Abs ka Fat Kam Karne ke Liye Kuch Exercise

Jab baat sharir ke kisi vishisht bhaag ke fitness ki aati hai to aksar logo ko ek aam galti karke dekha ja sakta hai. Shaped, fit aur strong muscles wale sharir ki chah rakhne wale adhikansh log ghato kamar tod exercise karte hai. Lekin aham baat yeh hai ki wah jo exercise karte hai uska unko pura laabh mil bhi raha hota hai ya nahi?

Thik aisi hi stithi pet ka fat kam karte samay hoti hai. Logo mai belly fat ko kam karne ko lekar aam dharn rehti hai ki yadi belly ka fat kam kar flat pet pana hai to khub sare crunches karna shuru kar do. Yadi aap bhi aisa kar rahe hai to aapko jaan kar dukh hoga ki sahi tarika na apnane par saikdo crunches karn ke baad bhi aapka pet flat nahi hoga.

Pet ki charbi ko kam karne ke liye pet ke liye bani exercise kar lena matra hi kafi nahi hai. Ise hum aapko ek udaharan ki madad se samjhane ka prayas karte hai. Yadi aapko koi ped katna hai to aapko sabse pehle uski shakao ko katna hoga. Bina shakao ko kate aap aasani se ped ko nahi kaat payege.

Abs ke Andar ka Fat Kam Karne ke Liye Kewal Crunches Kafi Nahi

Abs ka Fat Kam Karne ke Liye Kuch Exercise

Pet ki charbi ko kam karne ke sandarbh mai yaha katne ki kriya, aapke pet ka flat banana hai aur shakaye aapke sharir bhar mai moujud atirikt vasa hai. Katna yaha mukhya lakshya hai lekin yeh iss prakriya ka antim charan hai tatha flat pet iski niyati hona chahiye. Pet ki charbi ko kam kar flat belly paane ke liye aapko apne pure vajan ko kam karne ke liye sharir ke workout par dhyan dena hoga.

Ek baar sharir se charbi aur vajan ko kam kar lene ke baad aapko belly ke bare mai sochna aur kaam karna shuru karna chahiye. Vishesh tour par pet ke liye bani exercise, jese crunches vastav mai kewal pet ki charbi ko khatam karne ke liye bani hai. Vastav mai yeh strength badhane wali exercise hai, jo pet par atirikt fat ko jama hone se rokti hai. Lekin shuruaat mai bahut sare crunches karne se aapki pith ki mashpeshiya aur riddh ki haddi prabhavit hoti hai, jo ki flat pet pane ki rah mai aapke liye badha ban sakti hai. Kyuki flat pet pane ke liye swasth aur majboot ridh ki jarurat hoti hai.

Yadi uchit margdarshan ke bina crunches ki jaye to yeh aapki belly ko flat karne ki bajay apni pith ki mashpeshiyo ko prabhavit kar sakti hai. Isliye behtar hoga ki aap andhadhund crunches ya aisi anya pet ki exercise karne ke liye pure sharir ke workout par dhyan de. Yeh kehne mai koi gulhej na hoga ki kewal flat pet ke liye kewal crunches ka chunav karna samajhdari ka pradarshan katai na hoga.

Iska yeh matlab bilkul crunches kiye hi na jaye. Aap crunch sabse aakhir mai kar sakte hai. Sabse pehle apni diet par dhyan de uske bada cardio, muscles building aur baad mai abs exercise. Iss kram exercise kare aur aasani se pet kam kar lijiye. Aapko hafte mai 20 minutes cardio exercise, 15 minutes muscle building aur 5 minutes kewal abs exercise karni chahiye.

Loading...

You may also like...