Makeup Brushes Ka Istemal Kar Chehare Ka Nikhar Badhaye

Aaj ke jamane mai har ladki khubsoorat dikhna chahti hai. Aur ye sundar dikhne ki chahat aajkal ki nahi balki sadiyo purani hai. Sundar dikhne ke liye vaise to swasth twacha ka hona jaruri hai. Lekin iske sath hi makeup ki madad se ham aur bhi jyada khubsoorat dikh sakte hai.

Jayadatar mahilao ko apni umar se kam dikhna accha lagta hai. Aur makeup ki khasiyat hi yahi hai ki yadi ise sahi tarike se kiya jaye to aap khud ko kam umar ka dikha sakti hai. Perfect makeup ke liye chahe wo aankho ka ho ya fir galo ka, ise sahi tarah se kiya jana behad jaruri hai. Aur iss chiz ke liye aapki madad karte hai Makeup Brushes.

Chehre ki sundarta ko badhane ke liye market mai kai tarah ke brush uplabdh hote hai. Aap aankho, hontho aadi ke makeup ke liye alag alag brush kharid sakti hai.

Kai aurte makeup ko sahi tarike se nahi laga pati hai jisse unka chehra ulta aur kharab dikhai dene lagta hai. Makeup Karne ke liye aur iske jariye apni sundarta ko nikharne ke liye makeup brush ka sahi chunav aur istemal tarika aana chahiye. Kyoki har makeup ke liye alag alag brush ka istemal kiya jata hai. Isliye jaruri hai ki makeup karte samay aapko sahi brush ke bare mai pata ho. To aaiye ham aapko different makeup brush or unko istemal karne ke tarike bata rahe hai.

Makeup Brushes: Jane Iske Prakar aur Istemal Ka Tarika

Makeup Brushes

Foundation Brush

Adhiktar log foundation lagane ke liye apne hatho ka istemal karte hai. Jisse foundation kahi jayda to kahi kam lagta hai. Aur makeup ka base hi kharab ho jata hai. Darahsal foundation aapke makeup ka main base rehta hai aur yadi yeh kharab ho jaye to pura makeup hi kharab ho jata hai/

Foundation ko sahi tarike se lagane ke liye foundation brush ka istemal karna chahiye. Foundation ko brush se lagane ka benefit hi yahi hai ki isse aapka foundatoin pure chehre par ek saman lagta hai aur  aapko makeup natural dikhai deta hai. Bajar me kai tarah ke foundation brush apko mil jayenge. Isliye brush ko dekhte huye foundation ko lagane ke liye uska upyog karna chahiye.

Concealer Brush

Concealer ka upyog chehre ke dag dhabbe, dark circles ya fir kisi nishan ko chhupane ke liye kiya jata hai.  Isliye isko sahi dhang se lagaya jana chahiye. Concealer Brush ka istemal concealer ko chehre par acche se failane ke liye kiya jata hai, jisse chehre ke dag dhabbe aasani se chup jaye. Aur aapki twacha bedag dikhai de.

Powder Brush

Jab aap concealer aur foundation ko lagate hai, to use acche se set karne ke liye compact ka prayog kiya jata hai. Compact ko lagane ke liye powder brush ka upyog kiya jata hai. Isme aap bade ya chhote kisi bhi tarah ke brush ka istemal kar sakte hai. Hatho se powder lagane par exrta powder bhi aapke face par lag jata hai lekin iski madad se powder lagane par pure face par ek saman aur sahi powder lagta hai.

You May Also Like:- Vlcc Facial Tips in Hindi: Twacha Ki Khubsoorti Nikhare

Blush Brush

Galo par lalima dikhane ke liye blush ka istemal kiya jata hai. Ise galo par bahut hi aahista aur halke hatho se lagana hota hai. Blush ko lagane ke liye blush brush ka istemal kiya jata hai. Yeh aakar main na to bada hona chahiye na hi chhota.

Eyeshadow Brush

Aankho ko aur jayda akarshit banane ke liye eye makeup kiya jata hai. Eye makeup mai eyeshadow ki aham bhumika hai. Kuch log hamesha brown colour lagate hai to kuch log apni dress ke anusar rang ka chayan karte hai. Eyeshadow ko hatho ki sahayata se nahi lagaya ja sakta hai. Ise lagane ke liye bhi eyeshadow brush ka istemal kiya jata hai. Yeh brush niche se chapta aur upar se andakar aakar ka hota hai.

Eyeliner Brush

 Iss brush ki aage se tip bahut patli hoti hai aur handle lamba hota hai. Eyeliner ka istemal palko ke upper patli si outline dene ke liye kiya jata hai, jisse aankhe khubsoorat or badi dikhai deti hai.

