Aloe Vera for Hair in Hindi: Swasth Baalo Ke Liye Upyog Kare

Aloe Vera for Hair in Hindi: Aap sabhi aleo vera ke bare mai to jante hi honge, tatha iska poudha aasani se kai gharo mai mil jata hai. Aapne aaj tak iske twacha ke faydo ke bare mai suna hoga lekin kya aap jante hai? aloevera aapke baalo ke liye bhi bahut faydemand hota hai.

Aloevera mai kai gun hote hai jo aapke liye bahut faydemand hote hai. Isme moujud vitamin A, B, C and E baalo ko poshan dekar unhe majboot banate hai. Aloevera ko lagane ke liye use kat kar, uska gel baalo mai lagaya jata hai.

Iske alawa bajar mai milne wale aleo vera juice, gel ka upyog bhi aap baalo ke liye kar sakte hai. Aaj hum aapko aloevera se baalo ke liye hone wale faydo ko batayenge jisse iska proyog kar aap swasth aur sundar baal pa sakte hai. Aaiye jante hai Aloe Vera for Hair in Hindi.

Aloe Vera for Hair in Hindi: Janiye Baalo Ke Liye Iske Fayde

Baalo Ka Jhadna Kam Kare

Aloe vera aapke baalo ka jhadna kam kar deta hai, kyonki isme kai sare vitamin aur minerals hote hai jo baalo ko poshan dene ka kaam karte hai. Jab aapke baalo ko andar se poshan milega to unki jade majboot ho jayegi aur unka jhadna kam ho jayega.

  • Aap aleo vera gel ko apne baalo mai raat ko laga le, aur puri rat baalo mai laga rehne de.
  • Subah uthkar aapke baalo ko mild shampoo se dho le.
  • Kuch din iska prayog karne par aapke baalo ka jhadna band ho jayega.

Baalo Ko Mulayam Banane Ke Liye

Agar aapke baal rukhe aur bejan ho gaye hai to Aloe Vera Gel for Hair aapke liye bahut faydemand rahega. Yeh aapke baalo par conditioner ki tarah kaam karta hai tatha aapke baal mulayam aur chamakdar ho jate hai.

  • Aap iske liye aloe vera ko kaat kar uska gel nikal le.
  • Ab usme 2 chhoti chammach java kumkum ke phul ka milakar paste bana le.
  • Agar aapke baal jyada rukhe hai to iss paste mai 1 chhoti chammach olive oli bhi dal de.
  • Ab iss mishran ko apne baalo par lagaye aur baad mai saaf pani se dho le.

Rusi Se Nijat Pane Ke Liye

Sardiya aane wali hai aur sardiyo ke mousam mai rusi ki samasya bahut aam ban jati hai. Iss samasya se nijat pane ke liye aap aloe vera serum ka upyog kare. Iska istemal karne par aloevera aapke sar se rusi ko puri tarah hata deta hai.

  • Iss serum ko banane ke liye aloe vera gel mai chai ke poudhe ka tel aur gulbajal milaye.
  • Ab inn sabko milakar ek mishran taiyar kar le aur sar dhone ke 1 ghante pehle baalo mai lagaye.
  • Iska accha parinaam pane ke liye iss serum ko hafte mai do bar lagaye.

Sar Ki Khujali Ko Kam Kare

Aloe vera mai prachur matra mai antibacterial, antiseptic aur antifungal gun paye jaye hai. Inhi guno ke karan jab aap ise sar mai lagate hai to sar ki khujali dur ho jati. Tatha yeh aapke sar mai thandak aur sukun bhi deta hai.  Aloe Vera Juice for Hair sankraman ko dur karne mai aapki madad karta hai.

  • Aloe vera gel ko baalo mai acche se laga le aur kuch der tak ise baalo mai lage rehne de.
  • Karib 20 minute tak gel ko baalo mai laga rehne de aur sar ko saaf pani se dho le.
  • Baalo ko dhone ke bad baalo se rusi puri tarah gayab ho jayegi.

Baalo Ki Lambai Badaye

Aap baalo ko lamba aur ghana banana chahte hai to aloe vera shmpoo ka istemal kare. Aap aloe vera shampoo ko ghar par bhi bana sakte hai jisme kisi tarah ka koi rasayanik padarth nahi mile hote hai. Aloe Vera for Hair Growth bahut hi prabhavi hai.

  • Iska shampoo banane ke liye aloe vera juice mai nariyal, dudh aur genhu ka aata tatha thoda sa tel dale.
  • Ab inn sabko ek sath mila le aur baalo par lagakar baalo ko dhoye.
Baalo Ki Samasya Aloevera Ka Prayog
Baalo Ka Jhadna Aloevera Gel
Baalo mai Rusi Aloevera Gel+ Chai Ke Podhe Ka Tel+ Gulabjal
Baalo Ko Lamba Kare Aleo Vera+ Nariyal Dudh
Sar mai Khujali Aloevera Gel
Baalo Ki Conditioning Aleo Vera Gel+ Java Kumkum Phul

Upar aapne jana Aloe Vera for Hair in Hindi. Uprokt di hui jankari mai aapko aloe vera ke prayog ke bare mai bataya gaya hai jiska istemal kar aap swasth aur ghane baal pa sakte hai.

 

Loading...

This website uses cookies.