Weight Loss in Hindi: Alcohol Ki Madad Se Kam Kare Vajan

Agar aap vajan kam karne ki koshish kar rahe hai, lakin kai prayaso ke baad bhi aapka Weight Loss nahi ho pa raha hai, to aap sharab pina shuru kar dijiye. Aap soch rahe honge sharab pine se kya hoga. To iss article mai ham aapko alcohol ki madad se vajan ghatane ke bare mai bata rahe hai.

Jaisa ki ham sabhi jante hai ki jayada sharba pina humari sehat par bura asar dal sakta hai, lekin aisa nahi hai ki sharab pine se keval sharir ka nuksaan hi hota hai. Sharab ki adhik matra nuksandeh ho sakti hai lekin agar usse aap dawa ke roop mai piye to wah aapke sharir ko fayda bhi pahuncha sakti hai.

Sharab hamare sharir mai ban rahe vasa ko jalane ka kaam karti hai, aisa kahna hai, Medicine specialist and The Hunger Fix ki lekhak Pamela M. Peeke ka. Unke anusar, Iska karan yeh hai ki sharab pine ke baad humara sharir jayada calories ko ekartit nahi kar pata hai. To jab hum drink karte hai to metabolism system apna karya karna band kar deta hai. Sharab, metabolism ko rok kar pahle calories ko nasht karne ko kahta hai.

Dr. Peeke ne bataya ki, ek research ke anusar yeh siddh ho chukka hai ki sharab sharir ke vasa ko jalane mai madad karti hai. Unke kaha hai ki apne “Beer Belly” suna hoga lekin “Beer Hips” nahi suna hoga, kyoki yeh apke bad rahe pet ko kam karne mai apka sahyog karta hai. To aaiye jante hai Alcohol and Weight Loss in Hindi.

 

Alcohol and Weight Loss in Hindi: Jane Isse Kese Ghatta Hai Vajan

 

Alcohol and Weight Loss in Hindi

 

Drinks for Weight Loss: Vajan Kam Karne ke liye

Sharab aapke sharir mai estrogen vigyapti vasa storage ko badava deta hai, aur manspeshiyo ki vradhi kam ho jati hai. Jaise hi ham sharab pite hai, to humara sharir liver ke sabhi glycogen ko kha jata hai. Jisse hame bhukh lagti hai. Isliye hame sharab pine ke baad bhukh adhik lagti hai.

Sharab alag-alag tarah ki hoti hai aur sabhi mai alag-alag calories ki matra hoti hai. Aaiye jante hai drinks for weight loss aur unki calories ke bare mai-

  1. Beer – 250 calories
  2. Red or white wine – 120 calories
  3. Daiquiri – 259 calories
  4. Vodka & Club Soda – 64 calories
  5. Champagne – 84 calories
  6. Rum and Coke – 91 calories
  7. Cosmopolitan – 230 calories
  8. Bloody Mary – 140 calories
  9. Sangria – 167 calories
  10. Martini – 69 calories
  11. Margarita – 270 calories

 

You May Also Like:- Fat Loss Tips in Hindi: Jane Charbi Ghatane Ke Aasan Tarike

 

Agar aap sharab pi rahe hai to aap wine ka sevan kare, yeh aapke dil ki raksha tatha yeh aantrik sujan ko kam karne mai aapki madad karta hai. Agar aap pure alcohol (bina kuch mitha milaye) ka istemal karna chate hai to aap vodka, club soda ya tequila mai nimbu ka ras milakr pee sakte hai. Dinbhar mai agar aap ek glass drink ka istemal karte hai to yeh aapke sharir ke liye labhdayak ho sakta hai.

Adhik sharab ka sevan apke sharir ko nuksan pahuncha sakta hai. Agar aap adhik sharab pite hai to aap cancer, ulcer aur liver se sambandhit gambhir bimario ka shikar ho sakte hai. Sharab pine ke agle din aapko subah sar dard aur anidra jaisi pareshani bhi ho sakti hai.

 

Positive Effects of Alcohol: Sharab pine ke Prabhav

Upper aapne padha ki sharab pikar aap apne vajan ko kam kar sakte hai. Iske atirikt iske aur bhi kai fayde hai, aaiye jante hai Positive Effects of Alcohol-

  1. Vodka humare dimag ko aaram pahunchata hai sath hi yeh anidra se bachata hai.
  2. Ek research ke anusar beer mai silicon hota hai jo sharir ki haddiyo ko swastha rakhta hai. Santulit roop se sharab ka sevan karne se haddiyo ke ghanatv mai badotari hoti hai.
  3. Haal hi ke ek anusandhan dwara yeh sabit hua hai ki yeh acchi nidra mai sahayak hota hai, sath hi yeh cancer aur aayu ko badne se rokta hai.
  4. Raat ko khana khane se pahle red wine pine se blood sugur ka khatra 30-40% tak kam ho sakta hai.
  5. Ek research mai yeh bhi bataya gaya hai ki, sharab pine se vyakti ki sochne samjhne ki shamta badti hai.

Kisi bhi padarth ka santulit aahar karne par wah humare sharir ko labh de sakta hai lekin iska adhik prayog hame nuksaan bhi pahuncha sakta hai. Iska sabse accha udahran hai sharab. Sharab ka atyadhik sevan aapke sharir ko nuksaan pahuncha sakta hai, wahi uska santulit matra mai sevan aapke sharir ko kai labhi de sakta hai.

Aaj apne jana  kaise aap Alcohal ki madad se Weight Loss in Hindi ke jariye apne badte vajan ko rok bhi sakte hai aur apne sharir ka dhyan bhi rakh sakte hai.

Loading...

You may also like...