Yoga for Diabetes in Hindi: Madhumeh Ke Liye Asardari Upay

Aajkal madhumeh rog se pidit vyaktiyo ki sankhya din pratidin badhti ja rahi hai. Diabetes sharir mai hormones ke star ki aniyamitta aur insulin ki kami ke karan hota hai. Isse vyakti ke khun mai glucose ki matra badh jati hai jo ki diabetes ka karan banti hai.

Diabetes ko sugar ki bimari ke naam se bhi jana jata hai. sharir mai insulin ki kami ke karan sharir mai aur kai pareshaniya jaise uccha raktchaap, aankho mai samasya uttpann hona aadi hone lagta hai. Inn samasyao se nijad pane ke liye log kai prakar ke tarike apnate hai. Lekin behtar parinaam ke liye yog sabse jyada faydemand hai.

Yog ke dwara madhumeh rog aasani se se thik kiya ja sakta hai. Darahsal yog karne se rakt sanchar sucharu roop se chalne lagta hai. Jisse madhumeh hi nahi anya bimariyo se bhi nijaad milti hai.

Yoga na keval tanav dur karta hai balki sharirik aur mansik pareshaniyo se ladne ki shakti bhi deta hai.  Yog ke dwara koshikao ko adhik oxygen milne lagti hai sath hi insulin ka strav bhi badhne lagta hai. Jo ki madhumeh rogiyo ke liye accha hota hai. To aaiye jane Yoga for Diabetes in Hindi aur kuch aese yog aasano ke bare mai jinse diabetes rog se pidit vyaktiyo ko aaram milta hai.

Yoga for Diabetes in Hindi: Jane Kai Prakar Ke Yoga Aasanas

Yoga for Diabetes in Hindi

Yoga ke dwara khun se sugar ki matra ko kam kiya ja sakta hai. Jisse madhumeh rogiyo ko aaram milta hai. Iske sath-sath yoga ucch raktchap aur vajan badhne ki samasya ko bhi kam karta hai. Yaha padhe kai prakar ke Yoga Asanas for Diabetes.

Paschimottanasana

Madhumeh rog se pidit vyaktiyo ke liye yeh yog bahut hi faydemand hota hai. Ise karte samay apne chehre ko aage ki or moda jata hai jisse rakt ka pravah bhi chehre ki taraf ho jata hai.  Iss yoga ke dwara pet behtar taike se kam karna shuru kar deta hai. Sath hi peeth, jaangh aur baahon ki mashpeshiya bhi majbut banti hai.

Chakrasan

Yeh aasan karne se peeth ki maspeshiya aur ridh ki haddiyo ko aaram milta hai. Iske alava yeh aasan dimaag ko sukoon aur tanav mukt rehne mai madad karta hai. Dekha jaye to madhumeh aur kai bimariyao ke hone ke piche ki wajah tanav hi hai.

Dhanurasan

Yeh aasan pet aur peeth ke liye behatarin hota hai. Iss aasan ko karne se haddiya majbut banti hai, dimaag tanavmukt rakhta hai sath hi sharir ke prajanan sambandhi ango ko bhi thik rakhta hai. Iske alava mashik dharm ke karan hone wale pet dard aur kabj ke liye bhi yeh labhdayak hai.

Lekin jinn vyaktiyo ko ucch ya fir nimn raktchap ki bimari ho,iske atrikt migraine, kisi bhi prakar ka sar dard, gardan ki chot, harniya , ya fir pet ki surgery hui ho unko yeh aasan nahi karna chahiye.

Halasan

Yeh aasan unn logo ke liye bahut hi faydemand hota hai jinn logo ko kisi karan vash bahut lambe samay tak baithna padta hai. Aur jinn vyaktiyo ko posture sambadhi koi bhi pareshani ho unke liye yeh bahut hi labhkari hota hai.

Iss aasan ko karne se yeh sharir ke kai ang jaise thyroid granthi, pera-thyroid granthi, fefado aur pet ke kai ango ko uttejit karne ka kam karta hai. Jisse sharir ke rakt ka pravah chehre aur sar tak ho jata hai. Isse sharir ki pachan prakriya sucharu rup se chalne lagti hai aur hormones ka star bhi niyantrit rehta hai.

Sarvangasan

Mukhyatah yeh aasan thyroid granthi ke sucharu rup se karyapranli ke liye hota hai. Iske alava iss aasan ko karne se sharir ki sabhi granthiya sucharu rup se karya karne lagti hai jaise pachan tantra, nervous system aur metabolism system. Iske alava yeh svasan nali ki karya pranali bhi thik karta hai.

Iss aasan ko karne se reedh ki haddiyo mai rakt aur aoxyzen ki paryapt matra milne lagti jisse haddiya majbut banti hai.

Vajrasan

Vajrasan bhi madhumeh ki samasya ko thik karne ke liye bahut hi behatar vikalp hai. Yeh aasan mukhya rup se sharir ki pachan shakti ko sucharu rup se chalane aur mansik shanti pahuchane ke liye kiya jata hai.

Balasan

Jin logo ko ek jagah jyada samay tak baithane se peeth dard ki samasya hoti hai unke liye yeh aasan bahut hi labhdayak hota hai. Iss aasan ko baccho ki mudra wala aasan bhi kehte hai. Yeh aasan mansik shanti pahuchata hai aur tanavmukt bhi karta hai. Iske alava iss aasan ko karne se jaangh aur takhno ki acchi stretching hoti hai.

You may also like:- Yoga Asana For Thyroid Problem: Thik Kare Iss Samasya Ko

 

Pranayam

Iss aasan ko karne se sharir mai rakt ka pravah sahi roop se chalne lagta hai. Yeh aasan dimag ko shant rakhta hai aur nervous system ko bhi banaye rakhta hai.

Setubandhasan

Yeh aasan karne se masik dharm ke karan hone wale dard mai aaram milta hai aur yeh pachan tantra ko banaye rakhta hai. Iske sath hi setubandhasan gardan aur reedh ki haddiyo ki bhi acchi tarah se stretching karta hai.  Iske alava yeh uccha rakt chaap ko niyantrit karne bhi madadgar hai.

Upar aapne jana Yoga for Diabetes in Hindi. Yadi aap bhi madhumeh rog se pidit hai to diye gaye aasano ko apnaye. Lekin yadi aap yoga karne ke liye naye hai to pehle yog sikshak se ise sikh le.

Loading...

You may also like...