Aak Plant in Hindi – Janiye Iska Dharmik aur Aushdhiya Mahatv

Bharat ek aisa desh hai jaha ved, puran aur ayurved ko sadiyo se apnaya jata raha hai. Yaha ki mitti se lekar ped, poudhe, vanaspati sabhi kisi na kis na roop mai ayurved se judi hai. Bahut se aise ped hai jo dharmik aur aushdhi dono mai prayog kiye jati hai. Unhi mai se ek hai Aak Plant in Hindi.

Hamare desh mai aak ke podhe aasani se mil jate hai. Samanya roop se waise to sabhi log isse jante hai. Lekin kuch samay se aak ke podho ki sankhya pahle se bahut kam ho gayi hai. Sath hi aushdi ke roop mai yeh podha kitna gunkari aur hitkari iska gyan to kisi vishesh vedya ko hi hoga. Samanya janta ko to itna hi gyan hai ki yeh ek vishela hai.

Yeh podha adhik lamba nhi hota hai. Yeh do hath se lekar 10 hath ki uchai tak dekhne ko milta hai. Iske mukhya kand tatha choti moti shakhayo ki chaal mulayam, narm tatha chapti hoti hai. Yeh bhar mai bahut halka aur aasani se toda jane wala podha hai. Iske patte lambe, mote tatha aage se choude hote hai.

Garmiyo ke dino mai iske beej udte huye dekhe jate hai. Aapko yaad hoga bachpan mai apne iske udte huye balo ko muthi mai pakad kar iccha purti ki kamna ki hogi. Aisa humne humare bade-bujurgo se suna tha.

Aak Plant in Hindi: Janiye Iske Aushdhiya Gun aur Labh

Aak Plant in Hindi

Aak Plant: Aak ke Anya Bhashao mai Naam

Aak ko anya bhashao mai alag-alag namo se bhi jana jata hai. Aaiye jante hai aak ke anya naam-

  • Sanskrit – Ark, Rajark, Vibhavasu
  • Hindi – Aak, Aaknda, Mandar, Madar
  • Bengali – Pakand
  • Marathi – Ruyi, Ruchaki, Pathari Ruyi
  • Talegu – Nali, Jille
  • Farsi – Kharak
  • Arbi – Ushar
  • English – Svailo Vart, Jakajentik
  • Latin – Kelo

Aadi aak ke vibhinn bhasho (languages) ke naam hai. Iska botanical name calotropis procera hai. Iske patte, phul, phal aur dudh sabhi aushdhiy guno se bharpur hote hai. Aak ka phul shiv ji ko atyadhik priy hote hai.

Aadivasio ke anusar, iske poudhe krashi bhumi ke aaspas lagaya jaye to kabhi bhi bhujal ki kami nahi hoti hai aur isse bhumi ki urvrak shamta bhi badti hai.

Ark (Aak) ke Prakar

  1. Shwet Aak arthat Safe Aak
  2. Raktark ya lal Aak
  3. Parvtiya Aak

Yeh wo teen prakar hai jisme vah paya jata hai. Isme parvtiya aak poudhe ke roop mai nahi lata ya bel ke roop mai hota hai, jo uttar bharat mai kam lekin Maharashtra mai pyarpt matra mai hota hai.

Researchers ke according, jab unhone iska rasayanik ghatko ke bare mai vistar se jana to paya ki isme

  • Triterpenoid,
  • Cardiac,
  • Glycosides,
  • Calotropin,
  • Calactin,
  • Calotoxin

Jese upayogi rasayan paye gaye.

Calotropis Procera (Aak) Benefits: Janiye Iske Labh

Aaiye apko avgat karate hai Calotropis Procera (Aak) ke aushdhiya guno se jise jankar aap achraj mai pad jayenge. Jane iske sthaniya pro gaur unse hone wale labh-

Piliya

Aak ki pattiyo kop is kar paan ke patto ke sath khane se piliya rog thik hota hai. Isse din mai ek baar 2- ya 3 din tak lena chahiye.

Asthma

Aak ke patte aur laung 10-20 gm that kali mirch powder 2.5 gm matra mai milakar acchi tarah piskar subah sham 250 ml ki matra lene se labh milta hai.

Cough

  1. Aak ke phul ka churn, sukha adrak or kali mirch inn teeno ko milakar pisle aur 5-5 gm powder shahad ke sath tabtak le jab tak khansi thik na ho jaye.
  2. Madar Plant ke patto ko sukhakar trikut (Sonth, Marich Aur Pipli)ko barabar matra mai milakar acchi tarah pisle aur iski choti-choti goliya bana le. Iska sevan sukhi khansi mai kare bahut labh milega.

Sujan

  1. Iske patto par sarso ka tel lagakar sujan wali jagah par lagane se sujan thik ho jati hai aur use din mai teen baar lagana chahiye, usse dard mai aaram milta hai.
  2. Aak ki jad ka churn kuch din tak sevan karne se sujan bilkul thik ho jati hai.

