Weight Loss Mistakes in Hindi: Inn Galtiyo Ko Karne Se Bache

Sharir ka badha hua vajan kisi ko bhi accha nahi lagta, isliye swasth rehne aur aakarshak dikhne ke liye log vajan kam karne ke kai sare tarike ajmate hai. Vajan kam karne ki logo ko itni jaldi hoti hai ki iss jaldbaji mai wo kuch khas baato ko andekha kar dete hai.

Jiske karan unka vajan to kam nahi hota kintu swasthya par galat prabhav padne lag jata hai. Isliye kaha jata hai jab tak kisi kaam ko puri yojna ke sath na kiya jaye wo safal nahi ho pata hai. Bahut sare log apne bade huye vajan ke karan kafi pareshan rehte hai. Lekin pareshan hona iss samasya se nijat nahi dilata balki iske liye mehnat aur sanyam se kaam lena padhta hai.

Aapne yeh kahavat to suni hi hogi ki mehnat ka phal mitha hota hai, usi tarah  vajan kam karne jaisa meetha phal aap chahte hai to kuch baato ko dhyan rakhna bahut jaruri hai. Iska matlab yeh hai ki bahut saare log vajan kam karne ke khyal mai hi itna kho jate hai ki wo kuch bato ko najar andaj kar baithte hai jisse unka vajan kam nahi ho pata.

Aaj iss article ke madyam se batane ja rahe unn choti choti galtiyo ko jisse aapka vajan kam karne ka sapna tut jata hai, to padhe Weight Loss Mistakes in Hindi aur inhe jankar galtiyo ko karne se bache.
 

Weight Loss Mistakes in Hindi: Vajan Ghatane Ke Liye Jane

 
Weight Loss Mistakes in Hindi
 

Khana Pina Chhod Dena

Kai log motapa kam karne ke liye khana khana chhod dete hai. Yadi aapko aisa lagta hai khana pina chhod kar dieting karne se vajan kam ho jayega to yeh aapki galatfehmi hai balki aesa karne se aapke sharir ko aur jyada nuksan pahuchega.

Dieting ka tarika apnanae se aapka vajan ghatne ke bajaye badne lag jata hai. Kyoki koi bhi vyakti dinbhar bukha nahi reh sakta aur jab lambe samay ke bad aap kuch khate hai to swasth ke liye yeh accha nahi hota hai.
 

You may also like:- Zumba Dance for Weight Loss – Vajan Ghatane mai Madadgar

 

Vajan Kam Karne ke liye Dawao Ka Sevan

Kai log vajan kam karne ke liye dawai ka sahara lete hai. Jabki inn Weight Loss Supplements ko khane par swasth to khrab hota hi hai sath hi bhukh bhi khatam ho jati hai. Bajar mai vajan kam karne ke liye kai sare aesi davai mojud hai jinse vajan to aasani se kam kiya ja sakta hai lekin iske dushprabhav bhi jaldi hi dikhne lagte hai.
 

Subah Ka Nasta Na Karna

Bahut saare log motapa ghatane ko lekar itne bechain hote hai ki subah ka nashta aur raat mai khana khana bilkul hi chhod dete hai. Jabki subah ka nashta khana sharir ke liye bahut jaruri hota hai, isse pure din sharir mai urja bani rehti hai. Isliye aapko kisi bhi samay ka khana nahi chhodna chahiye iske badle aap healthy khana kha sakte hai. Iske alawa tel masale ya fir junk food ka sevan karne se bache.
 

Detoxification Ke Liye Khana Chhodna

Kuch log sharir se vishele padharth ko nikalne ke liye tatha atirikt charbi ko kam karne ke liye taral padartho ka sevan karte hai jaise nimbu pani, shahad nimbu ka bana mishran aur bhi kai tarah ke detox plan lete hai jisse kuch hi samay mai vajan to kam ho jata hai lekin iss diet plan ko chhodne ke bad fir se  kuch na kuch khane lagte hai jisse vajan badne ki sambhavna fir se bad jati hai.
 

Atyadhik Tanav

Yadi aap apne tanav ko control nahi kar sakte hai aur aap tanav se jyada ghire huye hai to yeh bhi vajan badne ka ek karan ho sakta hai. Kyuki jyada tanav hone par ya to aap bahut khate hai ya khana bilkul chhod dete hai. Yeh dono hi karna aapke swasth ke liye accha nahi hota hai. Isliye yadi aap vajan ko kam karna chah rahe hai to tanav ko apne se kaafi dur kar de tabhi aapko fayda milega. Depression and Weight Gain ek dusre ke samanaantar hai.
 

You may also like:- Ayurvedic Treatment for Weight Loss: Jane Vajan Ghatane Ke Upay

 

Avastvik Lakshya Nirdharit Karna

Hum sabhi jante hai ki ratbhar mai vajan kam nahi ho sakta isliye avastvik lakshya ko nirdharit na kare. Lekin kuch hafto mai vajan ko kam kiya ja sakta hai aur body aakar mai aane lagti hai. Isliye jo bhi log vajan kam karna chahte hai wo thoda sanyam barte, aur vyayam karna naa chode.
 

Surgery Ka Sahara

Aajkal motapa hatane ke liye tatha jaldi patle dikhne ke liye kai log surgery karva lete hai. Parantu surgery sharir ke liye bilkul bhi acchi nahi hoti hai. Isliye aisa kisi bhi tarah ka prayog nahi karna chahiye jise kuch samay ke liye aapko fayda dikhe parantu bad mai uske dushparinaam samne aaye aur aapko pachtana pade.

Isliye vajan kam karne ke liye swasth aahar tatha vyayam ka sahara le jisse aap swasth bhi bane rahenge aur aapka motapa bhi kam ho jayega iske liye kuch samay jarur lagega par yeh puri jindagi ke liye faydemand rahega.
 
Upar aapne jana Weight Loss Mistakes in Hindi. Yadi aap bhi vajan ghatane ka soch rahe hai to upar di gayi galtiyo par acche se gour kare aur apna vajan kam karne ke lakshay ke aur aage badhe.

Loading...

You may also like...