Anemia in Hindi: Jane Rakthinta ke Lakshan aur Mukhya Karan

Vishva Swashtya sangathan ke anusar vishva ki kul aabadi ka chatva hisaa Anemia se grast hai. Yeh ek aesi avashta hai jisme khoon mai red blood cells ya hemoglobin ki matra kam ho jati hai. Anemia ko kai log “Raktalpata” ya “Rakthinta” ke rog ke naam se bhi jante hai. Yeh samasya mahilao mai jyada dekhi jati hai.

Samanyatah red blood cells yane ki laal rakt ke kan aur hemoglobin ka leval stri aur purush dono mai alag alag hota hai. Yadi purusho ke khoon mai hemoglobin ka leval 100 ml ke piche 12.0 gram se bhi kam hai to us avashta ko anemia kaha jata hai. Aur us vyakti ko anemic kehte hai. Cells ke kam niraman hone ki wajah se aur cells ka nasht hone ki wajah se yeh matra kam ho jati hai.

Wahi yadi ham mahilao ki baat kare hamare desh mai har teen mai se ek mahila anemia ka shikar hai. Jabki garbhavati mahilao mai yeh samasya jyada gambhir hai. Lagbhag 57.8 pratishat garbhavati mahilaye anemia se pidit hai.

Kuch sodho mai yeh baat samne aayi hai ki bharat mai bacche bhi badi sankhya mai iske sikar hai. Sodho mai yeh paya gaya ki panch saal se kam umra ke har char baccho mai se teen bacche iske sikar hai. Jiske chalte unka uchit mansik aur shararik vikas nahi ho pata hai. Isse bachav ke liye aaiye jante hai Anemia in Hindi, iske lakshan aur karano ke bare mai.
 

Anemia in Hindi: Iss rog ke Lakshan aur Karan Pehchane

 
Anemia in Hindi
 
Yadi aapka kaam mai man nahi lag raha hai. Aapko thakavat mehsus ho rahi hai. Iske atirikt yadi aapke chehre ki khoobsuri khatam hoti ja rahi hai, aur peelapan badhte ja raha hai to savdhan ho jaiye aur turant apne doctor se janch karwaye yeh anemia ho sakta hai.

Darahsal sharir ko jivit rehne ke liye oxygen ki aavyashakta hoti hai aur oxygen ko sharir ke vibhinna bhago mai laal rakt kanikao mai upasthit hemoglobin dwara pahuchaya jata hai. Sharir mai iron ki kami se laal rakt kanikao aur hemoglobin ka nirman prabhavit hota hai. Natijan koshikao ko oxygen nahi mil pati hai jo carbohydrate aur vasa ko jalakar utpanna karne ke liye jaruri hai. Inn karano se sharir aur mastiksh ki karya pranali prabhavit hoti hai. Iss stithi ko Anemia kehte hai.
 

Symptoms of Anemia in Hindi: Jane Iske Lakshan

  1. Thakan aur kamjori hona
  2. Hriday ki dhadkano ka asamanya hona
  3. Uthne par ya baithne par chakkar aa jana
  4. Jeebh mai jalan, muh ke kono par chhale ho jana
  5. Lagatar sar dard bane rehana aur saans ka phulna
  6. Sokar uthane mai aankho ke samne andhera aa jana
  7. Kaam karne ka man naa karna, sharir mai tapman ki kami
  8. Aankhe peeli padhna, peeli twacha, hath pair thande padhna
  9. Chhati mai dard rehna aur sine mai aethan bhi Symptoms of Anemia hai.

 

You May Also Like: Osteoporosis Treatment in Hindi: Haddiyo ki Kamjori ko Dur Kare

 

Anemia Causes in Hindi: Raktalpata Hone Ke Karan

 

Khoon ka Jyada Nuksan

Aap shayad nahi jante honge lekin masik dharm mai jyada raktstrav hone se bhi iski samasya hoti hai. Iske atrikt pachan sambandhi ya mutrapath mai strav hone se, kisi tarah ka accident, ya cancer bhi raktstrav ke piche ki wajah hai.
 

Janm se hi Isse Prabhavit Hona

Kuch baccho ko to janm se hi Aplastic Anaemia hota hai. Kuch khas dawaiyo ke karan, ya fir kuch bimariyo ke chalte, unka sharir paryapt matra mai RBC utpanna nahi kar pata hai.
 

Garbhavastha Ke Douran

Garbhavashta ke douran iron ya fir folic acid ki matra kam ho jane ke karan bhi iski samasya hone ka khatra rehta hai.
 

Anuvanshik Karan

Kai baar anuvanshik karano se bhi yeh samasya utpanna hoti hai. Lekin iska matlab yeh nahi hai ki mata pita ko yeh bimari hai to baccho ko bhi avashya hogi. Lekin yadi mata pita mai se kisi ek ko bhi yeh bimari ho aur baccho mai poshak tatvo ki kami ho jati hai, ya kisi anya bimari ke karan, Anemia hone ki sambhavana kai had tak badh jati hai.
 

Red Blood Cells ka Nasht Hona

RBC ka nast hone ka ek karan spleen ka bada hona ya rugn hona hota hai. Darahsal yeh shair ka aesa ang ha jo ghise huye RBC ko sharir ke andar se bahar nikalkar fekta hai. Kintu jab yeh rugn ho jata hai tab normal RBC ko bhi bahar kar deta hai. Jiske chalte Anemia hota hai.
 

Anemia hone ke anya karan inhe bhi jane:-

  1. Shair mai Iron yane ki loh tatvo ki kami
  2. Enzymes ki kami, Immune Disorder
  3. Khane mai calcium ka bahut jyada sevan
  4. Hari sabjiya kam khana ya naa khana
  5. Kisi wajah se sharir ka khoon beh jane se

Manav ke shair mai lohe ki kul matra, sharir ke vajan ke anusar 3 se 5 gram hoti hai. Agar yeh kam ho jati hai to hemoglobin kam ho jata hai. Jiske chalte vyakti ko har samay thakavat mehsus hoti rehti hai.

Upar aapne jana Anemia in Hindi. Yadi aapko bhi bahut thakan mehsus hoti hai. ya fir aapko uprokt lakshan aapke andar dikhai dete hai. To bilkul der naa kare aur turant chikitsak ki salah le.

Loading...

You may also like...