Yoga for Flexibility in Hindi: Sharir Ko Lachila Banaye

Jab aap logo se puchte hai ki wo vyayam kyu karte hai to wo aapko kahenge sharirik rup se swasth rehne aur accha figure banaye rakhne ke liye. Iske atirikt vyayam karne par wo accha mehsus bhi karte hai. lekin bahut kam log honge jin ka vyayam karne ke piche ka uddeshay sharir ko lachila banana hoga.

Darahsal vyayam karne se we lachile bante hai aur lachila sharir unke swasth ko banaye rakhne mai aham bhumika nibhata hai. Jin logo ka sharir lachila hota hai unhe girne par aasani se chot nahi lagti. Yog ki madad se sharir ke lachilepan ko badhaya ja sakta hai.

Kai logo ko yeh galtfehmi hoti hai ki yoga karne se pehle sharir ka lachila hona jaruri hai, lekin yeh baat bilkul galat hai balki rojana yoga karne se sharir mai lachilapan aata hai. Yoga ke antargat kai aese aasan hote hai jinko karne se sharir majboot aur lachila ho jata hai.

Iske alawa inhe karne se rakt sanchar bhi badta hai, aur sharir mai kai rogo se ladne ki shamta bhi badti hai. Iss lekh mai jin aasano ko bataya ja raha hai unko karne se aapki manspeshiya mai lachilapan aane ke sath atirikt charbi bhi kam ho jati hai. Janiye Yoga for Flexibility in Hindi.
 

Yoga for Flexibility in Hindi – Lachilapan Pane Ke Liye

 
Yoga for Flexibility in Hindi:
 

Ardha Matsyendrasana – Half Spinal Twist Pose

Kai aasan aise hote hai jinme ridh ki haddi ko aage aur piche ki taraf jhukana padta hai. Aur jaisa ki ham jante hai ki sharir ko lachila banane ke liye aage piche ki taraf jhukna chahiye.

  • Ardha Matsyendrasana mai aapki ridh ki haddi niche se lekar upar tak mudti hai.
  • Yeh aasan ridh ki haddiyo aur sanayu ko behtar banata hai.
  • Jo log iss aasan ko niyamit karte hai unka pachan tantra bhi acche se kaam karta hai.

 

You May Also Like:- Rules of Yoga in Hindi – Jane Ise Karne Ke Sahi Niyam

 

Tadasana – Mountain Pose

Jo logo aasani se jhuk nahi pate unke liye tadasan bahut sahi aasan hai. Iss aasan ka abhyas karne ke liye dono pairo ko milakar sidhe khade ho jaye tatha hatho ko bhi kamar se thodi dur par rakhkar sidhe savdhan ki stithi mai khade ho jaye.

  • Yadi aap bilkul bhi khade nahi ho pa rahe hai to diwaar ka sahar le sakte hai.
  •  Jab aap iss aasan ko karenge to aapke pair majboot banenge aur unme lachilapan aane lagega.

 

Dhanurasana – Bow Pose

Iss aasan ko karte samay pet ke bal jameen par let jaye tatha hatho se pairo ke takhno ko pakadne ki koshish kare. Iss aasan ko karte samay aapki stithi dhanush ki tarah ho jati hai, isliye ise dhanurasana kaha jata hai. Yeh ek prabhavi Yoga Exercises for Flexibility hai.

  • Iss aasan ko karne se pith ki manspeshiyo mai kasav aata hai.
  • Isse ridh ki haddi lachili banti hai.
  • Bow pose ka niyamit abhyas pachan tantra ko bhi majboot banata hai.
  • Iss aasan ko karne se pet ki charbi kam hoti hai, jo aaj ke samay ki sabse badi samasya hai.

 

Halasana – Plow Pose

  • Iss aasan ko karne se sharir ke piche ke bhag mai aediyo se leke ridh ki haddi tak khichav aata hai.
  • Isliye jab aap yeh aasan karenge to kulhe tatha guthne ki naso ki jakdan kam hoti hai, tatha inme lachilapan bad jata hai.

 

Parvatasana

Yeh aasan karne mai bahut saral hai lekin ise karne se sharir ko kai rogo se chhutakara milta hai. Yadi aap Body Flexibility badhana chahte hai to iss aasan ko jarur kare. Iss asana ko karne se man ko shanti milti hai tatha jitna jyada iska abhyaas karenge yeh aasana utne acche se kar payenge.

  • Iss aasan ko karne ke liye sabse pehle padmasan ki stithi mai baith jaye.
  • Dono aediya nabhi se sati huyi honi chahiye.
  • Ab dhire dhire saans khiche aur chaati ko fulate huye dono hatho ko upar ki aur khiche.
  • Jitni der ho sake saans ko rok sakte hai, roke le.
  • Ab wapis saans chhodte huye ghutno tak laye.
  • Kuch seconds aaram karke punah iss kriya ko dohraye.

 

Kursi Aasan – Chair Pose

Kursi aasan ke liye aapke pairo ko thoda sa mode aur hath ko samane ki taraf rakhe aapki stithi kursi ke saman ho jayegi. Iss aasan ko karte samay aapko aapka bachpana yaad aa jayega.

  • Iss aasan ko rojana karenge to pairo mai lachilapan, majbooti aayegi aur hath balshali banege.

 

You May Also Like:- Power Yoga in Hindi – Fit aur Motapa Rahit Sharir Paye

 

Bhujangasana – Cobra Pose

Iss aasan ko karne ke liye jameen par pet ke bal let jaye tatha hatheliyo ko kandhe ki niche rakhe aur upar ki taraf uthe. Ise cobra aasan bhi kaha jata hai kyoki isme sharir saap ke fan ke saman upar uthta hai.

  • Iss aasan ko karne se sharir sarp ke saman lachila aur furtila banta hai.
  • Iske alawa yeh merudand ko bhi lachila banata hai.
  • Yeh stithi surya namaskar karte huye 7 charan mai bhi banti hai.
  • Bhujangasana rojana karne se sharir ko kafi fayda milta hai.

 

Vriksasana – Tree Pose

Iss aasan ko wo log bahut aasani se kar pate hai jinka sharir bilkul bhi lachila nahi hot hai. Iss aasan ko karne ke liye daye pair ko baye pair ki jangh par rakhe aur dono hatho ko jodkar upar karke khade ho jaye.

  • Iss aasan ko karne se sharir mai lachilapan tatha majbooti bani rehti hai.
  • Ise niyamit roop se karne par ekagrata shakti bhi badhti hai.

 
Upar aapne jana Yoga for Flexibility in Hindi. Yadi aapka sharir akad gaya hai aur aap usme lachilapan lana chahte hai to upar diye gaye aasano ka abhyas jarur kare.

Loading...

You may also like...