Purusho ke Liye Anti-Aging ke Prakritik Upay

Ab khubsurat dikhai dene ki chahat sirf mahilao tak hi simit nahi hai, balki purush bhi apne look ko lekar kafi sajag ho gaye hai. Chehre par aate umra ke nishan unhe bhi utna hi pareshan karte hai jitna ki kisi mahila ko. Purush bhi ab jawan bane rehne aur jawan dikhai dene ke liye har sambhav koshish karne ko tayar hai.

Purusho ki iss chahat aur jarurat ko dekhte huye kai aise tarike aa gaye hai, jo purusho ko lambe waqt taka jawan bane rehne mai madad karte hai. Yeh khaas tour par purusho ko dhyan mai rakhkar hi tayar kiye gaye hai.

Halaki, umra ke asar ki nishaniya jese lakire aur jhurriya aajkal ke purusho ko lekar pareshan karti rehti hai. Lekin kuch purush surgery karwakar inhe hatana nahi chahte hai. Aise logo ke liye hi kuch upay hai jo behad asardar hai. To chaliye aaiye jante hai aise hi 5 shandar upay.

You may also like:- Skin Care Tips for Men: Purusho ki Twacha ki Dekhbhal
 

Anti-Aging ke Prakritik Upay Jo Ki Purusho ko Rakhe Swasth aur Sundar

 
Anti Aging Tips for Men
 

Smoking na Kare:-

Smoking se aapke sharir par umra ka asar jald dikhai dene lagta hai. Smoking ka aapke sharir par bahyt bura asar padta hai. Aur yahi lakshan aapki twacha par bhi parilakshit hone lagte hai. Jab aapki twacha ciggrate se nikalne wale dhue ke samprak mai aati hai, to use kafi nuksaan hota hai. Yeh prakritik roop se swasth twacha ko nuksaan pahuchahkar uski upari parat ko nasth kar deti hai. Isse twacha ko jawan banaye rakhne wala alstin protein bhi khatam ho jata hai.

Smoking karne se aapke chehre par jhurriya ka asar jald nazar aane lagta hai. Ciggrate mai moujud nicotin rakt koshikao ko sikod deta hai. Isse sharir mai oxygen aur jaruri poshan sahi matra mai nahi pahuch oate. Agar aap ek swasth aur jawan twacha chahte hai to sabse pehle aapko smoking chhodan chahiye.
 

Vyayam Kijiye Jawan Rahiye:-

Niyamit vyayam karna aapke sharir ki shakti aur karyakshamta badhata hai. Isse aapki twacha bhi adhik kasi huyi rehti hai. Niyamit vyayam na karne aur santulit jivanshaily apnane se aapke sharir ki karyapranali dhimi ho jati hai aur iska asar umra adhik dikhne ke tour par samne aane lagta hai. Vyayam se aapk sharir mai rakt sanchar sucharu roop se hota hai. Aur sharir ke har ang ko paryapt matra mai rakt milta hai. Jese-jese humari umra badhti hai to kai baar tango aur haatho ko puri tarah poshan nahi mil pata hai.

Vyayam ke douran aapke sharir se paryapt matra mai pasina nikalta hai. Iss pasine ke jariye aapke sharir se vishakt padarth bahar nikal jate hai. Isse sharir ka prakritik mosturizer sibum oil bhi bahar nikalta hai.
 

Bharpur Neend Lijiye:-

Agar aap bharpur neend lete hai to aapko umra ke asar ko dur rakhne mai kafi madad mil sakti hai. Agar aap acchi neend sote hai to aapki sehat bhi acchi rehti hai. Koshish kare ki aapke sone aur uthne ka samay ek jesa ho.
 

Dhyan aur Yoga:-

Yoga aur dhyan ke jariye bhi aap umra ke asar ko dur rakh sakte hai. Yoga aur dhyan aapko kewal mansik roop se hi shant nahi rakhte balki aapko sharirik roop se bhi majboot banate hai. Inse aapko tanavmukt rahne mai madad milti hai. Isse aapke sharir mai rakt sanchar sucharu roop se hota hai. Iske saath hi dil ki bimariya, motapa aur twacha ki jalan se bhi rahat milti hai. Isse humari rog pratirodhak kshmata majboot hoti hai aur aap bimariyo se dur rehte hai.
 

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...