Sharirik Dard

  1. Yeh bahut kam log jante hai ki iss poudhe se nikalne wale dudh ka upyog sharirik dard dur karne mai kiya jata hai
  2. Pasliyo ya manspeshiyo ke dard mai, aak ka dudh mai thoda sa kala til milakar halka garm kar le. Iss lep ko dard wale sthan par lagaye aur upper se aak ke patte par til ya sarso ka tel lagakar thoda garm karke iss lep ke upper laga de. Dard foran samapt ho jayega.

Napunsakta Dur Kare

Aak ke dudh mai shahad aur gaay ka ghee baramar matra mai milakar 4-5 ghante tak musal mai acchi tarah ghote. Ab 2.5 se 5 gm ki matra ka niyamait roop se sevan kare napunsakta dur hogi.

Ghav Thik Kare

  1. Aak ke patto ka ras 1000 ml aur kacchi haldi ka ras 250 ml ko milakar dhimi aanch mai sek le, jab tel shesh rah jaye to isse purane se purane ghav par lagane se bahut aaram milta hai.
  2. Aag se gale huye ghav mai lagbhag 3 gm madar ke patto ki rakh ko til ke tel ke sath milakar musal mai piskar isme 2.5 gm chune ka pani milakar jale huye sthan par lep kare, isse aag se jala ghav bhi bilkul thik ho jata hai.

Khujali aur Dard

  1. Khujali ya daad hone par aak ke dudh mai nariyal ka tel milakar lagane se khujali dur ho jati hai.
  2. Twacha ke rog jaise eczema aadi mai aak ke dudh ko 50 ml ki matra mai lekar isse duguni matra mai sarso ka tel lekar haldi ke powder 100 gm aur mensil 10 gm ki matra mai ek sath musal mai dudh ke sath milakar lep banakar punh isme til tel 1 liter aur itna hi pani milakar pakaye, jab pani ud jaye or tel bach jaye to isse prabhavit sthan par lagane se charm rogo mai bhi labh milta hai.

Bukhar Thik Kare

Madar ke dudh ki 5 bund, kacche papite ka ras 10 bund aur chirayata ka ras 15 bund ek sath gomutra ke sath milakar lene se purane bukhar se pidit rog mai labh milta hai.

Jodo ka Dard

Yadi aap jodo ke dard se pareshan hai to aak ke phul ko sonth, kali mirch, haridra aur nagarmotha ke sath barabar matra mai milakar choti-choti goliya bana le aur iski 1-2 goli subah-shaam le.

Prameh Rog

Aak ki jad 5 tola, ashavgandh 5 tola, beejgandh 5 tola sabka churn gulab ke jal mai milakar musal mai pisle aur iss churn ko 1 chammach shahd ke sath chaat kar upper se dudh piye to prameh rog mai aaram milta hai.

Aak Tree ke anya Labh

  1. Aak ke pile pade patto ko ghee mai garm kar uska ras kaan mai dalne se kaan dard thik hota hai.
  2. Danto mai dard hone par aak ke dudh ko thode se ghee mai milakar danto mai rakhne se dard mai aaram milta hai.
  3. Safed aak ki chaya mai iski sukhi jad ko piskar 1-2 gm ki matra mai dudh ke sath lene se banjhpan dur hota hai. Band tube aur nadiya khul jati hai tatha masik dharm aur garbhashay ki gantho mai labh milta hai.
  4. Aak ki mitti ki tikiya kide pade huye jakhmo par bandhne se kide mar jate hai aur jakham dhire-dhire thik hone lagta hai.
  5. Aak ke dudh ke sath shahad ka sevan karne se kusht rog bhi thik ho jata hai. Aak ke pushpo ka churn bhi isme labhkari hota hai.
  6. Iske ped ki jad aur chaal ko hathipav jaise rogo ko thik karne mai upyog mai laya jata hai. Iski jad ki piskar prabhavit ango par lagane se aaram milta hai.
  7. Pet mai dard hone par aak ke patto par ghee lagakar garm kar sek kare rahat milegi.
  8. Aak ki jad ka churn dahi ke sath khane se stri ka pradar rog dur hota hai.
  9. Aak ki jad pani mai ghiskar pilane se sarp vish nasht ho jata hai.
  10. Iski jad ka lep lagane se bigda huya foda thik ho jata hai.

Tarun rasayan namak buti aushdhi ko aak ki jad se banaya jata hai. Jise prayog karne se sharir ke sabhi prakar ke jahrile kitanuo ka nash hota hai.

Dharmik Mahatv of AAK PLANT in Hindi

Shastro ke anusar, jaha bhi shwet aak ka ug jata hai waha kabhi dhan ki kami nahi rahti hai. Jis ghar mai iski jad rahegi waha daridra swam palayan kar jati hai. Safed madar ki jad mai ganesh ji ka vaas hota hai, kabhi kabhi iaski jad ganesh ji ki aakrati le leti hai.

Yadi jad ganeshakar nahi ho to kisi karigar se akrati banwayi ja sakti hai. Kaha jata hai ki agar apke ghar safed aak ke ganesh ji hai to apke ghar humesha dhan-dhanya se paripurn rahta hai. Agar aak ka dudh aankho mai chala jaye to manush andha bhi ho sakta hai.

Aaj aapne jana Aak Plant in Hindi ko vistrat se. Iske upyog aur prayogo ko apnakar aap bhi swasth sharir pa sakte hai.

Loading...

You may also like...