kareeb 2 ghante pahle raat ka bhojan karna chahiye.
• Kabhi bhi khana kha kar turant nahi sona chahiye aur na hi bhaari bharkam bhojan karna chahiye, hamesha raat ka khana halka hona chahiye.

Gunguna Dudh Piye

• Raat me sote vakt gunguna dudh peena chaiye.
• Halke gram dudh ke sevan se aapko aachi neend aati hai. Aap relax feel karte ho.

Rojana Vyayam Kare

• Aap apni life style me sharirk vyayam ko shamil kare. Kyoki isse tan man dono durust hote hai.
• Vyayam se na leval sharirik shanti milti hai, balki aapka mastishk bhi shant rahta hai. Jis ke chalte aap shantipurvak neend lete hai.

Dark Room me na Soye

• Room me sote samay halki roshni honi chahiye.
• Bilkul andhere kamre me na soye. Kyoki isse aapki neend bar bar tutati hai saath hi aapka mann ashant rahta hai.

Saaf Safaai ka Dhyan

• Sone vale kamre me hamesha saaf safaai ka dhyan rakhna chahiye.
• Agar hum saaf kamre me soyenge to aapko aachi aur aaramdayak neend aayegi.

Smoking aur Drinking na Kare

• Kabhi bhi sone se pahle drinking aur smoking na kare.
• Kyoki nashe ke karan hamara mann shant nahi rahta hai aur ham ek acchi neend nahi le pate hai.

Muh Dhak kar na Soye

• Kbhi bhi Muh ko cover karke nahi sona chahiye. Jo ki neend puri na hone ka ek bahut bada karan hai.
• Adhik der tak muh ko cover karke sone se hamara dam ghutne lagata hai. Jiske karan hamari neend kharab hoti hai.

Tips For Good Sleep: Paiye Healthy Life Acchi Neend ke Saath

Tips for Good Sleep

Khana Khane Ke Baad Ghume

Tips for Good Sleep me sabse accha tarika yeh bataya jata hai ki, ho sake to khane khane ke baad aap 10 se 15 minutes ghume, phir sone jaye. Usse bhojan pach jata hai aur aapki neend bhi puri hoti hai.
• Saath hi acchi neend aane ka yeh sabse accha tarika hota hai.

Manpasand Books Pade

• Ho sake to sone se pahle aap apni pasand ki koi bhi book padh sakte hai. Isse bhi neend acchi aati hai.
• Pasand ki book padhne se aapka mann shant rahta hai aur aap aaramdayak neend puri karte hai. Isliye jo logo ko neend na aane ki problem ho unhe book jarur padhna chahiye.

Sone se Pahle Chinta na Kare

• Sone se pahle ek baat ka hamesha dhyan rahe ki aap koi bhi chinta na kare. Hamesha shanti purvak soye.
• Kyoki jab hum sone se pahle kisi baat ko sochte rahte to hamara mashtishk ashant rahta hai jiske chalte hum neend na aane ki pareshani se grasit ho jate hai. To bistar par jane se pahle apni sari chintaye chhod de.

Upar aapne How to Get to Sleep ke bare me jankari li hai to bas der kis baat ki, inn tips ko apna kar apni neend ko pura kijiye aur hamesha swasth rahiye.

Get more details of Sleeping from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...