Jane Yoga for Fitness in Hindi aur Paye Aakarshak Sharir

Aaj ke wakt mai har koi chahta hai ki wo fit and fine dikhe. Aakarshak dikhne ka sapna aajkal keval models aur actors ko hi nahi hai, ab to har aam vyakti bhi aakarshak dikhna chahta hai. Aur aesa ho bhi kyo naa accha dikhna to jaise har field ki demand ban chuki hai. Chahe aapko government jobs mai jana ho, ya fir kisi company mai MR ki job hi kyu na karni ho. Physical fitness aapke liye bahut jyada jaruri ho gayi hai.

Lekin aajkal ki bhagdour bhari jindagi mai naa kisi ke paas vyayam ke liye samay hai aur naa hi sahi khan pan ke liye. Inn sabhi karano ke chalte sharir par atirikt charbi chad jati hai aur motapa gher leta hai. Motapa se naa vyakti ki khubsurti par dhabba lagta hai balki isse sharir ko kai bimariya bhi gher leti hai.

Motape se nijad pane ke liye log dieting karna shuru kar dete hai, jim mai jakar kasarat karte hai. lekin motapa jane ka naam hi nahi lena. Kai bar to log thode dhile kapde pehnne shuru kar dete hai taki unke motape ka logo ko pata nahi chale. Lekin ham aapko batana chahte hai ki yeh koi sthai illaj nahi hai.

Motape ko kam karne ke liye yog aapki madad kar sakta hai. Yog karne se naa keval aapki physical fitness ko badha sakte hai balki yeh aapke sharir ko bimariyo se bhi mukti dialta hai. To aaiye jante hai Yoga for Fitness in Hindi aur paiye aakarshak sharir.
 

Yoga for Fitness in Hindi – Chust, Dusrust Sharir Pane Ke Liye

 
Yoga for Fitness in Hindi
 
Yog ek aesa vyayam hai jo aapke vajan ko kam karta hai. Isse aapke vicharo mai bhi sakaratmakta aati hai. Isse insan ka vyaktitva nikharta hai. Ise aap ek complete package bhi keh sakte hai. Yog ke lagbhag sabhi aasan aapke pachan tantra ko sudharne, metabolism badhane, swasthya sudharne mai madad karte hai. To aaiye jante hai Yoga for Body Fitness in Hindi.
 

Surya Namaskar – Pure Ango Ke Vyayam Ke Liye

Surya Namaskar ka arth hota ai surya ki vandana karna. Yeh aasan sabse jyada vyapak hai aur iska abhyas kai log karte hai. Yeh khud 12 yog mudrao ka mishran hota hai. Yeh aapke sharir ke kai bhago ko kendrit karta hai. Surya Namaskar aapke sharir ke har ango ki kasarat karta hai isliye yeh sharir ko chust rakhne ka ek behtarin tarika hai.
 

Hath Yog – Health Power Badhane Ke liye

Hath Yog ka niyamit abhyas karne se accha swashya aur mansik shanty prapt hoti hai. Iska abhyas karne se shararik kamjori dur hoti hai. Iss yog ka abhyas kar aap apni mental aur physical power badha sakte hai.
 

Naukasana – Belly Fat Kam Karne Ke Liye

Peeth ke bal let jaye fir apne sharir ke upari aur niche hisse ko upar ki aur uthaye. Aapko aapke sharir ki mudra V shape ki banana hai. Bus isi stithi ko naukasana arthat Boat Pose kehte hai. Darahsal yadi aapka pet bahar ki aur nikala ho aur aapki baki body fit bhi ho tab bhi aapka look kharab ho jata hai.

Aur computer par work karne walo ke sath aksar aisa hota hai. Isliye belly fat ko kam karne ke liye iss aasan ko kiya ja sakta hai. Yeh naa keval pet ki atrikt charbi ko ghatayega balki aapke sharir me lachilapan bhi layega.
 

You may also like:- Naukasana Benefits in Hindi: Pachan Tantra Ko Majbut Kare

 

Trikonasana – Hatho ko Sudhol Banane Ke liye

Trikonasana sharir ke hatho aur jangho par kaam karta hai. Yeh aasan karne ke liye sabse pehle apne pairo ko faila le. Fir sidhe pair ko bahar ki aur nikale. Ab apne hatho ko bahar ki aur khol le. Iske paschat sidhe hath ko dhire dhire niche ki taraf sidhe pair ko aur le jaye. Ab sidhi kamar ke sath niche ki taraf dekhe. Apni sidhi hatheli ko jamin par rakhe aur apne ulte hatho ko upar ki taraf le jaye. Ab isi prakriya ko dusri side se bhi dohraye. Yeh ek behtarin Yogasana in Hindi hai.
 

Dandasana – Sharir Ko Nirogi Banane Ke Liye

Dandasana bhi sharir ko aakarshak aur nirogi banane mai madad karta hai. Yeh ek matra hi aesa yogasan hai jo aapke sharir ko majboot banata hai. Agar aap chodi aur majboot chhati banana chahte hai to dandasana sabse behtar hai. Isse kam samay mai bhi aapko accha output milta hai.

Upar diye gaye aasano ke alawa aap meditation bhi kare. Meditation yoga ka ek abhinna anga hai. Isliye 5 minute ke liye meditation jarur kare. Meditation karne se aapke mastiksha ko tanav se rahat milti hai aur man ko shanti bhi milti hai. Darahsal meditation karne se raktchaap niyantrit rehta hai aur aapka mud accha hota hai. Yeh aapke nakaratmak soch vichar ko sakaratmak banata hai. Isse aapko roj vyayam karne aur fit rehne ki prena milti hai.
 

Yog Karne Ke Anya Labh:-

  1. Yoga karne se aankho ki roshni badhti hai.
  2. Yog karne se pet ki safai hoti hai aur pachan shakti durust hoti hai.
  3. Yogasan se mote vyakti ka motapa ghatta hai aur dubla patla vyakti tandrust hota hai.
  4. Iske niyamit abhyas se rakt sanchar behtar hota hai aur chehre par chamak aati hai.

Upar aapne jana Yoga for Fitness in Hindi. Yadi aap bhi fitness pana chahte hai to yog ko jarur apnaye. Yog karne se sharir ki thakan mitti hai aur aadhyatmik dhrsti se bhi yogasano ka apna alag mahatva hai.
 

Loading...

You may also like...