Acidity Treatment in Hindi, Iss Pareshani se Bachne ke Upay

Hum jo khana khate hai uska sahi tarah se pachan bahut jaruri hota hai, pachan ki prakriya se hamare pet mai ek aise acid ko banata hai, jo pachan ke liye bahut jaruri hota hai.

Par kai bar yeh acid avashyakta se adhik matra mai nirmit hota hai, jiske karan hume acidity hoti hai. Isi acidity ke karan hum kai anya pareshani se grasit ho jate hai.

Jese sine mai jalan, gas, bar-bar dakkar aana. Inn sab pareshani ke karan log bahut preshan rahte hai. Lekin ghabraye nahi aaj hum aapko batate hai, Acidity Treatment in Hindi. Jisse ki aap aasani se iss pareshani se bach sakte hai.

Vese bola jata hai ki, kuch bimari aisi hoti hai jisko hum khud hi bulava deta hai. Kahna ka matlab hai ki hamare kharab jivan shaliy hi acidity ka ek karan hai.

Medical ki bhasha mai isko Gastroesophageal Reflux Disease(GERD) ke naam se jana jata hai.ayuveda mai isee Bile acid kahte hai. aaj isse har dusra vyakti pareshan hai.

Causes of Acidity, Isse Karno Ko Pahchaniye aur Iss Bimari se Dur Rahiye  

Acidity se bachne ke liye sabse jyada jaruri hai ki, causes of Acidity ke baare mai jane. Jisse ki aap iske karndo ko pahchan kar iss bimari se bach sakte hai.

  • Khan-Pan mai aniymitta
  • Khane ko theek tarh se nahi chabana
  • Neend puri na hona
  • Masaledar aur junk food ka sevan karna
  • Jyada tension karna
  • Jyada der tak bhuka rahan
  • Sudah nashta na karna

Janiye Acidity Symptoms aur Dur Rahiye Pet ki Har Samasya

  • Pet mai jalan ka ahsaas
  • Seene mai jalab
  • Jee machlna
  • Dyspepsia
  • Dakkar aana
  • Khane peene mai kam dilchsabi
  • Pet mai jalan ka Ahsaas

Acidity Treatment in Hindi, Iss Pareshani se Bachne Ke Upchar

Acidity Ke Ayurvedic Upchar
Adrak ka Ras

Nimbu aur shahad mai adrak ka ras milakar peene se, pet ki jala shant ho jati hai. Iss mishran ka sevan aap roz kar saktehai.

Ashwagandha

Bhuke ki samaya aur pet ki jalan sambhandhit rogo ke upchar mai ashwagandha shayak hota hai. Sliye iss powder ka sevan aap rozana kar sakte hai. Jisse ki aap iss preshani se dur rah sakte hai.

You may also like:- Gastritis ke Causes, Symptoms Aur Treatment

Chandan

Acidity ke upchar ke liye chandan dawara chikitsa yugo mai chali aa rahi pranali hai. Chandan gass se sambhandhit pareshani se rahat pradaan karte hai.

Elaichi

Seene mai jalan ko theek karne ke liye ilachi ka use kijiye. Rpzana elaichi khaiye. Iske niyamit roop se sevna karne par aapko jaldi aaram milenga.

Harhad

Yeh pet ki acidity aur seene ki jalan ko theek karne mai madad karta hai. To hum bol sakte hai ki jan bhi Acidity Treatment in Hindi ki baat karte hai to, harhad ka naam sabse pahle aata hai.

Lahsun

Pet ki sabhi bimariyo ko theek karne ke liye lahsun bahut faydemand hota hai. Isliye aap lahsun ka paste bnakar iska sevan kar sakte hai.

Methi

Methi ke patte pet ki jalan dyspepsia ke upchar mai maddagar hote hai. Aap chahe to methi ke patte ka powder bana kar rozana sevan kijiye. Jisse ki aap aasani se acidity kipareshani se bach sakte hai.

Fennel (Sauf)

Sauf bhi pet ki jalan ko theek karne mai sahayak sidd hoti hai. Isko bacche ko bhi diya jata hai, taki unki pet se sambhandhit har  samaya dur ho jaye.

Acidity Ke Gharelu Upchar
  • Vitamin B aur E yuka sabjiya ka adhik sevan.
  • Vyayam aur sharirik gatividhiyo karte rahe.
  • Khan pan ke baad kisi bhi tarah ka taral padarth ka sevan kare.
  • Pani mai nimbu milakar pijiye. Isse bhi seene ki jalan kam hoti hai
  • Niyamit roop se pudhina ras ka sevan kare.
  • Tulsi ke patte acidity aur jee machlane se kafi had tak aaram dilvaata hai.
  • Nariyal pani ka sevan adhik kare.
  • Coffee jyada na piye. Iski jagah par herbal tea pijiye.
  • Har roz halka garm pani pina chahiye
  • Apni diet mai kela, tarbuj aur khira shamil kijiye.
  • Agar acidity hai to nariyal pani pjiye
  • Rozana ek gliass dudh pijiye
  • Sone ke kam se kam 3 se 4 ghante pahle hi bhojan kar lijiye.
  • Acidity tab bhi hoti hai jab aap bhojan ke beech mai adhik der tak gap rakhate hai. Isliye aap thodi- thodi der kuch khate rahe.
  • Masaledar bhojan, achar aur jyada tel yukt bhojan karne se aap ko pareshani ho sakti hai.
  • Bhojan karne ke baad pani mai pudhina ubale kar piye.
  • Gud, nimbu, kela, badam aur dahi ko khane se bhi acidity mai rahat milti hai.
  • Jyada smoke karna aur jyada sharb ka sevan na kare.
  • Beans, kaddu , ptta gobhi aur gajar jesi sabjiya ko apne aahar mai shamil kijiye.
  • Pineapple juice ka sevan kare , yeh enzymes se bharpur hota hai. Khane ke baad agar pet adhik bhara tatha bhari mahsus ho raha hai, to aadha gliaas taje pineapple ka juice pijiye. Isse apki sari acidity aur becheni khatam ho jayengi.
  • Ek cup gram pani mai ek chutki kalimirch tatha aadha nimbu nichodkar niyamit roop se subah sevan kare.
  • Saath hi salad ke roop mai muli ko jarur shamil kare. Apa chahe to iss par kala namak chhidke kar kahiye.
  • Acidity Treatment in Hindi ki baate kare to ek bahut accha upaye hai ki, ek loung aur ek elaichi le kar uska powder bana lijiye. Isko har meal ke baad mouth freshner ke roop sevan kare. Yeh ek bahut accha upaye hai jo ki aapko iss bimari se aasani se bachayega.
Acidity se Sambhandhit Adhik Jankari Dekhiye Iss Video Mai

Upar apne jane Acidity cause, symptoms aur iske treatment. To bas der kis baat ki aaj se hi iske lakshan ko pahchan kar iss bimari se bache aur hamesha swasth rahe.

Acidity se sambhandhit adhik jankari ke liye dekhiye Diet and Fitness.

 

 

 

 

 

 

Loading...

This website uses cookies.