  • Fine point Eyeliner Brush: Yeh Brush synthetic fiber se bana hota hai. Iss brush se jab aap eyeliner lagate hai vo apako choudai nirdharit karne ki suvidha deta hai.
  • Flat Eyeliner Brush: Yeh brush nukila aur chouda hota hai. Jisse liner aapki aankho ki palko ke upar gehrai se lag jata hai. Yeh aapki ankno ko accha look deta hai.
  • Angled Eyeliner Brush: Yadi aap jel eyeliner lagana chahte hai to angled eyeliner brush ka istemal kare. Isse aapko eyeliner ki smooth application ko lagane mai acchi madad milegi. Yeh aapki eyelash par acche se fit ho jati hai aur liner lagane mai madad milti hai.

Types of Makeup Brush

Slanted Eyebrow Define Brush

Yeh aapki eyebrow ko sundar aur aakarshak look dene ke liye madad karta hai. Iski madad se aap eyebrow cream ko laga sakte hai. Iska istemal eyebrow ko gehra dikhane ke liye sath hi ek ek bal ko alag karne ke liye kiya jata hai.

Spiral Eyebrow Brush

Yadi aapki eyebrow ke baal aniyantrit hai. To aap iss brush ki sahayata se kanghi karke inhe sahi kar sakte hai.

Mascara Brush

 Mascara ko palko par lagaya jata hai. Mascara ka upyog palko ko ubharane aur ghana dikhane ke liye kiya jata jata hai. Mascara brush ke upyog se mascara lagaya jata hai. Isse aankhe aur adhik khubsurat dikhane lagti hai.

Lip Brush

Lipstick ya lip-gloss lagane ke liye lip brush ka istemal kiya jata hai. Kyoki agar aap lipstick ko sidhe lagate hai, to lipstick acchi tarah se hotho par nahi lag pati hai aur kai bar hotho se bahar ki taraf bhi fail jati hai. Agar aap lip brush ka istemal karte hai to lipstick pure hotho par acche se laga payenge. Jisse vo faliegi nahi aur aap ke hotho ko accha look milega. Iss brush ka sable chapta aur aage se nukila hota hai.

Fan Brush

Fan brush ka upyog aap makeup karne ke bad karte hai. Jisse chehre se atirikt powder ko hataya ja sake. Iss brush ka handle lamba aur aage se ardhchandrakar hota hai.

Bindi Brush

Jaisa ki naam se pata chal raha hai ki bindi brush bindi ko lagane ke liye istemal kiya jata hai. Iss brush ki sahayata se aap alag alag aakar ki bindi or design bana sakti hai. Designer bindi lagakar aap kisi bhi shadi ya function mai alag dikh sakti hai.

Upar diye gaye sare makeup brush ka istemal karke aap sundar look paa sakte hai. Lekin makeup brush ko istemal karne ke  sath sath unki dekhbhal karna bhi bahut jaruri hota hai. Yadi aesa na ho to inme bacteria jamne lagte hai jisse twacha ko nuksan hone ka khatra hota hai.

You May Also Like:- Best Lipstick Shades Se Apne Hontho Ko Banaye Khubsoorat

Makeup Brush Ki Dekhbhal:- 

  1. Makeup brush ke sable ko glue se chipkaya hota hai. Isliye inhe jayda der tak pani mai nahi rakhna chahiye. Anyatha inke sebal nikalane lagte hai.
  2. Makeup karne ke baad apne brush ko saaf karke rakhe. Yadi usme makeup ki samagri chipki rahegi to us par dhul chipkegi. Aur jab agli baar aap usi tool ka istemal karenge to iss tarah aap kai bacteria ko apne sharir par transfer karenge.
  3. Brush ko jayada samay tak ulta karke nahi rakhna chahiye, aisa karne se sable ka aakar badlne lagta hai. Iske atirikt brush ko clean karne ke bad use cotton ya tissue paper mai rakhe taki wo wapis kisi chiz ke karan kharab naa ho.
  4. Brush ko haath se saaf karne ke bajay Makeup Brush Cleanser ka istemal karna chahiye. Iske liye alcohol based cleaner milta hai, isse aap apni brush ko acche se saaf kar sakenge.
  5. Brush ko dhone ke bad hamesha cotton ya tissue paper mai daba kar rakhe taki sable ka aakar uske natural aakar mai aa jaye.

Upar aapne jana alag alag Makeup Brushes aur unke isktemal ke bare mai. Makeup brush ka istemal painting brush ki tarah hota hai. Jis tarah chitrakari karte wakt ham rang bharne ke liye painting brush ka istemal karte hai vaise hi makeup brush bhi aapki khubsoorti badhane mai madad karta hai. Chahe makeup products kitne bhi acche kyu na ho bina makeup brush ke unhe acche se laga pana mushkil hai. Yeh bajar mai bahut kam dam mai mil jate hai.

Loading...

You may also like...