Cancer life ko khatam kar dene wali ek khatarnak bimari hai. Iske lakshano ko pehchankar yadi shuruwat mai hi iska illaj kar liya jaye to kai had tak isme safalta payi ja skati hai. Cancer ke kai prakar hai, jaise aankho ka cancer, pet ka cancer aadi. Isi tarah Anal Cancer bhi cancer ka hi ek roop hai.
Yeh cancer anus(guda) mai hota hai. Iss bimari mai cancer ke cell, gude ke uttako mai viksit hone lagte hai. Jab yeh asamanya rup se viksit hote hai tab ek ghatak tumer mai ka roop le lete hai. Kai sodho mai yeh baat samne aayi hai ki saal mai takriban 950 mrityu iss cancer ke hone ke karan hi hoti hai.
Gude mai cancer hone par kai pareshaniya samne aati hai. Jaise guda se khun ka behna, khujali hona, sujan aana aadi lakshan dikhai dene lagte hai. Inn samasyao ke dikhte hi turant hi chikitsak se illaj karwana chahiye. Aaiye janiye Anal Cancer Symptoms taki samay rehte iss bimari ka illaj karwaya ja sake.
Anal Cancer Symptoms: Jane Iske Lakshan, Karan aur Uchit Upchar
Guda Cancer Ke Lakshan
Cancer ek aesi bimari hai jiske lakshan shuruwati tour mai samajh nahi aate hai. Lekin fir bhi kuch aese lakshan bhi hote hai jo ki guda cancer ke vikas ka karan bante hai aur ise pehchana ja sakta hai. Jaise ki adhik matra mai rakt nikalna iska ek shuruwati lakshan hai. Aaiye jane aur bhi kai Anal Cancer Symptoms.
- Guda mai sujan rehna
- Asamanya rup se mal nikalna
- Guda ke pas gaanth ka banna aur khujlahat hona
- Malashay se rakt strav hona
- Guda mai dard aur kisi prakar ka dabav mehsus hona
- Mahilao ke pith ke nichale hisse mai hamesha dard bane rehna
- Mal tyag mai pareshani hona
- Mahilao ki yoni mai sukhapan hona
Guda Cancer Ke Karan
Guda cancer mahilao aur purusho dono mai paya jata hai. Aur sambhog karne se yeh cancer failta bhi hai. Shodho ke dwara yeh pata chala hai ki HIV positive wale kisi bhi vyakti ke sath yon sambandh banane se bhi guda cancer hota hai. Yeh cancer 60 saal se adhik umra ke purush aur 50 saal se adhik umra ki mahilao mai adhik dekha gaya hai. Anal Cancer Causes mai aaiye jane yeh mukhya rup se vyaktiyo mai kin-kin karno se failta hai.
- HPV (Human Papilloma Virus) ke sankraman se: HPV ek prakar ka virus hota hai jo ki guda cancer ke bahut karib hota hai. Shodho ki mane to HPV virus ki wajeh se 80 pratishat log guda cancer se pidit hote hai.
- Ek se jyada vyaktiyo ke sath yon sambandh banane se bhi Guda cancer hota hai.
- Guda sambhog prapt karne wale mahila aur purush dono mai guda cancer hone ka khatra hota hai.
- Mahilao ko yadi pehle se hi greeva cancer ho aur purusho ko shishna(Penile) cancer ho to dono mai hi anal cancer hone ka khatra ban jata hai kyoki inn dono cancer mai HPV virus paya jata hai.
- Jin vyaktiyo ki rog pratirodhak kshamta kam hoti hai unme bhi guda cancer hone ka khatra hota hai. Sath hi aese vyakti jo ki phele se hi pratirakshadamankari dawao ka sevan kar rahe hai aur HIV ya dir AIDS se pidit hai unn vyaktiyo ko bhi yeh cancer ho sakta hai.
- Iske alawa dhumrapan karne wale vyaktiyo mai bhi yeh cancer hone ka khatra rehta hai kyonki dhumrapan karne se kai prakar ke cancer hote hai.
- IBD (irritable bowel disease), Bavaseer(Hemorrhoids), Fistulae, Guda ango mai sujan bane rehna bhi guda cancer ka karan hota hai.
You May Also Like:-Jane Chronic Fatigue Syndrome Ke Lakshan aur Rahe Swasth
Yadi aap guda cancer ke inn sabhi karan aur lakshan ko samajh gaye hai to Diagnosis of Anal Cancer mai aaiye padhe iske kuch nidan.
- Endoscopy: Guda caner ka parikshan karne ke liye doctor badi aant, guda, malashay ki jaanch karte hai. Aur iss jaanch ke liye wo lens aur video camera ke sath ek roshan tube ka istemal karte hai.
- Biopsy: Yeh uttako(tissue) ke namuno ko hatane ki ek surgery hoti hai jisme microscope ka istemal kiya jata hai aur cancer ka pata lagaya jata hai.
- Iske alawa Guda ka parikshan karne ke liye CT Scan, MRI Scan aur Ultra Sound Scan kiya jata hai.
Guda Cancer Ke Upchar
Guda cancer ki jaanch karne ke baad yeh nirbhar karta hai ki vyakti cancer ke kiss charan se hokar gujar raha hai tabhi uska ilaj kiya ja sakta hai. Anal Cancer Treatment mai aaiye jane iska illaj kin-kin tariko se kiya ja sakta hai.
- Chemo Therapy: Isme cancer koshikao ki aniyantrit rup se vraddhi ko roka jata hai. Aur iske liye dawao ka istemal kiya jata hai.
- Surgery: Iss prakriya ke dwara tumer aur sankramit uttako ko operation ki sahayta se dur kiya jata hai. Yeh operation cancer ke prakar par nirbhar karta hai ki kiss prakar ki surgery kee jani hai. Guda cancer ki surgery colorectal surgeon ke dwara bhi ki jati hai.
- Radiation Therapy: Iss therapy mai cancer koshikao ko nasht karne ke liye high power ki x-ray vikirano ka istemal kiya jata hai.
- Abdominoperineal Resection ke dwara bhi guda cancer ka illaj kiya jata hai.
Aaj aapne jana Anal Cancer Symptoms, iski jaanch aur iske upchar ke bare ke tariko ke bare mai. Yadi aapme ya fir aapke aaspas kisi ko bhi guda cancer ho to turant doctor ki salah le aur swasth rahe.