Sharir ki maspeshiyo ke bade samuh me tango, jango aur hips ki maspeshiya shamil hai. Iss vyayam ko nimn istar se madhyam istar ki intensity par kiya jata hai. Iss vyayam ki avdhi kam se kam 20 minutes ya usse adhik hoti hai. Lekin har koi iske baare mai theek tarike se nahi janta hai. To chaliye hum aapko Benefits of Aerobic Exercise se jude kuch khaas tathya batate hai.
Running, jogging, cycling, walking, skipping, dance yeh sabhi aerobics ki activity mai aate hai. Inn saari gatividhiyo ki vajah se heart, rakt dhamniya aur faifado mai oxygen ka sanchar hota hai. Jisse aapka pura sharir bahuy majboot ho jata hai. Saath hi isse extra fats khatam hone lagte hai.
Janiye Types of Aerobic Exercise: Iske Kuch Prakar
• The traditional flow aerobics
• Step aerobics
• Dance aerobic
• Cardio king boxing aerobics
• Bhangra aerobics
• Aqua aerobics
Ye sabhi iske prakar me shamil hote hai. Ab aaiye jante hai isse judi kuch aisi baate jinse aapke sharir ko bahut se fayde hote hai.
Benefits of Aerobic Exercise, Jo De Aapko Kai Swasth Laabh
Vese aam tor par aerobics 45 minutes ke liye kiya jata hai. Aerobic ko week me kam se kam 5 se 6 din tak karna chahiye. Vese is exercise ka fayda aapko har prakar se milta hai. Par bahut se lag iske sahi faydo ke bare me nahi jante hai, to chaliye hum aapko batate hai, Benefits of Aerobic Exercise.
• Aerobics se saharir mai white blood cell ki sankhaya bad jati hai, jisse sharir ka immune system majboot hota hai. Yeh white blood cell bimariyo se ladne mai bhi help karte hai.
• Yeh ek vajan ko kam karne ki bahut aachi prakriya hai. Yeh maspeshiyo aur haddiyo ko majboot banati hai aur unka nirmann karti hai.
• Isse sharir ke sabhi aango mai sudhar aata hai. Jisse hamari umar bad jati hai.
• Aerobics ke bade manovaigyanik fayde hote hai. Vyayam karte samay sharir me endorphin namak hormone ka istrav hota hai, jisse khush hone ka ahsaas hota hai. Halaki iski activity bahut chunotipurna hoti hai, isliye har aerobic sensation ko complete karna chahiye taki aapko iska fayda pura mile.
• Kisi bhi aerobic class me aap samuh me workout karte hai aur ek instructor aapke hamesha samne rahta hai. Vaha ka mahol itna accha hota hai ki, aapka man khushi se bhar jata hai. Jisse ki aap exercise bhi acche karte ho.
• Aerobic ki claas me aapko mzaa aata hai aur aapko prenda milati hai. Isliye aap apni iss class se chipke rahte hai saath hi aapko swasth aur fitness ke fayde milte hai.
• Benefits of Aerobic Exercise ki baate kare to yeh iska sabse accha fayda hai ki, yeh aapke HDL (high density lipoprotein) ke istar ko badata hai, jo ki heart ke liye acche cholesterol hai. Yeh ek adarsh raktchap ko banaye rakhta hai. Saath hi dhamniyo ke lachilepan ko bhi banaye rakhta hai.
• Yeh ek urja se bharpur activity hai, jisme urja ki jarurat hoti hai. Isliye jin logo ko apne sharir ki atirikt charbi ko ghatana hai, wah log aerobic ko apana sakte hai.
• Aerobics For weight Loss ki baat kare to, hum bol sakte hai ki yeh ek bahut accha vajan kam karne ka tarika hai. Jisse humara badta vajan kam ho jata hai aur hume Motape se chutkara milta hai.
You may also like:- Flat Tummy Tips in Hindi: Pet Kam Karne ke Tarike
Aerobic ke Douran Dhyan Rakhne Yogaya Baate
• Hume ek baat ka hamesha dhyan rakhna chahiye ki hum kisi bhi anubhavi aerobic instructor se hi training le.
• Aisa karne se pahle apne doctor ki salah jarur le. Saath hi isko karne se pahle apna checkup jarur karva le aur agar aap kisi bhi rog se grasit hai to apne instructor se kuch bhi na chupaye.
• Saath hi ise karte samay agar aapko kisi bhi asuvidha ka anubhav ho raha hai to, aap turant apne mentor se sampark kare.
• Isse karte waqt hamesha aerobic ke liye banaye gaye jute (shoes) ko hi pahne.
Aberobic ke saath Khurak aur Poshan
Kisi bhi activity ke saath ek poshtik khurak ka juda hona bahut jaruri hota hai. Bhojan se hame urja milti hai, jiss urja ka hum vyayam karne ke douran idhan ke tor par upyog karte hai.
Hamare vyayam ki quality hamare diet plan par nirbhar karti hai. Isliye hume apne bhojan me carbohydrate, protein, fats, vitamin aur minerals ki bharpur matra leni chahiye. To aaiye jante hai Aerobics Diet. Ek din me 4 se 5 baar kam matra me bhojan karna chahiye. Kyoki aisa karne se aap pure din urjavaan rahenge.
Carbohydrate ke Sources
• Sabut anaaj
• Sabut anaaj, dale aur bread.
• Taaze mousami phal aur hari sabjiya.
• Brown rice.
• Sabut gehu ka pasta.
Protein ke Source
• Kam charbi yukt dudh ke utpann vastuye jese ki dudh, cheese, dahi aur chhach.
• Soya dudh aur tofu.
• Egg, bina charbi vala meat aur chicken.
• Beans.
Good Fats ke Badiya Source
• Machli ya machli ka tel.
• Dry fruits.
• Jaitun ka tel.
• Alsi ya alsi ka tel.
Yeh sare bhojan sabhi prakaar se avashyak vitamin aur minerals dete hai. Phir bhi kisi bhi prakaar ki aerobics activity se pahle kuch nishchit bhojan ke niyamo ka plan karna chahiye. Aerobic ki class jane se pahle dudh, sugar cheese aur ice cream ka sevan na kare kyoki inme lactose ki matra hoti hai. Jisse kai log aasani se pacha nahi pate hai, jo ki vyayam ke douran mushkil paida karta hai.
Vese ek vyakti ko kitni calorie leni chahiye yeh uske lakshaya, uske karya karne ke istar aur uski jivan shaily par nirbhar karta hai. Sadharan roop se mahilao ko 1200 se lekar 1400 tak calorie ka sevan karna chahiye aur purusho ko ek din me 1700 se 2000 tak calorie ki matra lena chahiye.
Upar aapne Benefits of Aerobic Exercise ke baare me bahut se mahatvapurna baat ko jaan hi liya hai. To bas der kis baar ki aaj se is vyayam ko apna kar apne sharir ko swasth rakhiye aur ek attractive personality paiye. Par dhyan rahe ki kisi bhi exercise ko karne se pahle expert ki salah jarur le.
Get more details about Aerobic from Diet and Fitness.