Weight Loss Foods, Vajan Kam Karne Ke Liye Khadya Padarth

Motape par kabu pane ke liye sahi khan pan tatha vyayam dono ki jarurat hoti hai, lekin kya aap jante hai ki motape ko kum karne ke liye har bharatiya rasoi mai aise aahar hote hai.

Inn aahar ka sevan karke vajan control kiya ja sakata hai. Lekin dekha gaya hai ki logo ko iske bare mai sahi jankari nahi hoti hai, to chaliye aaj hum aapko batate hai, Weight Loss Food in Hindi.

Motapa kai bimariyo ki jad hota hai. Aswasth khan pan aur aniyamit dincharya ke karan motapa puri duniya ke liye badi samasya bankar samne aaya hai.

Motape par kabu pane ke liye khan pan ka sahi nirdharan tatha vyayam dono hi bahut jaruri hota hai. Jis ke liye aapko apne aahar par dhyan dene ki jarurat hoti hai aur jis se aap jald hi apne vajan par control kar sakte hai.

Weight Loss Food

Weight Loss Food in Hindi se Janiye Vajan Kam Karne ke Tarike

Adrak ka Sevan Kare
  • Adrak lagbhag har bharatiya rasoi mai paya jata hai. Yeh khane ke swad ko badane ke saath-saath sardi – jukham bhi theek karta hai, aur vajan bhi kum karta hai.
  • Yeh TLC aur cholesterol ke level ko santulit banane mai madad karta hai, jisse heart se sambhandhit samasya nahi hoti hai.
Moong Dal
  • Moong Dal ek aisi cheez hai,jo har ghar mai banti hai. Yeh dal kai vitamin jese Vitamin A, B aur C tatha minerals jese calcium, iron aur potassium se bhari hoti hai.
  • Iska sevan vajan kum karne, tatha behtar swasth pane ki drashti se laabhdayak hota hai.
Black Beans
  • Black beans mai aise tatva paye jate hai jo ki kolesistokinin naam ke digestive hormone ko lagbhag do guna badate hai.
  • Isliye beans ko motapa ghataane ki liye accha mana jata hai.
  • Saath hi beans blood sugar ke level ko bhi banaye rakhta hai. Yeh high fiber diet bhi mani jati hai, jo cholesterol ko kum karta hai.
Palak Khaye Vajan Ghataye
  • Iss hari pattedar sabji mai fiber, pani, antioxidant tatha Vitamin K aur A ki kuch matra pai jati hai. Saath hi isme mineral jese magnesium, potassium aur iron aadi bhi hote hai.
  • Iske sevan se motapa nahi badta hai aur swasth banta hai.
  • 100 Garm palak mai calorie-26 g, protein-2 g , carbohydrates- 2.9 g, Fats o.7 g, Iron-1.14 g hoti hai.
Chukandar
  • Chukandar ko aap salad mai kat kar khaiye ya phir juice banakar pijiye. Yeh behad faydemand hota hai.
  • Vajan kum karne ke liye chukandar ek behad accha upaye hai, kaccha ya kum se kum 2 chukandar ka juice taiyar kar pratidin iska sevan subah khali pet kiijiye. Yeh aapke vajan ko kum karne lke liye ek abhut accha upaye hai.

You may also like:- Beetroot Benefits for Skin: Chukandar se Chamkaiye Twacha

Seb (Apple)
  • Weight Loss Food in Hindi mai apple ki bahut mukhaye bhumika hoti hai. Pratidin seb khane se sharir mai fats kum ho jate hai.  Motapa kum karne ke liye seb ke chhilka bhi bahut gunkari hota hai.
  • Isme moujud pectin koshikao ki fat ko avshoshit karne ki kshamta ko kum karta hai, aur accumulated fats ko bhi mukt karta hai.
Akhrot
  • Akhrot mai omega 3, alpha-linoleic acid aur single-unsaturated fats prachur matra mai hota hai. Single-unsaturated fats ki upsthithi vasa ko kum karti hai.
  • Swasth traike se vajan kum karne ke liye muttibhar akhrot ka sevan rozana kare.
Kali Mirch
  • Kali mirch ke sevan se fats tatha calorie tezi se kum hoti hai.
  • Isme moujud kapsaisin kistres hormone sharir ko kuch samay ke liye prerirt karta hai. Yah calorie aur vasa ko jalati hai.
Badam
  • University of Toronto ki ek study mai paya gaya hai ki, jin logo ne safed bread ke saath badam khaye hai unme keval bread khane vale logo ki tulna mai blood sugar level kum hota hai.
  • Badam mai monosaccharide fat, vitamin E, folic acid, protein and fiber hote hai aur inka sevan vajan kum karne ke hisab se bahut mahtvpurn hota hai.
Sabut Anaj
  • Bahut si study mai saaf baat samne aai hai ki sabut anaj ke niyamit sevan se sharir ko bharpur urja milti hai aur calorie ki bhi khapat adhik hoti hai.
  • Iske sevan se metabolism majbut hota hai aur bimariyo se bhi bachav hota hai.
  • Protein Vitamin aur carbohydrate se bharpur sabhut anaj ke sevan se pachan kriya majbhut hoti hai aur bar bar bhuk bhi nahi lagti hai.

Weight Loss Foods Ke Baare Mai Sahi Jankri Pa Kar Rahiye Fit

Green Tea
  • Green tea mai aise gun hote hai, jo metabolism ko tez karte hai. Rozana green tea ka sevan karne se kai khtarnak bimariyao se bachav hota hai.
  • Green tea mai prachur matra mai antioxidants hote hai jo sharir ko swasth aur nirogi rakhte hai. Ise niyamit taur par subah ke samay khali pet pina chahiye.
Avocado
  • Yeh sharir ki vasa ko teen guna tezi se khatam karta hai. Avocado  mai asantutlit vasa hoti hati hai, jo ki metabolism ko bnaye rakhti hai aur sharir ki koshikao ko urja bhi deti hai. Taki unhe koi hani na ho.
  • Iske niyamit sevan se cholesterol ke level kum hota hai, aur ghav bhi jaldi se bharjate hai. Yeh baalo aur nakhuno ke liye bahut swsathvardhak hota hai.

Weight-Loss-Foods

Coffee
  • Roz subah coffee ke saath ki gai shuruvaat aapko sfurti se bhar deti hai. Isme moujud Caffeine hume urja deti hai. Coffee peene se heart attack ka khatra kum hota hai aur rakt mai oxygen ki matra bhi bad jati hai. Saath hi calorie bhi kafhi burn hoti hai.
  • Lekin dhyan rahe ki yadi aap isme chini aur cream ko mila denge to iske gun kum ho jate hai.  Behtar hoga ki ise bina chini  ke hi pijiye. Jisse ki aapka weight loss aasani se hoga.
Mosambi
  • Weight Loss Food in Hindi ki baat kare to hum bol sakte hai, mosambi ek bahut hi laabh dayak phal hota hai. mosambi ke sevan se metabolism accha rahta hai aur calorie ko bhi burn karne mai madad milti hai.
  • Is mai fiber bharpur matra mai hote hai. Iska juice bnakar pine se sharir mai glucose ki kami bhi puri ho jati hai.

Upar aapne jana un khadya padarth ke bare mai jo aasani se aapke vajan ko kam karne mai aapki help kar sakte hai. To bas der kis baat ki aaj se hi iska sevan karke aap apne weight loss karke swasth dikh sakte hai.

 

Weight Loss Food se sambhandhit swasth laabh ki jankari ke liye yaha jaye Food.

 

 

Loading...

You may also like...